Quran

Aao Quran E Paak Samjhe.
Bottom of Form


Topic NO -01 :- Noor E Mustafa Aur Quran E Majeed.

قَدْ جَآءَكُم مِّنَ ٱللَّهِ نُورٌ وَكِتَٰبٌ مُّبِينٌ

بیشک تمہارے پاس اللہ کی طرف سے ایک نور آیا اور روشن کتاب

Be Shaq Tumhare pass ALLAH ki Taraf se Ek Noor Aaya aur Roshan Kitab.

Undoubtedly, there has come to you from Allah a light and a Book, luminous.
 

5-Al-Ma'ida : 15

Mufassir Islam SAHABI E RASOOL SALLALLAH ALEHE WASALAM HADRAT ABDULLAH BIN ABBAS RADI ALLAH ANHU is Ayate kareema ki tafseer ke tehet farmate hai "NOOR" se Muraad HUZUR E AKRAM SALLALLAH ALEHE WASALAM hai.َكِتَٰبٌ مُّبِينٌ se muraad Quran Hai.
 

(Tafseer E Ibn E Abbas).

يُرِيدُونَ أَن يُطْفِـُٔوا۟ نُورَ ٱللَّهِ بِأَفْوَٰهِهِمْ وَيَأْبَى ٱللَّهُ إِلَّآ أَن يُتِمَّ نُورَهُۥ وَلَوْ كَرِهَ ٱلْكَٰفِرُونَ

چاہتے ہیں کہ اللہ کا نور اپنے منہ سے بُجھا دیں اور اللہ نہ مانے گا مگر اپنے نور کا پورا کرنا پڑے برا مانیں کافر،

Chate hai ki ALLAH ka NOOR apne Moh se bhujha de aur ALLAH na maane ga magar apne NOOR ka pura karna padhe bura maane kafir .

They wish to put off the light of Allah with their mouths and Allah will not agree but to perfect His light, though the infidels may dislike it.
 

9-At-Tawba : 32

Mufassarin is ayate ki tafseer main likhte hai ki is ayat main noor se Muraad HUZUR hai.kuffar cahte they ki HUZUR Ko (Maaz ALLAH ) Qatal kardiya jaye Quran E Majeed ki is Ayat main wazeh hai ki ALLAH TAALA ne Apne HABIB ke Qatal per kisi ko Qudrat nahi di.

Bad Aqeedo ke Aitraz ka jawab :- kuch log yeh ayat jis ka tarjuma hai (KEH DO MAIN ZAHIRI SURAT MAIN TUMHARI TARHA BASHAR HO) Padh kar HUZUR Ki bashariyat ko uchalte hai Halanki AHLE SUNNAT W JAMAT ka Aqeeda hai ki HUZUR NOORI BASHAR hai.HUZUR Ki nooraniyat aur Bashariyat Dono per IMAN Rakhna zarori hai kiyo ki yeh Quran se Sabit hai.

Bottom of Form

TOPIC  NO :- 02

 Gair ALLAH ko lafz "YA" Ke Sath pukarna ALLAH TAAL'A ke Kalaam se.

YA RASOOL ALLAH Ya ALI رضي الله عنه Aur YA GAUS AZAM رضي الله عنه Jayez hai.

القران :- یٰۤاَیُّہَا النَّبِیُّ
 

اے غیب کی خبریں بتانے والے ( نبى ﷺ )

Aye Gaib ki khabre batane wale (NABI )

O Communicator of the hidden news (Prophet )
 

( AL-ANFAL - 8:70 )

القران :- یٰۤاَیُّہَا الْمُزَّمِّلُ

اے جھرمٹ مارنے والے

Aye Jhurmat marne wale.

'O the enwrapped one

( AL-MOZZAMMIL - 73:1 )

القران :- یٰۤاَیُّہَا الْمُدَّثِّرُ ۙ

اے بالا پوش اوڑھنے والے

Aye Bala posh Audhene wale

'O the mantled (a coverlet) one;

( AL-MUDDATHTHIR - 74:1 )

In Teeno Ayat main HUZUR Ko "YA" keh ki Mukhatib kiya gaya.

القران :- قُلْ یٰعِبَادِیَ الَّذِیۡنَ اَسْرَفُوۡا عَلٰۤی اَنۡفُسِہِمْ لَا تَقْنَطُوۡا مِنۡ رَّحْمَۃِ اللہِ ؕ اِنَّ اللہَ یَغْفِرُ الذُّنُوۡبَ جَمِیۡعًا ؕ اِنَّہٗ ہُوَ الْغَفُوۡرُ الرَّحِیۡمُ
 

تم فرماؤ اے میرے وہ بندو جنہوں نے اپنی جانوں پر زیادتی کی اللّٰہ کی رحمت سے ناامید نہ ہو
 

Tum farmao aye mere wo bando jinho ne apni jano per ziyadati ki ALLAH ki rehmat se na Umeed na ho.

Say you, 'O My bondmen who have committed excesses against their own souls 'despair not of the mercy of Allah' Undoubtedly,
 

( AL-ZUMAR - 39:53 )

Is Ayat main qayamat tak paida hone wali UMMAT ko یٰعِبَادِیَ keh kar pukara gaya, tu is ke jawab main ummati bhi apne AAQA aur naik bando ko "YA" keh kar pukar sakte hai. Warna agar gunah hota tu phir RAB KAREEM JAL JALALAHU apne HABIB koi is tarha momino ko pukarne ka hukum na deta maalom huwa ki na woh Shirk tha aur na yeh Shirk hai.
_____________________________________________________________________
TOPIC NO  :- 03
Gair Allah se madad mangna aur Ayate Qurani
( buto se mutaliq nazil hone wali ayat ka jawab )

Part 1)

Aqeeda Ahle Sunnat w jamat.

ALLAH TAAL'A ke naik bande ALLAH TAAL'A ki ata se madad farmate hai.ALLAH TAAL'A ke naik bando ko ALLAH TAAL'A ke zaat ka mazhar jaan kar un se madas talab karna jayez hai.

القران :-وَ اِنۡ تَظٰہَرَا عَلَیۡہِ فَاِنَّ اللہَ ہُوَ مَوْلٰىہُ وَ جِبْرِیۡلُ وَ صٰلِحُ الْمُؤْمِنِیۡنَ ۚ وَ الْمَلٰٓئِکَۃُ بَعْدَ ذٰلِکَ ظَہِیۡرٌ ﴿
۴

بیشک اللّٰہ ان کا مددگار ہے اور جبریل اور نیک ایمان والے اور اس کے بعد فرشتے مدد پر ہیں
 

Be Shak ALLAH unka madadgar hau aur JIBRAIRL aur naik iman wale aur uske baad farishte madad per hai.

Undoubtedly, Allah is his helper, and Gibrael, and the righteous believers and after that the angels are his helpers.
 

( AL-TAHRIM - 66:4 )

القران :-اِنَّمَا وَلِیُّکُمُ اللہُ وَ رَسُوۡلُہٗ وَالَّذِیۡنَ اٰمَنُوا

تمہارے دوست نہیں مگر اللّٰہ اور اس کا رسول اور ایمان والے.

Tumhare Dost nahi Magar ALLAH aur us ke RASOOL aur IMAN wale.

Only Allah is your friend and His Messenger and the believers.

( AL-MAIDA - 5:55 )

القران :-
یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوا اسْتَعِیۡنُوۡا بِالصَّبْرِ وَالصَّلٰوۃِ ؕ 

اے ایمان والو صبر اور نماز سے مدد چاہو

Aye IMAN WALO sabr aur Namaz Se Madad caho.

O Believers! Seek help with patience and prayer.

( AL-BAQARA - 2:153 )

یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا کُوۡنُوۡۤا اَنۡصَارَ اللہِ کَمَا قَالَ عِیۡسَی ابْنُ مَرْیَمَ لِلْحَوَارِیّٖنَ مَنْ اَنۡصَارِیۡۤ اِلَی اللہِ
 

اے ایمان والو دین ِخدا کے مددگار ہو جیسے عیسٰی بن مریم نے حواریوں سے کہا تھا کون ہے جو اللّٰہ کی طرف ہو کر میری مدد کریں

Aye IMAAN WALO deen E Khuda ke madadgaar ho jaise EISAA BIN MARIYAM ne Hawariyo se kaha thaa kaun hai jo ALLAH ki tarad ho kar meri madad kare.

'O believers! Be helpers of the religion of Allah as Issa son of Maryam had said to his disciples, 'who are those who may help me being towards Allah?

( AL-SAFF - 61:14 )

ALLAH TAAL'A ke naik bande ALLAH TAAL'A ki ata se madad farmate hai inko madad ke liye pukarna QURAN se Sabit hai QURAN MAJEED ne unhe Momino ka madadgar farmaya.
_________________________________________________________

TOPIC  NO  :--04
Gair ALLAH se madad mangna aur Ayate Qurani
( BOOTO'N (Idiols) se mutaliq nazil hone wali ayat ka jawab )

Part 2)

Bad Aqeedo ki dalil ka jawab.

Yeh ayat "HUM TERI HI IBADAT KARTE HAI AUR TUJHI SE MADAD CAHTE HAI" se kiya Murad hai ? HADRAT SHAH ABDUL AZIZ MOHADDIS DEHLAVI ALEHE REHMA apni TAFSEER "Fateh Al Aziz" main is ayat ka jawab yun dete hai ki, ALLAH TAAL'A ke naik bando ko ALLAH TAAL'A ki zaat ka mazhar jaan kar madad mangna dar haqeeqat ALLAH hi se madad mangna hai. Is ayat ka matlab yeh bhi hai ki, "AYE ALLAH hum teri ibadat ke liye tujh se hi madad cahte hain."

IMAM BUKHARI ki kitab "ALADAB AL MUFRAD" main bhi hai ki SAHABA E KIRAM ne baad az wisal HUZUR se madad talab ki.
Mulahiza farmaye.
 

"الادب المفرد باب ٤٣٨ ما يقول الرجل اذا خدرت رجله"

Bad Aqeedo ki Dalil ka jawab :-
 

Al Quran Tarjuma :- ALLAH ke Siwa jin ko pujte hai wo kuch bhi nahi banate aur woh khud banaye huwe MURDE hain, zinda nahi aur unhe khabar nahi log kab uthaye jayenge.
(Sureh Nahal, ayat no 21.)

Al Quran Tarjuma :- BeShak woh jin ko tum ALLAH ke siwa pujte ho tumhari tarha bande hain, to unhe pukaro phir woh tumhe jawab denge, agar tum sache ho. Kiya in ke pao hai jin se chale ? Ya unke hath hai jin se girift kare ? Ya in ki ankhe hai jin se wo dekhe ? Ya unke kaan hai jin se sune ?
(Sureh Al Aaraf, Ayat no 194/195.)

Is ayate ki tafseer main mufassareen farmate hai ki, yeh ayate BOOTO'N ke bare main nazil huwi BOOT ajiz hai, aise ko pujna aur maabood banana badi gumrahi hai. Aur ALLAH TAAL'A ke mamlook w Makhlook kisi tarha pujne ke qabil nahi, aur is per bhi agar tum maabood kehte ho ?
Yeh Boot kuch bhi nahi, toh phir apne se kam tar ko puj kar kiyo zalil hote ho.

Shan E Nazul :- SARKAR E AZAM ne jab BOOT parasti ki muzammat ki aur BOOTO'N Ki Ajazi aur be akhtiyari ka bayan farmaya toh mushrikin ne dhamkaya aur kaha ki, BOOTO'N ko bura kehne wale tabaha ho jate hai, barbad ho jate hai, yeh BOOT unhe barbad kar dete hai. Is per yeh ayat nazil huwi ki, BOOTO'N main kuch kudrat samjhte ho toh pukaro aur meri nuqsan e rasayi main in se madad lo aur tum jo makar w fareb kar sakte ho woh mere muqabla main karo aur is main der na karo mujhe tumhare maabodo ki kuch bhi parwah nahi aur tum mera kuch bhi nahi bigadh sakte.
 
(Tafseer Khazain ul Irfan)
 

Tarjuma Al Quran:- Aur bohat bada Daw khele aur bole, hargiz na chodhna apne khudao ko aur hargiz na chodhna wadd aur Suwa aur yagoos aur ya'ooq aur Nasr ko.
(Sureh Nooh, Ayat no 23.)

Is Ayat Ki Tafseer main mufasarin farmate hai ki, yeh un BOOTO'N ke naam hai jinhe woh pujte they. BOOT toh unke bohat they magar yeh 5 unke nazdeeq badi Azmat wale they. Wudd toh mard ki surat per tha aur suwa aurat ki surat per aur yagoos shair ki shakal aur ya'ooq ghode ki nasr Kargis ki . Yeh BOOT qaum noh se muntaqil ho kar arab main pohanche aur mushrikin ke qabaiel se Ek EK ne Ek Ek ko apne liye khas karliya yeh BOOT bohat se logo ke liye Gumrahi ka sabab bane.

(TAFSEER E KHAZAIN UL IRFAN)

Woh Ayat jo BOOTO'N per nazil huwi hai, BAD AQEEDA MASLAK E AHLE SUNNAT W JAMAT Per chispa karte hain. Halanki hum Auliya ALLAH ki IBADAT Nahi karte hai ALLAH ka Mazhar jaan kar un se mohabbat w aqeedat rakh kar un se madad talab karte hai. Woh ALLAH TAAL'A ki Ataa se madad farmate hai.

Murda Andha Behra is Kism ke Alfaz ALLAH TAALA Quran e Majeed main apne Waliyo ke bare main nahi farma sakta kiyo ki, apne Dosto ke liye aise alfaz nahi kahe jate. yeh ALFAZ BOOTO'N hi ke liye hai woh pather hai andhe behre aur Murda hain.

TOPIC  NO  ;-05
Mairaj ki Raat DEEDAR E ILAAHI QURB E ILAAHI.

القران :- ثُمَّ دَنَا فَتَدَلّٰی ۙ
فَکَانَ قَابَ قَوْسَیۡنِ اَوْ اَدْنٰی فَاَوْحٰۤی اِلٰی عَبْدِہٖ مَاۤ اَوْحٰی مَا کَذَبَ الْفُؤَادُ مَا رَاٰی اَفَتُمٰرُوۡنَہٗ عَلٰی مَا یَرٰی
وَلَقَدْ رَاٰہُ نَزْلَۃً اُخْرٰی

پھر وہ جلوہ نزدیک ہوا پھر خوب اُتر آیا تو اس جلوے اور اس محبوب میں دو ہاتھ کا فاصلہ رہا بلکہ اس سے بھی کم اب وحی فرمائی اپنے بندے کو جو وحی فرمائی دل نے جھوٹ نہ کہا جو دیکھا تو کیا تم ان سے ان کے دیکھے ہوئے پر جھگڑتے ہو اور انہوں نے تو وہ جلوہ دوبار دیکھا

Phir woh jalwa nazdeeq huwa, phir khoob utar aaya. Toh us jalwe aur us mehboob mein do haath ka faasla raha balki, us se bhi kam. Ab wahi farmayi apne bande ko jo wahi farmayi. Dil ne jhoot na kaha, jo dekha. Toh kya tum un se un ke dekhe huwe per jhadgte ho. Aur in hone toh woh jalwa dobara dekha.

Then the Spectacle became closer, and came down in full view. So, the distance between the Spectacle and the beloved was only two arms' length, or even less (The journey of Prophet Muhammad- Peace and blessing be upon him; was heavenly with body and soul). So ALLAH Divinely revealed to His bondman, whatever He divinely revealed. The heart did not deny, what he saw. What! So do you dispute with him regarding what he saw ? And indeed, he did see the Spectacle again.
 
( AL-NAJM, Ayat No 8 to13 )

Mufassireen in ayato'n ki tafseer main farmate hain.

Ek Qaul yeh hai ki, Hadrat JIBRAEL عليه السلام ka SAYYED E ALAM se qareeb hona murad hai ki, woh apni surat asli dikha dene ke baad SARKAR E AZAM Ke Qurb main hazir huwe .Dusra ma'ana hai ki, SARKAR E AZAM HADRAT E HAQ ke Qurb se Musharraf huwe. Teesra yeh ki, ALLAH TAAL'A ne apne HABIB ko apne Qurb ki neamato'n se nawaza aur yeh hi sahi tar hai.

Mufassireen ke 3 Qaul: Pehla yeh ki, nazdeeq hone se SARKAR E AAZAM ka urooj w usool muraad hai. Aur utar ane se nazool w rooju toh hasil ma'ani yeh hai ki, HAQ TAAL'A Ke Qurb se bazyab huwe. Phir wisal ki neamato'n se faizyaab ho kar khalq ki taraf mutwajja huwe. Dusra Qaul hai ki, ALLAH RAB UL IZZAT apne Lutf w Rehmat ke sath apne HABIB Se qareeb Huwa aur is Qurb main zayadati'. Teesra Qaul yeh hai ki, SARKAR E AZAM ne Muqarrab BARGAH E RUBUBIYAT ho kar Sajda e Ata'at ada kiya.
(Tafseer Ruh ul Bayan)
 

Bukhari wa muslim ki hadees mein hai ki, QAREEB HUWA ALLAH RAB UL IZZAT
 
(Tafseer E khazain Ul Irfaan)

Hadrat JAFAAR SAADIQ رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ne farmaya, ALLAH TA'ALA ne farmaya ki, ALLAH TA'ALA ne apne bande se wahi farmayi jo wahi farmayi yeh wahi be wasta thi ki, ALLAH TA'ALA aur us ke HABIB ke darmiyan koi wasta na thaa. Yeh ALLAH TA'ALA aur us ke HABIB ke darmiyan asrar hai jin jin ko in dono ke alawa koi nahi janta.
(Tafseer Ruh ul Bayan)

Jo SARKAR E AZAM ke chashme mubarak ne dekha, dil ne us ki tasdeeq ki. Matlab yeh ki, aankh se dekha, dil se pehchana. Aksar mufassireen ka yehi qaul hai ALLAH TAAL'A Ka deedar kiya.

Tirmizi Sharif ki hadees mein hai ki, HAZRAT E KAAB 'رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ne farmaya ki, ALLAH TA'ALA Ne HADRAT E MUSA عليه السلام se do martaba kalaam farmaya aur SARKAR E AAZAM ne ALLAH TA'ALA ko do martaba dekha.

Muslim Sharif ki Hadees E Marfu' se bhi yehi sabit hai ki, HAZRAT E IBN E ABBAS رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه jo bahr ul Ummat hain. Woh bhi is Aqeede per hain ke, Muslim sharif ki hadees hai "رَايتُ رَّبی بِعیُنِی وَقَلُبِی" MAIN ne apne RAB ko apni Aankh aur Apne dil se dekha.

HADRAT E HASAN BASRI رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه qasam khate hain ke, SHAB E MAIRAJ SARKAR E AAZAM ne Apne RAB ko dekha.

HADRAT E IMAM E MALIK رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ne farmaya ke, Main HADEES IBN E ABBAS رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Qa'eel hoon. SARKAR E AZAM ne apne Rab ko dekha, aur usko dekha aur us ko dekha. IMAM E MALIK رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه farmate hi rahe yaha tak ki saans khatam hogayi.

QURAN E MAJEED KI AAYATO'N AUR TAFSEER SE SABIT HOGAYA KE, SARKAR E AZAM ne Mairaj ki raat ALLAH TAAL'A ka deedaar kiya.
___________________________________________________________

TOPIC  NO :-06


Mazarat Per Haazri Aur Uski Barkatein Qur'an Se Sabit

القران: - بِسْمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ سُبْحَٰنَ ٱلَّذِىٓ أَسْرَىٰ بِعَبْدِهِۦ لَيْلًا مِّنَ ٱلْمَسْجِدِ ٱلْحَرَامِ إِلَى ٱلْمَسْجِدِ ٱلْأَقْصَا ٱلَّذِى بَٰرَكْنَا حَوْلَهُۥ لِنُرِيَهُۥ مِنْ ءَايَٰتِنَآ ۚ إِنَّهُۥ

پاکی ہے اسے جو اپنے بندے کو، راتوں رات لے گیا مسجد حرام سے مسجد اقصیٰ تک جس کے گرداگرد ہم نے برکت رکھی کہ ہم اسے اپنی عظیم نشانیاں دکھائیں،

Paaki hai usey jo apne bande ko, Raato raat le gaya MASJID E HARAM se MASJID E AQSAA tak. Jis ke ird-gird hum ne barkat rakhi, ke hum us se apni azeem Nishaniya dikhayen.

Holy is He Who carried His bondman by night from the sacred Mosque to the Aqsa Mosque (Aqsa) around which We have put blessings that We might show him Our grand signs.

[Surah Al-Isra, Ayat No:1]

Mufassireen ne ٱلَّذِى بَٰرَكْنَا حَوْلَه ki tafseer main likha hai ki, MASJID AL AQSA ke ird-gird barkato'n se MURAD MAZARAT E AMBIYA عليه السلام hain.

DEVBANDI MOLVI ASHRAF ALI THANVI ne Apni Tafseer main ٱلَّذِى بَٰرَكْنَا حَوْلَه ke tehet Masjid E Aqsaa ke ird-gird barkato'n se muraad AMBIYA عليه السلام ke Mazarat bataya hai. Yani un ke mazarat ka ba barkat hona Quran se Sabit hai.

HUZUR un ke mazarat per bhi gaye, yani ALLAH TA'ALA unhe le gaya is se maalum huwa mazarat per jana aur unka ba barkat hona Qur'an se Saabit hai. Uske alawa HADRAT IBN ABI SHEEBA رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه waali riwayat jis se muqadma SHAMI JILD 1 main bayan kiya gaya hai. Jis mein ki HUZUR SHOHADA ke Mazarat per jaya karte they, usi muqadame SHAMI mein yeh baat bhi maujood hai ki, Hadrat IMAM SHA'FAI ALEHE REHMA ko koi Masla dar pesh hota toh woh hadrat IMAM E AZAM IMAM ABU HANIFA ALEHE REHMA ke Mazaar per hazir hokar ALLAH TA'ALA se du'a farmate they.

MAALUM HUWA KI MAZARAT PER HAZRI DENA AUR USKE BARKAT QUR'AN W SUNNAT SE SAABIT HAI.

BAD MAZHABO'N KE DALAYEL KE JAWAB

#Aetraaz No 1 :-
Aur un se badh kar gumrah kaun hai jo ALLAH ke siwa Aiso ko puje jo Qayamat tak us ki na sune aur unhe un ki puja ki khabar tak nahi aur jab logo ka Hashar hoga woh unke dushman honge aur un se munkar ho jayenge.

(Surah Ahqaf, Ayat No: 5,6)

Bad Aqeeda is ayat ko AHL E ALLAH ke chahne walo per chispa karte hain aur kehte hain ke, yeh Aulia ALLAH Qayamat ke din Dushman ban jayenge.

Halaanki is ayat main BOOT parsto'n ka zikr hai. Mufassireen farmate hain ki, yeh booto'n ko kaha gaya hai; kiyo ki woh jamad aur be jaan hai. Qayamat ke din boot apne pujariyo se kahenge ki jo inki ibadat karte hain boot qayamat ke din kahenge hum ne inko ibaadat ki dawat nahi di, dar haqeeqat yeh apni khwahish ke pursitar they.

( Tafseer Khazain ul Irfaan )

#Aetraaz No 2 :-
Ha Khalis ALLAH hi ki bandagi hai aur woh jinho ne us ke siwa aur wali bana liye kehte hai hum toh unhe sirf itni baat ke liye pujte hain ki yeh hume ALLAH ke Nazdeeq kar de ALLAH un per faisla kardega.

(Surah Az-Zumar, Ayat no 3 ka kuch hissa)

Is ayat ke mutaliq mufassireen farmate hain ki, ALLAH TA'AlA Ke siwa koi Ibaadat ke laayak nahi. MABOOD aur WALI se muraad boot parast hain.

ALHAMDULILLAH hum Ahle Sunnat w jam'at ALLAH ke waliyo'n ko ALLAH TA'ALA ke nek bande jaan kar sirf aur sirf un se faiz hasil karne ke liye un ki mohabbat main unke mazarat per hazri dete hain. Un ke darbaar main hazir ho kar un ke pooja nahi karte balki unko ALLAH TA'ALA ka nek banda jaan kar jate hain. Yeh kehna ki hum KHUDA jaan kar unke pass jate hain yeh Saraasar ilzam hain aur musalmano ke is AMAL ko boot parsto se milana jahilo ka tareeqa hai.
TOPIC  NO:- 07

Mazarat Per Gumbad Aur Imaarat Banana Qur'an E Majid se saabit hai.

القران: - وَكَذَٰلِكَ أَعْثَرْنَا عَلَيْهِمْ لِيَعْلَمُوٓا۟ أَنَّ وَعْدَ ٱللَّهِ حَقٌّ وَأَنَّ ٱلسَّاعَةَ لَا رَيْبَ فِيهَآ إِذْ يَتَنَٰزَعُونَ بَيْنَهُمْ أَمْرَهُمْ ۖ فَقَالُوا۟ ٱبْنُوا۟ عَلَيْهِم بُنْيَٰنًا ۖ رَّبُّهُمْ أَعْلَمُ بِهِمْ ۚ قَالَ ٱلَّذِينَ غَلَبُوا۟ عَلَىٰٓ أَمْرِهِمْ لَنَتَّخِذَنَّ عَلَيْهِم مَّسْجِدًا

جب وہ لوگ ان کے معاملہ میں باہم جھگڑنے لگے تو بولے ان کے غار پر کوئی عمارت بناؤ، ان کا رب انہیں خوب جانتا ہے، وہ بولے جو اس کام میں غالب رہے تھے قسم ہے کہ ہم تو ان پر مسجد بنائیں گے

when they began disputing among themselves about thei r affair, then they said, "Build over their cave any building"; their Lord knows well about them; those who prevailed in their affair said, "We swear that we shall erect over them a mosque."

Jab woh log in ke maamle mein baaham jhagad ne lage, toh bole inke Gaar per koi imaarat banao, unka RAB unhe khoob janta hai, woh bole jo is kaam main GALIB rahe they, kasam hai ki, hum toh in per MASJID banayenge.

(Surah Al-Kahf, Ayat No:21)

Muffasireen ne is AYAT ki tafseer main likha hai ke, yeh waqia Ashaf e kahaf ka hai. Hukum huwa ki unki wafaat ke baad unke ird-gird imaarat banane mein jis mein musalman namaz padhe aur unke qareeb se barkat hasil kare.
(MADARK)

MASLA :-
Is se Maalum huwa ke, buzurgo ke mazarat ke qareeb masjid bana Ahle Imaan ka Kadeem tareen tareeqa hai. Qur'an E Majeed mein iska zikr farmana aur isko mana na karna is fail ke durust hone ki qawa dalil hai. Is se yeh bhi maalum huwa ki, buzurgo'n ke qurb main barkat haasil hoti hai. Is liye Ahle ALLAH ke mazarat per log Husul E Barkat ke liye jaya karte hain. Aur isi liye qabro ki ziyarat sunnat aur maujab sawab hai.

Tafseer Ruh ul bayan mein hai ki, is ayat بُنْیٰنًا mein farmaya hai, Yani unho ne kaha ki Ashab e kahaf per aisi deewar banao jo unko qabr ko ghere aur unke mazarat logo ke jane se mehfooz ho jaye. Jaise ki HUZUR ki Qabr Sharif Char diwari se gher di gayi hai magar yeh baat na manzoor huwi tab masjid banayi gayi.

Tafseer Ruh ul Bayan main zere ayat إِنَّمَا يَعْمُرُ مَسَٰجِدَ ٱللَّهِ مَنْ ءَامَنَ بِٱللَّهِ main hai ki, Ulma aur Aulia Saliheen per imaarat banana jayez hai. Jabki us se maqsood logo ki nigaho mein azmat paida karna hota, ki log us qabar wale ko haqeer na jane.

NAJDI hadees laate hain ke, HUZUR ne HADRAT ALI رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ko hukum farmaya ke, tasweer ko mita do aur Unchi qabro ko baraber kardo.

Jin qabro ko gira dene ka hukum HADRAT ALI رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ko diya gaya, woh Kuffar ki Qabrein thi. Musalmano ki qabre na thi. HAR SAHABI رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ke dafan main HUZUR Shirkat farmate they. SAHABA E KIRAAM رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه koi kaam HUZUR ke bager na karte they, lihaaza us waqt jis qadar musalmano ki qabre bane woh ya toh HUZUR ki maujoodgi main ya AAP ki ijazat se toh woh kaun se musalman ki qabre they jo ki najayez ban gayi aur unko mitana pada ? Haan, Isaaiyo'n ki Qabre unchi hoti thi. BUKHARI SHARIF, jild 1, MASJID E NABVI Ki taamir ke bayan main hai ke, HUZUR ne mushriko ki qabro ka hukum diya unhe ukhed di gayi.(Yani mushrikeen ki qabre gira dene ka hukum diya woh gira di gayi)

___________________________________________________
TOPIC  NO:- 08
Waseela Pakadna ALLAH Ka Hukum Hai.


القُران :- یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوا اتَّقُوا اللہَ وَابْتَغُوۡۤا اِلَیۡہِ الْوَسِیۡلَۃَ وَجٰہِدُوۡا فِیۡ سَبِیۡلِہٖ لَعَلَّکُمْ تُفْلِحُوۡنَ
 

اے ایمان والو اللّٰہ سے ڈرو اور اسکی طرف وسیلہ ڈھونڈو اور اس کی راہ میں جہاد کرو اس
 
امید پر کہ فلاح پاو
 

'Aye Imaan walo! ALLAH se daro aur uski taraf waseela dhundo. Aur us ki raah mein Jihaad karo, is umeed per ki FALAH pao.'
 

'O believers! fear Allah and seek the means of approach to Him and strive in His way, hope you may get prosperity.'

(AL-MAIDA - 5:35)

Is Ayat mein waseela dhundhne ka hukum diya gaya hai. Is ayat mein yeh kahin nahi likha hai ke, sirf zinda aadmi ka waseela pakdo ya sirf AMBIYA عليه السلام hi ka waseela pakadne ka hukum diya gaya balki, har nek hasti ka waseela pakadne ka hukum diya gaya hai.

Warna agar sirf HUZUR waseela mangna jayez hota toh is Ayat main us ki qaid hoti. Lekin sirf waseela talash karne ka hukum humein bata raha hai ki, har nek hasti ka waseela pakdna jayez hai. Waseele ka inkaar Qur'an E Majeed ka inkaar hai.

القران :- وَقَالَ لَہُمْ نَبِیُّہُمْ اِنَّ اٰیَۃَ مُلْکِہٖۤ اَنۡ یَّاۡتِیَکُمُ التَّابُوۡتُ فِیۡہِ سَکِیۡنَۃٌ مِّنۡ رَّبِّکُمْ وَبَقِیَّۃٌ مِّمَّا تَرَکَ اٰلُ مُوۡسٰی وَاٰلُ ہٰرُوۡنَ تَحْمِلُہُ الْمَلٰٓئِکَۃُ ؕ اِنَّ فِیۡ ذٰلِکَ لَاٰیَۃً لَّکُمْ اِنۡ کُنۡتُمۡ مُّؤْمِنِیۡنَ

اور ان سے ان کے نبی نے فرمایا اس کی بادشاہی کی نشانی یہ ہے کہ آئے تمہارے پاس تابوت جس میں تمہارے رب کی طرف سے دلوں کا چین ہے اور کچھ بچی ہوئی چیزیں معزز موسیٰ اور معزز ہارون کے ترکہ کی اٹھاتے لائیں گے اسے فرشتے بیشک اس میں بڑی نشانی ہے تمہارے لئے اگر ایمان رکھتے
 
ہو
 

Bani Israeil se un ke NABI ne farmaya, is ki badshahi ki nishani yeh hai ke, aaye tumhare pass ek Taaboot, jis mein tumhare RAB ki taraf se dilo'n ka chain hai aur kuch bachi huwi cheezein. Ma'aziz MOOSA aur HAAROON ke tarka ki uthate laayenge ise farishte. Beshak, is mein badi nishaani hai tumhare liye, agar imaan rakhte ho.

And their prophet said to them: 'The sign of his kingship is that there would come to you an ark in which there is tranquility of hearts from your Lord, and there are something left of the relics of the respectable Moosa and the respectable Haroon, the angels raising it would bring. No doubt, in it there is great sign for you if you believe.'

( AL-BAQARAH - 2:248 )

Is Ayat ki tafseer mein Tafseer khazain Ul Irfaan, Tafseer Ruh ul bayan, Tafseer madarak aur Jalaalen Sharif mein likha hai ki, taabood ek shashad ki lakdi ka sandooq thaa. Jis main AMBIYA ki tasweer ( Yeh tasweer kisi insaan ne na banayi thi ) unke makaanat Sharif ke naqshe aur HADRAT E MOOSA عليه السلام ka ASA'A aur unke kapde aur AAP عليه السلام ke naalen sharif aur HADRAT HAAROON عليه السلام ka ASA'A aur unka Amaama Sharif wagera thaa. Bani ISRAIEL jab dushman se jung karte, toh barkat ke liye us ko Samne rakhte they. Jab KHUDA TA'ALA se dua karte, toh barkat ke liye uski samne rakh kar du'a karte they.
 

ALLAH Waseele ka mohtaj nahi balki hum gunehgaro ko waseele ki zaroorat hai. Ab saabit hogaya ki waseela bilkool jayez hai.
 

Hum AHL E SUNNAT W JAMA'AT ka Aqeeda hai ki, kisi ke waseele se mangne se ALLAH TA'ALA Jaldi sunta hai aur Du'a Radd nahi farmata. Us ke saath saath waseele se mangne walo per biddato'n ka fatwa lagana Qur'an ka inkar hai.
 

Bad Aqeedo ki dalil ka jawab

#Aetraaz
 :-
Bad Aqeeda kehte hain ki, aamaal ka waseela mangna chahiye. Is Aayat se murad aamaal ka waseela hai, AMBIYA عليه السلام aur Auliya e karam ka nahi hai.
 

Jawaab :-
 
Koi bhi musalman is baat ki sanad nahi de sakta ki, hamare aamaal ALLAH ki bargha mein maqbool hain. Magar is baat per tamaam musalmano ka imaan hai ke, AMBIYA عليه السلام ALLAH TA'ALA ke buguzeda bande hain. ALLAH TA'ALA ki bargah mein maqbool hain. Ab AAP khud faisla kar lijiye ki, aamaal ka waseela Mazboot huwa ki AMBIYA E KARAM aur Auliya E karam ka ?


TOPIC  NO :- 09

Abdul Mustafa, Abdur Rasool Aur Abdul Ali Wagerah Naam Rakhne Ka Saboot. 

Abdul Mustafa, Abdur Rasool Aur Abdul Ali wagerah naam rakhne per baaz log aetraaz karte hain. Halanki, yeh naam rakhna jayez hai.
 

القران :- وَ اَنۡکِحُوا الْاَیٰمٰی مِنۡکُمْ وَ الصّٰلِحِیۡنَ مِنْ عِبَادِکُمْ وَ اِمَآئِکُمْ ؕ
 

اور نکاح کردو اپنوں میں ان کا جو بے نکاح ہوں اور اپنے لائق بندوں اور کنیزوں کا

"And perform marriage of those among you who have not been married."

( AL-NOOR - 24:32 )

القران :-
قُلْ یٰعِبَادِیَ الَّذِیۡنَ اَسْرَفُوۡا عَلٰۤی اَنۡفُسِہِمْ لَا تَقْنَطُوۡا مِنۡ رَّحْمَۃِ اللہِ ؕ 

تم فرماؤ اے میرے وہ بندو جنہوں نے اپنی جانوں پر زیادتی کی اللّٰہ کی رحمت سے ناامید نہ ہو
 

Say you, "O My slaves, who have committed excesses against their own souls, despair not, of the mercy of ALLAH"
(All Muslims are truely Slaves of Prophet Muhammad- Peace Be Upon Him)

( AL-ZUMAR - 39:53 )

Is یٰعِبَادِیَ mein do Ehtamal hai. Ek yeh ki ALLAH TA'ALA farmata hai, "Aye bando!" Dusre yeh ki, SARKAR E AZAM ko hukum diya gaya ki AAP farma dein, "Aye MERE BANDO!"

Is dusri Surat mein ABAD E RASOOL hai, yaani "ABAD" se Muraad SARKAR E AZAM ka ghulam, aur Ummati isi surat ko buzurgaan E Deen ne bhi akhtiyar kiya.
 

Baaz Log samjhte hain ki, (MA'AZ ALLAH) "ABAD" se Murad Sirf ALLAH TA'ALA ka banda ya paalne wale ka banda hai. Yeh Ghalat baat hai ki, Qur'an E Majeed ne is Aqeede ko "RADD" kardiya aur samjhaya ki "ABAD" se muraad Ghulam aur Naukar ke bhi hote hain.

Maslan: Koi Seth kisi dusre seth ko phone karta hai toh kehta hai ki, mera banda tumhare pass aa raha hai, toh kiya ( MA'AZ ALLAH ) seth ne Shirk kiya ? Nahi, balki hamara naukar hamara admi tumhare pass aayega.
 

Kitab " اذالۃ الخُلفا " mein HADRAT SHAH WALI ALLAH SAHEB bahawala الریاض النظرہ wagerah mein farmate hain ke, HADRAT E UMAR رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ne mimbar per khitab main farmaya:
 

"MAIN SARKAR E AZAM KE SAATH THA, BUS MAIN AAP KA BANDA AUR KHAADIM THA"

ABDUL MUSTAFA, ABDUR RASOOL NAAM RAKHNE SE MURAAD SARKAR E AZAM KA GHULAM HAI. YEH BILKOOL SAHI TAREEQA HAI AUR SAHABA E KIRAAM رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه KA TAREEQA RAHA HAI.
______________________________________________
TOPIC  NO :- 10
SARKAR E AZAM Likhna jaante they, magar kisi se bhi na padhe.

Baaz log SARKAR E AZAM Ko "UMMI" laqab ka Meaning An'padh ( Bagair padha likha ) MA'AZ ALLAH lete hain.

Is tarha ke alfaz SHAN E RISAALAT mein Be-Adabi hai. SARKAR E AZAM toh Saari insaniyat ko ilm seekhane aur padhane ke liye tashreef laaye hain.

القران :- اَلرَّحْمٰنُ ۙ
عَلَّمَ الْقُرْاٰنَ خَلَقَ الْاِنۡسٰانَ عَلَّمَهُ الْبَیَانَ 

رحمٰن نے اپنے محبوب کو قرآن سکھایا انسانیت کی جان محمّد کو پیدا کیا ما کان وما یکون کا بیان انہیں سکھایا

REHMAN ne Apne Mehboob ko Qur'an seekhaya. Insaniyat ki jaan MOHAMMAD ko paida kiya, makaan o mayakoon Ka bayaan unhe seekhaya.

The Most Affectionate taught the Qur'an to His beloved. He created Mohammad, the soul of humanity. He taught him speech regarding whatever had already happened and whatever will happen.
 

Ar-RAHMAN - 55:1/2/3/4

القران: -ؕ وَاَنۡزَلَ اللہُ عَلَیۡکَ الْکِتٰبَ وَالْحِکْمَۃَ وَعَلَّمَکَ مَا لَمْ تَکُنْ تَعْلَمُ ؕ وَکَانَ فَضْلُ اللہِ عَلَیۡکَ عَظِیۡمًا

اللّٰہ نے تم پر کتاب اور حکمت اتاری اور تمہیں سکھادیا جو کچھ تم نہ جانتے تھے اور اللّٰہ کا تم پر بڑا فضل ہے
 

ALLAH ne tum per kitaab aur hikmat utaari aur tumhe seekha diya jo kuch tum na jante they. Aur ALLAH ka tum per bada fazl hai.

Allah sent down to you the Book and Wisdom and has taught to you what you did not know, and great is the grace of ALLAH upon you.

An-NISA - 4:113

Yeh dono Ayatein saabit karti hain ke, SARKAR E AZAM ko ALLAH TA'ALA ne woh tamaam uloom seekha diye. Qur'an mein tamaam uloom maujood hai. Ab woh kaun sa ilm ho sakta hai jo SARKAR E AZAM ko ALLAH TA'ALA ne na seekhaya ho.
 

HAZRAT E AAYESHA SIDDIQUA رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰعنها ki muslim sharif wali hadees mein hai ki, SARKAR E AZAM Aiyam e Alalat mein Qalam aur dawaat mangwaya aur farmaya ke, main kuch likhun.

SARKAR E AZAM ne sekdo'n khatoot baadshaho'n ko likhe aur apni dastakhat bhi farmayi. Maalum huwa ki, SARKAR E AZAM likhna jante they aur lafz "UMMI" se muraad padhna hai. Yaani siwaaye ALLAH TA'ALA ke kisi se bhi na padha.
 

HUZUR E PAAK ke farman padh kar koi Mufti ban jaata hai, koi Aalim ban jaata hai, koi mohaddees ban jaata hai, toh koi danishwar ban jaata hai. Toh HUZUR E PAAK Ke Ilm e Mubarak ka kaun andaza kar sakta hai ?

TOPIC NO :- 11

*AZMAT E AMBIYA عليه السلام Qur'an ki Roshni mein*

Islami Aqaayed mein yeh baat maujood hai ki, *AMBIYA عليه السلام aur *FARISHTEY* Maasum hain. SAHABA E KARAM رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه aur AULIYA E KIRAAM Masoom nahi. Magar *ALLAH TA'ALA* in ko apne fazal se gunaho'n se bacha leta hai.
 

*AMBIYA عليه السلام aur FARISHTO'N* se gunah ka hona toh dar kinar, aisa sochna bhi محال hai. AMBIYA عليه السلام ko Gunahgar tehrana bhi gumrahiyat hai.
 

القُران :-
إِنَّ عِبَادِى لَيْسَ لَكَ عَلَيْهِمْ سُلْطَٰنٌ

بیشک جو میرے بندے ہیں ان پر تیرا کچھ قابو نہیں،
 

"Beshaq! Mere khaas bando per tera kuch qaabu nahi."

"No doubt, those who are My bondmen, you have no control over them."

17-Al-Isra : 65.
 

Maalum huwa ki, AMBIYA عليه السلام aur ALLAH TA'ALA ke burguzida bando per Shaitan ki pohanch nahi aur unhe na gumrah kar sake aur na be'raah chala sake. Phir un se gunah kyun kar sarzad ho.

HADRAT E YUSUF عليه السلام ne farmaya thaa.
 

مَا کَانَ لَنَاۤ اَنۡ نُّشْرِکَ بِاللہِ مِنۡ شَیۡءٍ ؕ
 

ہم گروہ انبیاء کیلیے لائق نہیں کہ خدا کیساتھ شرک کرے
 

"Hum Gurah AMBIYA ke liye laayaq nahi ki, KHUDA ke sath Shirk kare."

"It is not for us to associate anything with Allah."

( YUSUF - 12:38 )

Hadrat SHOIB عليه السلام ne apni Qaum se farmaya thaa:

وَمَاۤ اُرِیۡدُ اَنْ اُخَالِفَکُمْ اِلٰی مَاۤ اَنْہٰکُمْ عَنْہُ ؕ

اور میں نہیں چاہتا ہوں کہ جس بات سے تمہیں منع کرتا ہوں آپ اسکا خِلاف کرنے لگوں.

"Aur main nahi chahta hun ki jis baat se tumhe mana karta hun, khud us ke khilaf karne lagun."

"I do not desire that I myself begin to do against that which I forbid you to do."

( HUD - 11:88 )

Maalum huwa ke, AMBIYA عليه السلام Shirk aur Gunah karne ka irada kabhi nahi farmate, yeh hi asmat ki haqeeqat hai.
 

Aaj log bakwas karte huwe kehte hain ki, { MA'AZ ALLAH } jab jab HADRAT E ADAM عليه السلام se Gunah ho sakta hai, toh hum kaise bach sakte hain, aur ( MA'AZ ALLAH ) unhe jannat se nikaal diya gaya.
 

Yeh raaz woh samjhte hain, jo Lizzat E Ishq se waaqif ho.
 

ALLAH TA'ALA ne Shaitan se kaha thaa, اُخرُج مِِِنهَا aur yahan farmaya gaya hai. اهبِطُوامِِنها جَمِيعاً jis mein bataya gaya ki, tum kuch arsa ke liye zameen mein bheje ja rahe ho phir apni karodo aulad ke saath wapas yahin aaoge. Yani do (2) ja rahe ho aur karodo ko sath laaoge. Buzurgaan E deen farmate hain ki, HADRAT E ADAM عليه السلام ne hum ko jannat se na nikala balki hum ne unhe waha se alheda kiya kyunki, un ki pusht sharif main kuffar w fassaq sab hi ruhe thi jo ki jannat ke qabil na they. Hukum huwa ke, Aye ADAM عليه السلام niche ja kar in khabbiso'n ko chhod aao. Phir apki jagha yeh hi hai, yani jannat hi hai.
 

( مرقات باب الایمان بالقدر)
 

HADRAT E ADAM عليه السلام ko banaya hi zameen ke liye thaa, unhe zameen ke liye khalifa banaya gaya. Gandhum ka khana AAP عليه السلام ki bhul thi, gunah na thaa, us ko gunah nahi kehna chahiye. Balki, ADAM عليه السلام ko inaam deta gaya ki, un ki Aulad mein AMBIYA W AULIYA khusoosan SARKAR E AZAM paida huwe.
_________________________________________
TOPIC NO:-- 12
_*Buzurgaan E Deen Ke Tabarrukaat Ki Barkat Qur'an E Majeed Se*_

*ALLAH TA'ALA* ke Nek bando se jis cheez ko nisbat ho jaye, woh Aala w Ba'barkat ho jati hai. Un ka adab karna zarori hai. Un se barkatein haasil hoti hai, yeh *Qur'an E Majeed* Se Saabit hai.
 

القران :-*وَقَالَ لَهُمْ نَبِيُّهُمْ إِنَّ ءَايَةَ مُلْكِهِۦٓ أَن يَأْتِيَكُمُ ٱلتَّابُوتُ فِيهِ سَكِينَةٌ مِّن رَّبِّكُمْ وَبَقِيَّةٌ مِّمَّا تَرَكَ ءَالُ مُوسَىٰ وَءَالُ هَٰرُونَ تَحْمِلُهُ ٱلْمَلَٰٓئِكَةُ ۚ
 

اور ان سے ان کے نبی نے فرمایا اس کی بادشاہی کی نشانی یہ ہے کہ آئے تمہارے پاس تابوت جس میں تمہارے رب کی طرف سے دلوں کا چین ہے اور کچھ بچی ہوئی چیزیں معزز موسی ٰ او ر معزز ہارون کے ترکہ کی اٹھاتے لائیں گے اسے فرشتے،
 

Aur BANI ISRA'IL se unke NABI ne farmaya ki, Taalut ki Baadshahi ki nishaani yeh hai ke, tumhare paas ek taaboot aayenga, jis mein tumhare RAB ki taraf se dilo'n ka chain hain aur kuch bachi hui chizein hain. Mua'ziz MOOSA aur Mua'ziz HAROON ke tarka ki uthaye honge us farishte ko.

And their Prophets said to them: 'The sign of his Kingship is that, there would come to you an ark, in which there is tranquility of hearts from your Lord, and there are something left of the relics of the Respectable MOOSA and Respectable HAROON, the Angels would bring it raising.'

*(AL-BAQARAH - 2:248)*

Is Ayat ki Tafseer, *Tafseer E khazain Ul Irfaan, Ruh ul Bayan, Tafseer madarak aur Tafseer E Jalaleen* wagairah mein likha hai ki, Taaboot ek shamshad ki lakdi ka sandook thaa, jis mein *AMBIYA عليه السلام* ki tasweer ( yeh kisi insaan ne nahi banayi thi balki qudrati thi ) unke makanat shareefa ke naqshe aur *HADRAT E MOOSA عليه السلام* ka Asaa Mubaraka aur unke kapde, AAP ki naalen Sharif aur *HADRAT HAROON عليه السلام* ka Asaa aur unka Amaama Sharif wagairah thaa. BANI ISRAEIL jab dushman se jung karte, toh barkat ke liye us ko samne rakhte they. Jab ALLAH RAB UL IZZAT se Du'a karte, toh us ko samne rakh kar Du'a karte they.
 

Bus Sabit huwa ke, Buzurgaan e Deen ke TABARRUKAAT se Faiz aur Barkat lena, unki Taazim karna jayez hai.

ٱرْكُضْ بِرِجْلِكَ ۖ هَٰذَا مُغْتَسَلٌۢ بَارِدٌ وَشَرَابٌ
 

*(38-Sad : 42)*

*HADRAT AYUB عليه السلام* ke pao se jo paani paida huwa, woh shifa bana.
 

Sureh yusuf mein hai ki, *HADRAT YUSUF عليه السلام*ka kurta jab *YAQOOB عليه السلام* ne apni ankho'n se lagaya, toh unki zahiri ankhe Roshan hogayi. Qur'an E Majeed mein hai, "Aye *MEHBOOB *Muqaam E Ibrahim ko musalli bana lo. Kyunki, is ko nisbat HADRAT *IBRAHIM عليه السلام* se hogayi.
 

Is ke alawa *SAHABA E KIRAAM* bhi *SARKAR E AZAM * ke Jubba Mubarak, Tehband Sharif, Wazu ka paani aur Lu'aab E dehen ko barkat ka ba'as jaan kar inki Taazim w Takrim karte they. Maalum huwa, jis cheez ko *ALLAH TA'ALA* ke nek bando se nisbat ho jaye, woh baa barkat ho jati hai.
____________________________________________

___________________TOPIC  NO :--- 13
_*Ayyam E Buzurgaan E Deen ( koi Amal karne ke liye kisi khas din ko fixed karna ) *ALLAH TA'ALA* Ke Din Hai farman E Qur'an*_

*ALLAH TA'ALA* ke Nek bando'n ki yaad manane mein; Din, Tareekh muqarrar karna aur unke dino ko manana jayez hai. 

Is ko Shirk kehna, intehayi darje ki Jahaalat w Be-deeni hai.

القران :- ِ وَذَكِّرْهُم بِأَيَّاٰمِ ٱللَّهِ ۚ.
 

اور انہیں اللّٰہ کے دن یاد دِلا

"Aur unhe *ALLAH* ka din yaad dilao."

"And remind them of the days of *ALLAH*"

*(IBRAHIM- 14:5)*

*HADRAT E MOOSA عليه السلام* se *ALLAH TA'ALA* farmata hai ki, woh din yaad dilao, Jin mein *ALLAH TA'ALA* ne Bani Israel per ne'matein utari, jaise Garq E Firoan man w salwa ka nazul wagairah.

Maalum huwa ki, jin dino mein *ALLAH TA'ALA* apne bando'n ko ne'mat de, us din unki yaad manane ka hukum hai.
 

Jumu'ah ka din isliye afzal hai ki, us din guzishta *AMBIYA عليه السلام* per inaam huwa. HADRAT ADAM *عليه السلام* ki paidaish huwi. Unke liye sajda karwana, *HADRAT ADAM عليه السلام* ka duniya main tashreef laana. *HADRAT NOOH عليه السلام* ki kashti paar lagana. *HADRAT YUNUS عليه السلام* ka machli ke pet se bahar aana. Lihaza, *JUMU'AH* aam dino ka *SARDAR* hogaya.
 

Ek *SAWAAL* hamara unke logo se:-

Agar din muqarrar karna shirk hai, toh madarsa Devband ki tarikh imtehaan muqarrar karna, madarsa Devband w Ahle Hadees mein chhuttiya'n muqarrar karna, Dastar Bandi karne ke liye din muqarrar karna, Daura Hadees muqarrar, Devbandi aur Ahle Hadees molviyo'n ke salary ka din muqarrar karna. Tabligi aur Ahle Hadees ke Ijtema ke liye Din, Ghanta aur Tareekh muqarrar karte huwe tumhara *SHIRK* kidhar jata hai ?
 

Nadaano! *BUZURGAAN E DEEN* ke Ayyam manane ko shirk kehne ke shauq mein, apne ghar ko toh aag na lagao. Yeh tareekh mehez aadat ke taur per muqarrar ki jati hai, taaki log muqarrar waqt, din aur tareekh mein fala'n jagha jama ho jaye. Us ke alawa din muqarrar karne ka koi matlab nahi.
____________________________________________

TOPIC NO :- 14

*WAALIDEN RASOOL * Ka Musalman Hona Qur'an Se Saabit

*SARKAR E AZAM * ke *WAALIDEN KARIMEN* HADRAT _SAYYED ABDULLAH رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه_ aur _HADRAT AAMINA رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰعنها_ aur un ke alaawa *SARKAR E AZAM * jin jin pushto'n se muntaqil ho kar _HADRAT ABDULLAH رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه_ki peshaani mein chamke, woh tamaam musalman they, un mein se koi ghair muslim na thaa.
 

القران :- رَبَّنَا وَٱبْعَثْ فِيهِمْ رَسُولًا

اے رب ہمارے اور بھیج ان میں ایک رسول
 

*HADRAT E IBRAAHIM عليه السلام* ne *ALLAH TA'ALA* se Du'a farmayi: "_Aye Rab! Hamare orr bhej in mein ek_*RASOOL*
 

O Lord! And send towards them a *NOBLE MESSENGER*, from amongst them.

*(AL-BAQARAH - 2:129)*

القران :- وَتَقَلُّبَكَ فِى ٱلسَّٰجِدِينَ

اور نمازیوں میں تمہارے دورے کو

"Hum tumhara *NOOR E PAAK* Sajda karne walo'n mein gardish karta dekh rahein hain"

"And watches your movement among those, who prostate in your prayer."

*(Ash-Shu'ara - 26:219)*

Maalum huwa ki, *SARKAR * ka *NOOR E PAAK* sajda karne wale Nek logo'n se Muntaqil ho kar *HADRAT AMINA رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰعنها ke Batan E Mubarak aur *HADRAT ABDULLAH رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ki peshani mein chamka.
 

IMAM ISHQ E MOHABBAT ALA HADRAT FAZIL E BAREILVI ALEHE REHMA ki kitab " شمول الاسلام " aur HADRAT PEER MOHAMMAD KARAM SHAH AZHARI ALEHE REHMA ne apni kitab "ضیاالنبی ﷺ" mein un Ulema E Islam ke naam likhe hain jinho ne *HUZUR عليه السلام* ke *WAALIDEN KAREEMEN* ke *MOMEEN* hone per kitab e Tehreer ki hai.
 

IMAM ABU HAFS BIN AHMED BIN SAHEEN BAGDADI' SHAIKH AHMED SARHINDI BIN ALI BIN SABIT BIN AHMED BIN MEHDI KHATIB ALI L BAGDADI' HAFIZ ALSHAN MOHADDIS IMAM ABUL QASAM ALI BIN HASAN ASAKIR' IMAM AJAL ABUL QASAM ABDUL REHMAN BIN ABDULLAH BIN AHMED SAHELI' ALLAMA SALEH ALDEEN SAFVI' ALLAMA SHARIF UDDIM MANVI' IMAM FAKHRUDDIN RAZI' IMAM JALLUDDIN SIYUTI' IMAM ABDUL WAHAB SAA'RANI' MOHAQQIQ SHAH ABDUL HAQ MOHADDIS DEHELVI RIZWANULLAH TAAL'A ALEHIM AJMAEEIN in tamam *ULMA E UMMAT* ka Imaan raha hai ki, *SARKAR E AZAM * Ke *WAALIDEN KAREEMEN* *MOMEEN* aur *JANNATI* hain. Lehaza *WAALIDEN MUSTAFA * Per kufr ka fatawa lagane wale khud *KAAFIR* hain.
__________________________________________
TOPIC NO :--- 15
*HADRAT E IBRAHIM عليه السلام ke waalid ka Musalman hona Qur'an se Saabit hai.*

Azar Boot parast tha. Woh HADRAT IBRAHIM عليه السلام ka CHA CHA thaa, walid nahi thaa.
 

القران :-
وَ اِذْ قَالَ اِبْرٰہِیۡمُ لِاَبِیۡہِ اٰزَرَ اَتَتَّخِذُ اَصْنَامًا اٰلِہَۃً ۚ 

خبردار اور یاد کرو جب ابراہیم نے اپنے باپ ( يعنی چچا ) آزر سے کہا کیا تم بتوں کو خدا بناتے ہو
 

"Aur yaad karo jab Ibrahim ne apne baap (Yani cha cha ) Azar se kaha, kiya tum Booto'n ko khuda banate ho ?

"And remember when Ibrahim said to his father, (Father's brother) Azar! 'Do you take the idols for Gods ?"

(SURAH AL-ANAAM - 6:74 )

Is Ayat ki Tafseer mein Mufassireen farmate hain ke, "Qaamoos" jo ki arabic ki mash'hur Lugat ka naam hai, is mein mazkoor hai ki Azar HADRAT E IBRAHIM عليه السلام ke cha cha ka naam hain. IMAAM JALALUDDIN SEEYUTI ALEHE REHMA ne "مسالک الحنفاء" mein bhi aisa hi likha hai ki, CHA CHA ko baap kehna tamaam mamalik bilkhusoos ARAB mein cha cha ko baap bhi kaha jata thaa.
 

القران :- أَمْ كُنتُمْ شُهَدَآءَ إِذْ حَضَرَ يَعْقُوبَ ٱلْمَوْتُ إِذْ قَالَ لِبَنِيهِ مَا تَعْبُدُونَ مِنۢ بَعْدِى قَالُوا۟ نَعْبُدُ إِلَٰهَكَ وَإِلَٰهَ ءَابَآئِكَ إِبْرَٰهِۦمَ وَإِسْمَٰعِيلَ وَإِسْحَٰقَ إِلَٰهًا وَٰحِدًا

(SURAH AL-BAQARAH - 2:133)

Is ayat mein HADRAT ISMAIL عليه السلام ko HADRAT YAQOOB عليه السلام ke waliden mein zikr kiya gaya hai. Halanki, HADRAT ISMAEIL عليه السلام HADRAT YAAQOOB عليه السلام ke CHA CHA mein se they. Aaj kal bhi baaz qaumo'n mein CHA CHA ko bade ABBA kaha jata hai. Halanki, woh waalid nahi hote CHA CHA hote hain.
 

*
رَبَّنَا اغْفِرْ لِی وَلِوٰلِدَیَّ وَلِلْمُؤْمِنِیۡنَ یَوْمَ یَقُوۡمُ الْحِسَابُ *

اے ہمارے رب مجھے بخش دے اور میرے ماں باپ کو اور سب مسلمانوں کو جس دن حساب قائم ہوگا
 

(HADRAT IBRAHIM عليه السلام ne ALLAH TAAL'A se Du'a ki) "Aye hamare RAB mujhe bakhsh de aur mere maa baap ko aur sab musalmano ko jis din hisaab qaayam hoga."

"O our Lord! forgive me, and my parents and all Muslims on the Day when reckoning shall take place."
 

*(SURAH IBRAHIM - 14:41)*

Yeh baat sab jante hain ke, Kaafir ke liye Du'a E Maghfirat nahi ki jati. HADRAT E IBRAHIM عليه السلام ka apne Waliden ke liye Du'a karna is baat ki daleel hai ki, woh TAUHEED PARAST they yani Momin aur Jannati they.
 

Mufassireen ne HADRAT IBRAHIM عليه السلام ke walid ka naam "تارخ" bataya hai. Tamaam Mufassireen ka is baat per ijmah hai.
_________________________________________
TOPIC  NO :--16
Nazr w Niyaz Ki kiya Haqeeqat Hai ?

القران :-
حُرِّمَتْ عَلَیۡکُمُ الْمَیۡتَۃُ وَالدَّمُ وَلَحْمُ الْخِنْزِیۡرِ وَمَاۤ اُہِلَّ لِغَیۡرِ اللہِ بِہٖ

تم پر حرام ہے مُردار اور خون اور سور کا گوشت اور جس کے ذبح میں غیر خدا کا نام پکارا گیا.

"Tum per haram hai murdaar aur khoon aur suwwar ka ghosht aur woh jiske zubah mein GHAIR ALLAH ka naam pukara gaya."

"You are forbidden (to eat) the dead and blood and the flesh of swine and that on which any name has been invoked other than ALLAH at the time of slaughtering."
 

( AL-MAIDA - 5:3 )

القران :- اِنَّمَا حَرَّمَ عَلَیۡکُمُ الْمَیۡتَۃَ وَالدَّمَ وَلَحْمَ الْخِنۡزِیۡرِ وَ مَاۤ اُہِلَّ لِغَیۡرِ اللہِ بِہٖ

تم پر تو یہی حرام کیا ہے مُردار اور خون اور سور کا گوشت اور وہ جس کے ذبح کرتے وقت غیر خدا کا نام پکارا گیا.
 

"Tum per toh yehi haraam kiya hai murdar aur khoon aur suwwar ka ghosht aur woh jis ke zubah karte waqt GHAIR KHUDA ka naam pukara gaya."

"He has made unlawful to you only these, the dead, and the blood. And the flesh of swine, and that upon which other than God's name has been pronounced at the time of slaughter."

( AN-NAHL - 16:115 )

Ahle sunnat ke nazdeeq ma'ana yeh hai ke, Zubha karte waqt kisi janwar per GHAIR ALLAH ka naam pukara jaye, jaisa ki muatabar tafseer mein hai. BEZAVI'MADARAK'IBN ABBAS'KHAZIN' Wagairah in tamaam khulasa yeh hai ki, Waqt e Zubha kisi GHAIR ALLAH ka naam janwar per pukara jaye, toh woh haraam hai, warna haraam nahi, balki halaal hai. Jaisa ki Aaj kal AULIYA ALLAH ki ruh ko ISAAL E SAWAB kiya jata hai. Yeh sahi hai.
 

Ab Ahle Sunnat Wa Jam'at ke aqeede ki taa'eed mein muatabar tafseer ke hawale mulahiza ho.
 

1) Tafseer Ibn Abbas رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه mein hain:

وَمَا اُهِلَّ بِهِ لِغَُيرِ اللهِ ای ذبح لغیر اسم الله عندالاصنام
 

Tarjuma :- Jo ALLAH TAAL'A ke naam ke baghair booto'n ke naam per zubah kiya gaya ho.
 

2) Tafseer Jalalen mein hain:

Tarjuma :- Zubha karte waqt jis per GHAIR KHUDA ka naam le woh bhi haraam hai " اہلال" ka ma'ana pukarne aur naam lene ke hain. Jab kufar zubah karte waqt apne booto'n ke naam le kar zubha karte they aur chhuri phirate they tab yeh ayat nazil huwi ki, zubha karte waqt booto'n ka naam liya jaye woh haram hai.
 

In tamaam tafseer se saabit huwa ki, Waqt e Zubha jis janwar per GHAIR ALLAH ka naam zikr kiya jaye us ka khana haram hai. Mushrikeen arab booto'n ki qurbani ke janwar per zubha GHAIR ALLAH ka naam lete they. Aur janwar per zubha karte waqt GAIR ALLAH ka naam na liya jaye. Woh halal hai agarche umar bhar usko GHAIR ALLAH Ke naam se pukara ho.

Maslan yeh kaha, Zaid ki gaaye, Abdul Rehman ka dumba'Aqeeqe ka bakra magar Waqt e Zubha "BISMILLAH ALLAHU AKBAR" kaha gaya ho toh woh janwar halal hai.
 

Hindu'on ka boot per chadhawa chadehe. Hindu'on ke booto'n ke alag alag naam rakhe huwe hain. Woh mandir per ja kar booto'n ka naam lekar janwaro aur deegar cheeze ko bali chadhate hai jo ki haraam hai.
 

Musalmano ka Nazr O Niyaz karna:-
 
Musalman ALLAH TAAL'A ko Khaliq e Haqiqi mante hain. Auliya E Kiraam ko Maratib ALLAH TA'ALA ne diya hai. "Nazr w Niyaz" AULIYA ALLAH ke Isaal E Sawab ke liye ki jati hai. Musalman janwar ko "BISMILLAH ALLAHU AKBAR" padh kar ALLAH TA'ALA ki bargha mein pesh karte hain, phir is ka sawab AULIYA ALLAH ko isaal karte hain.

Hadees Sharif :-
HADRAT JABIR رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه farmate hain ki, SARKAR E AZAM ne Eid Ul Adha ( Bakri Eid ) per ek "Mendha" zubha kar ke farmaya: "Yeh Qurbani Meri aur Meri Ummat ki un ashkash ki taraf se jinho ne Qurbani nahi ki."

(Ref: Abu Dawood Sharif)
 

Jis Tarha SARKAR E AZAM janwar zubha kar ke Ummat ko sawab dete they, hum isi tarha janwar zubha kar ke AULIYA ALLAH Ko Isaal E Sawab karte hain, jo ki JAYEZ hai.
____________________________________________
TOPIC NO :- 17
Gustakh E RASOOL Kaafir hain.

القران :- یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا لَا تَقُوۡلُوۡا رٰعِنَا وَقُوۡلُوا انۡظُرْنَا وَاسْمَعُوۡا ؕ وَ لِلۡکٰفِرِیۡنَ عَذَابٌ اَلِیۡمٌ

اے ایمان والو رَاعِنَانہ کہو اور یوں عرض کرو کہ حضور ہم پر نظر رکھیں اور پہلے ہی سے بغور سنو اور کافروں کے لئے دردناک عذاب ہے.

Aye IMAAN walo Raina na kaho aur yun arz karo ke, HUZUR hum per nazar rakhein aur pehle hi se bagoor suno aur kafiro ke liye dard naak azab hai.
 

"O Men of faith do not say; Raina, but say humbly, respected Sir. ""Look upon us"" and from very beginning listen carefully, and for the disbelievers is a grievious torment."

( AL- BAQARA - 2:104 )

SHAN E NAZOOL :-
 
Jab SARKAR E AZAM apne Sahaba E Kiraam رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Ko kuch taalim farmate, toh kabhi kabhi darmiyan mein Arz kiya karte "RAINA YA RASOOL ALLAH " Yani AYE ALLAH ke RASOOL ! hamare haal ki riyayat farmaiye. Yani Kalam e Aqdus ko achhi tarah samajh lene ka mauqa dijiye.
 

Yahudi ki lugat mein yeh jumla Khilaf e Adab ka ma'ana rakhta thaa. Unho ne us niyat se kehna shuru kardiya. HADRAT SA'AD BIN MA'AZ رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه yahudiyo'n ki harkat se waqif they. AAP ne ek roz yeh kalma unki zaban se sunliya aur farmaya, "Aye Dushmanan E Khuda tum per ALLAH ki laanat ho, agar mein ne ab kisi ki zaban se yeh kalma suna toh us ki gardan maardongaa. Yahoodi ne kaha hum per aap gussa karte ho magar MUSALMAN bhi toh yehi kehte hain. Is per AAP RANJEEDA ho kar bargah e RISALAT mein hazir huwe hi they ki yeh ayat nazil huwi, jis mein "RAINA" kehne ki manayi farma di gayi. Is ma'ane ko dusra lafz "Unzurna" kehne ka hukum huwa. لِلۡکٰفِرِیۡنَ Mein ishara hai ki
AMBIYA عليه السلام ki shaan mein Be-adabi Kufr hai.
_____________________________________________

TOPIC  NO :- 18
Qur'an E Majeed Aur Eid E Milad un Nabi

Eid Milad un NABI Ke din khushi manana aur ALLAH TA'ALA ki rehmat per Eid manana Qur'an E Majeed Se saabit hai.
 

القران : - قُلْ بِفَضْلِ اللہِ وَبِرَحْمَتِہٖ فَبِذٰلِکَ فَلْیَفْرَحُوۡا ؕ ہُوَ خَیۡرٌ مِّمَّا یَجْمَعُوۡنَ
 

تم فرماؤ اللّٰہ ہی کے فضل اور اسی کی رحمت اور اسی پر چاہئے کہ خوشی کریں وہ ان کے سب دھن دولت سے بہتر ہے

"Farma dijiye, yeh ALLAH ke Fazal aur uski Rehmat se hai us per khushi karein woh in ke sab dhan daulat se behter hai."

"Say you, 'Only ALLAH's' grace and only His mercy, on it therefore let them rejoice. That is better than all their wealth."

(YUNUS - 10:58)

Malum huwa ki, ALLAH TA'ALA ka hukum hai ke, Rehmat per khushi manao.

وَمَآ أَرْسَلْنَٰكَ إِلَّا رَحْمَةً لِّلْعَٰلَمِينَ

اور ہم نے تمہیں نہ بھیجا مگر رحمت سارے جہان کے لیے

(Al-Anbiya - 21:107)

Yani saare Aalmeen ke liye Rehmat hai, unki aamad ke din Jashn e Wiladat per kyun na khushi manayi jaye ?

القران : - قَالَ عِیۡسَی ابْنُ مَرْیَمَ اللّٰہُمَّ رَبَّنَاۤ اَنۡزِلْ عَلَیۡنَا مَآئِدَۃً مِّنَ السَّمَآءِ تَکُوۡنُ لَنَا عِیۡدًا لِّاَوَّلِنَا وَاٰخِرِنَا وَ اٰیَۃً مِّنۡکَ ۚ
 

عیسٰی ا بن مریم نے عرض کی اے اللّٰہ اے رب ہمارے ہم پر آسمان سے ایک خوان اتار کہ وہ ہمارے لئے
 
عید ہو ہمارے اگلے پچھلوں کی

(HADRAT E ISA عليه السلام ne ALLAH TA'ALA se arz ki) "Hum per asmaan se Khawan e Nemat utar, ke woh hamare liye Eid ho jaye aglo aur pichlo ki."
 

"Isa, son of Maryam submitted, 'O Allah our Lord, 'send down to us a tray of food from the heaven so that it may be an occasion of rejoicing for us, for the first and the last of us."

(AL-MAIDA - 5:114)

Is Ayat se malum huwa ki, Khawan E Nemat utarne wala din Eid ho, toh jis din nemato'n ke SARDAR tashrif laaye, toh woh Din Eid kaise na ho ?

Hadees Sharif ki mash'hur kitab مشكوة شريف mein SAHIB E مشكوة رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ne pura ek BAAB ( Chapter ) baandha, jis ka naam BAAB E MILAD UN NABI Rakha.
 

HUZUR E AKRAM Aur SAHABA E KARAM رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Qur'an E Majeed padhte they magar baghair airab ka ' Quran e Majeed bilkool saadhe hote they. Aaj kal umda se umda chhapayi hoti hai. Us waqt Masjiden bilkul saadhi aur baghair mehrab ki hoti thi. Magar aaj aalishan aur mehrab wali hoti hai. Us waqt hatho'n ki ungliyo'n per Zikr ALLAH hota thaa, aaj kal khubsurat tasbeeh ko istemal kiya jata hai. Algarz ki, isi tarha MEELAD bhi aahista aahista rang ameziya kar ke islo aalishan kar ke manaya gaya. Jab woh sab kaam Bid'at nahi, toh phir yeh kaise ho sakta hai ?

HUZUR ke zahiri wisaal ka Gum O Sog nahi hota, kyunki ALLAH TA'ALA ke NABI ZINDA hain. Raha masla sog ka, toh sog islam mein 3 din ka hota hai jo SAHABA E KARAM رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ne manaliya hai.
 

Milad manana shirk ko bhi todta hai, kyunki wiladat hum RASOOLALLAH ki manate hain aur KHUDA TA'ALA paida hone se paak hai. Jis ki wiladat manayi gayi woh khuda nahi, ALLAH TA'ALA ka Mehboob hai.
______________________________________________-
TOPIC  NO :- 19
Mutabark Aur Badi Rato'n Ki Qadr Qur'an E Majeed Se. 

Jis raat aur din ko ALLAH TA'ALA ke Nek bando se nisbat ho jaye, woh raat Barkat wali aur din Muqaddas ho jata hai.
 

القران :-
اِنَّاۤ اَنۡزَلْنٰہُ فِیۡ لَیۡلَۃِ الْقَدْرِ

بے شک ہم نے اسے شب قدر میں اتارا.

"Undoubtedly, We sent it down in the blessed and valuable night."

(AL-QADR - 97:1)

وَ مَاۤ اَدْرٰىکَ مَا لَیۡلَۃُ الْقَدْرِ ؕ

اور تم نے کیا جانا کیا شب قدر
 

"And what did you know ? What the Blessed night is."

(AL-QADR -97:2)

لَیۡلَۃُ الْقَدْرِ۬ۙ خَیۡرٌ مِّنْ اَلْفِ شَہۡرٍ ؕ

شب قدر ہزار مہینوں سے بہتر

"The Blessed and valuable night is better than a thousand months."

(AL-QADR - 97:3)

تَنَزَّلُ الْمَلٰٓئِکَۃُ وَ الرُّوۡحُ فِیۡہَا بِاِذْنِ رَبِّہِمۡ ۚ مِنۡ کُلِّ اَمْرٍ ۙ

اس میں فرشتے اور جبریل اترتے ہیں اپنے رب کے حکم سے ہر کام کے لئے

"Therein descend Angels and Jibril (The Spirit) by the command of their Lord for every affair."

(AL-QADR - 97:4)

Beshak! Humne is ko SHAB E QADR mein utara. Aur tum ne kya jana; kya SHAB E QADR. SHAB E QADR hazaar mahino se behtar. Is mein Farishte aur Jibreal utarte hain, apne RAB ke hukm se, har kaam ke liye.

SHAB E QADR hazaar mahino se behtar hai kyunki, is mein Qur'an utraa. Ab hum andaza lagaye ki jis raat SAHIB E QURAN tashrif laaye, woh raat kis qadar buland rutba hogi. SHAB E MERAJ ko is liye ba'barkat kaha jata hai ki, is SHAB ko SARKAR E DO ALAM ne ALLAH TA'ALA ka deedar kiya.
 

ALLAH TA'ALA yeh raatein hume isliye ata farmata hai ki, mere bande TAUBA kar ke Nek Amal karne ka Ahad karein. Isliye in raato'n ko "BADI RAATO'N" se yaad kiya jata hai ki yeh raatein muqaddas hain.
_______________________________________________________

TOPIC  NO :-20
Har Jagah Durood O Salaam Padhna ALLAH TA'ALA Ka Hukum.

اِنَّ اللہَ وَمَلٰٓئِکَتَہٗ یُصَلُّوۡنَ عَلَی النَّبِیِّ ؕ یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا صَلُّوۡا عَلَیۡہِ وَ سَلِّمُوۡا تَسْلِیۡمًا 

بیشک اللّٰہ اور اس کے فرشتے درود بھیجتے ہیں اس غیب بتانے والے (نبی) پر اے ایمان والو ان پر درود اور خوب سلام بھیجو

Beshak! ALLAH aur uske Farishtey Durood bhejte hain is Ghaib batane wale (NABI) per. Aye Imaan walo'n! In per Durood aur khoob Salaam bhejo.

"Undoubtedly, ALLAH and His Angels send Blessings on the Prophet, the Communicator of unseen news, O you who believe! send Blessings and abundant Salutations upon him."

( AL-AHZAB - 33:56 )

Mufassireen ne is Ayat ko dalil banate huwe farmaya ki, Durood O Salaam har waqt padha jaye, is mein waqt ki koi qaid nahi hai. Lihaza jab har waqt padha ja sakta hai, toh Azaan se qabl aur baad mein bhi padha ja sakta hai.

Agar Ayat e Mubaraka mein yeh likha hota ki Azaan se qabl aur baad na padho baaqi tamaam jagha padho, toh hum hargiz na padhte. Balki, Ayat mein toh har waqt har jagha padhne ka hukum diya gaya.

Hadees Sharif mein hai ke, Hadrat E Bilal رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Azaan se pehle quresh ke liye Du'a farmate they aur hum Azaan se pehle SARKAR E AZAM per Durood O Salaam padhte hain.

Agar Azaan se pehle kuch padhna Bid'at hota toh Hadrat E Bilal رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Azaan se pehle Ahle Quresh ke liye Du'a na farmate.

Hadrat IMAM Shami Alaihi Rehma Fatawa Shami mein, Durood O Salaam padhne ke muqamat tehreer farmate huwe likhte hain ki, Azaan se qabl aur Azaan ke baad aur Aqamat se qabl bhi Durood Sharif padh sakte hain.

Koi bhi Ayat ya Hadees Sharif humein dikha di jaye, ki jis mein likha ho ki Azaan se qabl aur baad Durood Sharif padhna mana hai.

Hargiz nahi dikha sakte, kyunki aisi koi baat Qur'an wa Hadees mein maujood nahi hai.
___________________________________________________________
TOPIC  NO:- 21
Meraj Un Nabi Ki Haqeeqat Qur'an E Majeed Se. 

SARKAR E AZAM ne RUH aur JISM ke saath Safar e Meraj farmaya. Masjid e Haram se Masjid e Aqsa gaye, wahan se saatwe Aasman per, phir Arsh E Mu'alla La Makan; jahaan apne Sar ki Aankho'n se ALLAH TA'ALA ke deedar kiya.
 

القران :- سُبْحٰنَ الَّذِیۡۤ اَسْرٰی بِعَبْدِہٖ لَیۡلًا مِّنَ الْمَسْجِدِ الْحَرَامِ اِلَی الْمَسْجِدِ الۡاَقْصَا

پاکی ہے اسے جو راتوں رات اپنے بندے کو لے گیا مسجد حرام سے مسجد اقصا تک.

"Paaki hai use jo apne bande ko raato raat le gaya, Masjid E Haram se Masjid E Aqsa."

"Holy is He, who carried His bondman by night from the sacred Mosque to the Aqsa Mosque."

(AL-ISRA - 17:1)

Is Ayat mein lafz بِعَبْدِہٖ hai, is se muraad banda hai. Kyunki banda RUH aur JISM ke ek saath hone se banta hai. Warna sirf RUH hoti toh Ayat mein بِرُوٌحِه aata.

Magar is Ayat mein lafz بِعَبْدِہٖ ka aana yeh saabit karta hai ke, SARKAR E AZAM ne Meraj ka safar RUH aur JISM dono ke saath farmaya.

________________________________________

TOPIC NO:-- 22
Wilayat Ki Haqeeqat Qur'an E Majid Se


اَلَاۤ اِنَّ اَوْلِیَآءَ اللہِ لَاخَوْفٌ عَلَیۡہِمْ وَلَا ہُمْ یَحْزَنُوۡنَ
 

سن لو بیشک اللّٰہ کے ولیوں پر نہ کچھ خو ف ہے نہ کچھ غم

"Listen carefully! No doubt, there is no fear nor any grief upon the friends of Allah."

الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا وَکَانُوۡا یَتَّقُوۡنَ
 

وہ جو ایمان لائے اور پرہیزگاری کرتے ہیں
 

"Those who believed and keep up their duty."
 

لَہُمُ الْبُشْرٰی فِی الْحَیٰوۃِ الدُّنْیَا وَفِی الۡاٰخِرَۃِ ؕ
 

انہیں خوشخبری ہے دنیا کی زندگی میں اور آخرت میں

"For them are glad tidings in the life of the world and in the Hereafter".
 

Sunlo! Beshaq, ALLAH ke Waliyo'n per na kuch khauf hai aur na kuch gham. Woh jo Imaan laye aur parhezgaari karte hain, unhe khush khabri hai Duniya ki zindagi mein aur Akhirat mein.

(YUNUS - 10 : 62/63/64)

Is Ayat mein tamaam AULIYA ALLAH jo Qayamat tak ayenge un sab ko "WILAYAT" ka tazkira maujood hai. "WILAYAT" Qur'an ki Sureh se saabit hai. Lihaza is ka inkar; Qur'an ka inkar hai, jo kufr hai.
 

Is Ayat mein "WILAYAT" ke alawa AULIA ALLAH ko Duniya ki zindagi aur Akhirat ki zindagi ki khush khabri bhi di gayi hai. Tamaam AULIYA ALLAH, maslan GAUS E AZAM, HADRAT KHWAJA AJMERI GARIB NAWAZ, HADRAT NIZAMUDDIN AULIYA, HADRAT DATA ALI HAJVERI wagairah jab apni Zahiri zindagi mein they, jab bhi log unhe ALLAH ka Wali mante they aur ab baad wisal bhi ALLAH TA'ALA ke Wali hain. Duniya inhe "WALI ALLAH" keh kar aaj bhi yaad karti hai.
 

Maalum huwa ki, jab ALLAH TA'ALA kisi ko apna Wali banata hai, toh logo'n ke dilo'n mein bhi mohabbat dal deta hai ki in se mohabbat karo.
_________________________________________________
TOPIC NO:- 23
Sarkar E Azam Ka Adab Rukn E Imaan Hai.

یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوا اسْتَجِیۡبُوۡا لِلہِ وَلِلرَّسُوۡلِ اِذَا دَعَاکُمۡ لِمَا یُحْیِیۡکُمْ ۚ وَاعْلَمُوۡۤا اَنَّ اللہَ یَحُوۡلُ بَیۡنَ الْمَرْءِ وَقَلْبِہٖ وَاَنَّہٗۤ اِلَیۡہِ تُحْشَرُوۡن

اے ایمان والو اللّٰہ اور اس کے رسول کے بلانے پر حاضر ہو جب رسول تمہیں اس چیز کے لئے بلائیں جو تمہیں زندگی بخشے گی اور جان لو کہ اللّٰہ کا حکم آدمی اور اس کے دلی ارادوں میں حائل ہوجاتا ہے اور یہ کہ تمہیں اسی کی طرف اٹھنا ہے
 

"Aye Imaan walo! ALLAH aur uske RASOOL ke bulane per hazir ho, jab RASOOL tumhe us cheez ke liye bulaye, jo tumhe zindagi bhakhshegi. Aur jaan lo ki ALLAH ka hukm aadmi aur uske dili iraado'n mein hail ho jata hai aur yeh ki tumhe us ki taraf uthna hai."

"O believers! respond to the calling of ALLAH and MESSENGER, when the MESSENGER calls you for a thing that will give you life; and know that ALLAH's command comes between man and his heart's desire and this that you are to be raised towards Him."

( AL-ANFAL - 8:24 )

یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا لَا تَرْفَعُوۡۤا اَصْوٰتَکُمْ فَوْقَ صَوْتِ النَّبِیِّ وَلَا تَجْہَرُوۡا لَہٗ بِالْقَوْلِ کَجَہۡرِ بَعْضِکُمْ لِبَعْضٍ اَنۡ تَحْبَطَ اَعْمٰلُکُمْ وَ اَنۡتُمْ لَا تَشْعُرُوۡنَ
 

اے ایمان والو اپنی آوازیں اونچی نہ کرو اس غیب بتانے والے (نبی) کی آواز سے اور ان کے حضور بات چلّا کر نہ کہو جیسے آپس میں ایک دوسرے کے سامنے چلّاتے ہو کہ کہیں تمہارے عمل اکارت نہ ہوجائیں اور تمہیں خبر نہ ہو

"Aye IMAAN walo! apni awaze unchi na karo is ghaib batane wale (NABI) ki awaz se aur unke HUZUR baat chilla kar na kaho jaise aapas mein ek dusre ke samne chillate ho, ki kahin tumhare aamal barbad ho jaye aur tumhe khabar na ho."

"O believers! do not raise your voices above the voice of the Communicator of unseen (THE PROPHET) and speak not aloud in presence of him as you shout to one another, lest your works become vain while you are unaware."

(AL-HUJURAT - 49:2)

Is Aayat se maalum huwa ki, jab SARKAR E RISALAT mein kuch arz karo, toh nichi awaz mein arz karo yehi DARBAR E RISALAT ka Adab hai. Agar tumhari awaz unchi ho gayi, toh umar bhar ke aamal barbad ho jayenge aur tumhe khabar bhi na hogi. Jis ke DARBAR ka yeh Adab ho toh khud us Zaat E Paak MUSTAFA ka adab kitna hoga.

اِنَّ الَّذِیۡنَ یُنَادُوۡنَکَ مِنۡ وَّرَآءِ الْحُجُرٰتِ اَکْثَرُہُمْ لَا یَعْقِلُوۡنَ وَلَوْ اَنَّہُمْ صَبَرُوۡا حَتّٰی تَخْرُجَ اِلَیۡہِمْ لَکَانَ خَیۡرًا لَّہُمْ ؕ

بیشک وہ جو تمہیں حُجروں کے باہر سے پکارتے ہیں ان میں اکثر بے عقل ہیں اور اگر وہ صبر کرتے یہاں تک کہ تم آپ ان کے پاس تشریف لاتےتو یہ ان کے لئے بہتر تھا

"Beshak, Woh jo tumhe hujro ke bahar se pukarte hain, in mein aksar Be'Aql hain aur agar woh sabr karte, yaha tak ki Aap khud unke pass Tashreef laate toh yeh inke kiye behter hota."

"Undoubtedly, those who call you from behind your private apartments, most of them are stupid. And if they had patience, until you yourself come out to them, that had been better for them."

( AL-HUJURAT - 49:4&5 )

Shan E Nazul :- Yeh Ayat wafad bani tamim ke haq mein nazil huwi ki, SARKAR E AZAM ki Khidmat e Aqdus mein dopeher ke waqt pohanche, jabki AAP AARAM farma rahe they. In logo ne hujro ke bahar se SARKAR E AZAM Ko pukarna shuru kar diya. SARKAR E AZAM Tashreef laye unlogo ke haq mein yeh ayat nazil huwi aur SARKAR E AZAM ki BARGHA ka adab seekhaya gaya aur farmaya gaya ki, is tarah be'adabi se pukarne wale jaahil aur Be'Aql hain aur yeh bhi farmaya gaya ki, ADAB se bargah mein khade raho sabr karo. Kab tak ? Jab tak HAMARE MEHBOOB khud hujre se Tashreef na laayen.

Maalum huwa ki, SARKAR E AZAM ka Adab Qur'an se saabit hai aur uska munkir kafir hai.
______________________________________________________
TOPIC  NO:-- 24
Mehboob E Khuda Ka Apne RAB ki ataa Se Murdo'n Ko Zinda Karna Qur'an Se Saabit.

اَنِّیۡ قَدْ جِئْتُکُمۡ بِاٰیَۃٍ مِّنۡ رَّبِّکُمْ ۚۙ اَنِّیۡۤ اَخْلُقُ لَکُمۡ مِّنَ الطِّیۡنِ کَہَیۡئَۃِ الطَّیۡرِ فَاَنۡفُخُ فِیۡہِ فَیَکُوۡنُ طَیۡرًۢا بِاِذْنِ اللہِۚ وَاُبْرِیُٔ الۡاَکْمَہَ وَالۡاَبْرَصَ وَاُحۡیِ الْمَوْتٰی بِاِذْنِ اللہِۚ
 

یہ فرماتا ہوا کہ میں تمہارے پاس ایک نشانی لایا ہوں تمہارے رب کی طرف سے کہ میں تمہارے لئے مٹی سے پرند کی سی مورت بناتا ہوں پھر اس میں پھونک مارتا ہوں تو وہ فوراً پرند ہوجاتی ہے اللّٰہ کے حکم سے اور میں شفا دیتا ہوں مادر زاد اندھے اور سپید داغ والے کو اور میں مُردے جلاتا ہوں اللّٰہ کے حکم سے
 

Yeh farmata huwa ke, main tumhare paas ek nishani laya hun, tumhare RAB ki taraf se, ke Main tumhare liye mitti se parind ki si surat banata hun. Phir us mein phunk marta hun, toh foran parind ho jati hai ALLAH ke hukm se. Aur main Shifa deta hun madarzaad andhe aur safed daag walo'n ko aur main murde jalata hun ALLAH ke hukum se.

"Saying this, 'I have brought to you a sign from your Lord; that I make a form out of clay like a bird for you then again breathe in it and it becomes a bird at once by the command of ALLAH; and I heal the born blind and the leper and I make the dead alive by the command of ALLAH."

(AL-IMRAN - 3:49)

وَ اِذْ قَالَ مُوۡسٰی لِفَتٰىہُ لَاۤ اَبْرَحُ حَتّٰۤی اَبْلُغَ مَجْمَعَ الْبَحْرَیۡنِ اَوْ اَمْضِیَ حُقُبًا

فَلَمَّا بَلَغَا مَجْمَعَ بَیۡنِہِمَا نَسِیَا حُوۡتَہُمَا فَاتَّخَذَ سَبِیۡلَہٗ فِی الْبَحْرِ سَرَبًا
 

فَلَمَّا جَاوَزَا قَالَ لِفَتٰىہُ اٰتِنَا غَدَآءَنَا ۫ لَقَدْ لَقِیۡنَا مِنۡ سَفَرِنَا ہٰذَا نَصَبًا
 

قَالَ اَرَءَیۡتَ اِذْ اَوَیۡنَاۤ اِلَی الصَّخْرَۃِ فَاِنِّیۡ نَسِیۡتُ الْحُوۡتَ ۫ وَ مَاۤ اَنۡسٰنِیۡہُ اِلَّا الشَّیۡطٰنُ اَنْ اَذْکُرَہٗ ۚ وَاتَّخَذَ سَبِیۡلَہٗ فِی الْبَحْرِ ٭ۖ عَجَبًا
 

قَالَ ذٰلِکَ مَا کُنَّا نَبْغِ ٭ۖ فَارْتَدَّا عَلٰۤی اٰثَارِہِمَا قَصَصًا
 

فَوَجَدَا عَبْدًا مِّنْ عِبَادِنَاۤ اٰتَیۡنٰہُ رَحْمَۃً مِّنْ عِنۡدِنَا وَعَلَّمْنٰہُ مِنۡ لَّدُنَّا عِلْمًا
 

(AL-KAHF - 18: 60 to 65)

Tarjuma :-
 
Aur yaad karo jab MOOSA ne apne khaadim se kaha, "Main baaz na rahunga jab tak wahan na pohchun jahan woh samandar mile hain ya Qarno ( Muddadto ) chala jaunga." Phir jab woh dono in dariyao'n ke milne ki jagha pohchen apni machli ( Fish ) bhool gaye aur usne samandar mein RAH li surang banayi, phir jab wahan se guzar gaye toh MOOSA ne kaha, "Hamara subha ka Khana laao. Beshak, humein apne safar mein badi mushaqqat ka samna huwa." Bola bhala dekhiye toh, jab hum ne chattaan ke pass jagah li thi, toh beshaq main machli bhool gaya aur mujhe Shaitan hi ne bhulaya hai ki main iska mazkoor karun aur usne toh Samandar main apni rah li. Achamba hai ki, MOOSA ne kaha, yehi toh hum chahte they, toh piche palte apne kadmo'n ke nishan dekhte toh hamare bando mein se ek banda paya jis ne apne pass se rehmat di aur usse apna Ilm ladni ata kiya.
 

Mufassireen is Ayat ki Tafseer mein mukammal waqiya yun bayan farmate hain ki, HADRAT MOOSA عليه السلام ke khaadim, jinka naam Yusha bin noon hai jo HADRAT MOOSA عليه السلام ki khidmat wa sohbat mein rehte they aur AAP se ilm hasil kiya karte they. Aur AAP ke baad AAP ke wali Ahad hain. Beher faras wa beher rom janib e mashriq mein MAJMUA ALBEHREEN woh muqaam hai, jahan HADRAT E MOOSA عليه السلام ko HADRAT E KHIZAR عليه السلام se MULAQAT ka wada kiya gaya thaa is liye aap ne waha pohanchne ka azam kiya aur farmaya ki, "Main apni koshish jaari rakhunga jab tak wahan na pohchun. Phir yeh Hadrat roti aur namkeen bhuni machli zanbeel mein tosha ke taur per lekar rawana huwe. Ek jagha phattar ki chatan thi aur chasma hayat thaa, wahan dono Hadrat ne aaraam farmaya, so gaye. Bhuni huwi machli zanbeel zinda hogayi jis ko paka kar laye they. Zinda ho kar dariya mein gir gayi us per se paani ka bahaw rook gaya aur mehrab si ban gayi. Hadrat Yusha bin noon ko bedaar hone ke baad HADRAT MOOSA عليه السلام se is ka zikr karna yaad na raha aur chalte rahe, yahan tak ke dusre roz khane ka waqt aaya. Yeh baat jab Majmula behrain pohanche they pesh na aayi, toh Manzil e Maqsood se aage pohanch kar thakan aur bhook maalum huwi. Is mein ALLAH TA'ALA ki hikmat thi ki, machli yaad kare aur is taalaab mein manzil maqsood ki taraf wapis ho.
 

HADRAT E MOOSA عليه السلام ke yeh farmane per khaadim ne maazirat ki machli ka jana hi toh hamare Hasool e Maqsad ki alamat hai. Jin ki talab mein hum chale hain unki mulaqat woh hi hogi jo chadar odhe aaraam farma they, woh HADRAT KHIZAR عليه السلام they.
 

Dalil :- HADRAT KHIZAR عليه السلام ke baare mein ikhtalaf hai, ki woh ALLAH TA'ALA ke Nabi hai ya Wali ?

Is waqiye ko mufassireen bayan karte huwe likhte hain ki, jis jagha Hadrat KHIZAR apni zaban se yeh keh de ki, ALLAH ke hukum se zinda ho jao, toh murda insaan mein hayat kaise na aajaye. Algrz ki ALLAH TA'ALA ke nek bande ALLAH ki ata se murdo'n ko zinda kar dete hain. Unhe yeh taaqat ALLAH ki taraf se ata kardi hai aur yeh Qur'an se saabit hai.
________________________________________________
TOPIC NO :- 25
AMBIYA E KIRAAM عليه السلام Ki Har Baat Puri Hoti Hai.

رَبَّنَا وَابْعَثْ فِیۡہِمْ رَسُوۡلًا مِّنْہُمْ یَتْلُوۡا عَلَیۡہِمْ اٰیٰتِکَ وَیُعَلِّمُہُمُ الْکِتٰبَ وَالْحِکْمَۃَ وَیُزَکِّیۡہِمْؕ اِنَّکَ اَنۡتَ الۡعَزِیۡزُ الۡحَکِیۡمُ

اے رب ہمارے اور بھیج ان میں ایک رسول انہیں میں سے کہ ان پر تیری آئتےں تلاوت فرمائے اور انہیں تیری کتاب اور پختہ علم سکھائے اور انہیں خوب ستھرا فرمادے بیشک تو ہی ہے غالب حکمت والا

"Aye RAB! hamare orr bhej un mein se Ek RASOOL, inhi mein se ki, in per teri Ayat E Tilawat farmaye aur unhe teri kitaab aur pukhta ilm seekhaye unhe khoob suthra farmade. Beshak, tu hi ghaalib hikmat wala."

"O Our Lord, and send in them a messenger from among themselves, who may recite to them Your signs and teach them Your Book and wise knowledge and may purify them well. Surely, You are alone the Predominant, the Wise."

(AL-BAQARA - 2:129)

Mufassireen farmate hain ki, HADRAT IBRAHIM WA ISMAIL عليه السلام ne yeh Du'a ki, yeh du'a qabool huwi aur dono Saahibo'n ki nasal mein SARKAR E AZAM ke siwa koi NABI nahi huwa.

قَالَ قَدْ اُجِیۡبَتۡ دَّعْوَتُکُمَا فَاسْتَقِیۡمَا وَ لَا تَتَّبِعَآنِّ سَبِیۡلَ الَّذِیۡنَ لَا یَعْلَمُوۡنَ

فرمایا تم دونوں کی دعا قبول ہوئی تو ثابت قدم رہو اور نادانوں کی راہ نہ چلو
 

"Farmaya, tum dono ki Du'a Qabool huwi, toh sabit qadam raho aur naadaano ki raah na chalo."

"He said, 'The prayers of you both have been accepted; then be steadfast, and do not follow the path of ignorants."

(YUNUS - 10:89)

HADRAT E MOOSA عليه السلام firaon ke khilaaf Du'a farmate they aur HADRAT E HAROON عليه السلام AAMEEN kehte they. AAP Dono AMBIYA عليه السلام ki yeh Du'a BARGAH E ILAAHI mein Maqbool huwi aur firaon garq huwa.

یٰصٰحِبَیِ السِّجْنِ اَمَّاۤ اَحَدُکُمَا فَیَسْقِیۡ رَبَّہٗ خَمْرًا ۚ وَ اَمَّا الۡاٰخَرُ فَیُصْلَبُ فَتَاۡکُلُ الطَّیۡرُ مِنۡ رَّاۡسِہٖ ؕ قُضِیَ الۡاَمْرُ الَّذِیۡ فِیۡہِ تَسْتَفْتِیَانِ
 

اے قید خانہ کے دونوں ساتھیو تم میں ایک تو اپنے رب (بادشاہ)کو شراب پلائے گا رہا دوسرا وہ سو لی دیا جائے گا تو پرندے اس کا سر کھائیں گے حکم ہوچکا اس بات کا جس کا تم سوال کرتے تھے.

"Aye Qaid khane ke dono sathiyo'n! tum mein ek toh apne RAB (Baadshah) ko sharab pilayega, raha dusra toh woh sooli diya jayega. Toh parinde us ka sir khayenge. Hukum ho chuka us baat ka, jis ka tum sawal karte they."

"O my two fellow prisioners! as for one of you he will serve wine for drink to his lord (King), and as for the other, he will be crucified, and the birds will eat of his head. The matter about which you inquired has been decreed."

(YUSUF - 12:41)

Mufassireen farmate hain ki, jab HADRAT YUSUF عليه السلام se do afraad ne taabir puchi, toh Aap ne farmaya ki, Baadshah ka koi SAAQI toh apne ahde per bahal ho jayega. Is tarah woh sharab Baadshah ko pilayega aur dusra sooli per chadega.

HADRAT IBN MASOOD رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ne farmaya ke, taabir sun kar dono ne HADRAT YUSUF عليه السلام se kaha ki, "Khwaab toh hum ne kuch nahi dekha, hum toh mazak kar rahe they." Yeh sun kar YUSUF عليه السلام ne farmaya ke, "Jo main ne keh diya woh ho kar rahega jo mere zaban se nikal gaya woh tal nahi sakta."

In teeno Ayato'n se maalum huwa ke, AMBIYA عليه السلام ki koi Du'a khaali nahi jati.
_______________________________________________


TOPIC NO :-- 26
HAAZIR WA NAAZIR RASOOL

وَکَذٰلِکَ جَعَلْنٰکُمْ اُمَّۃً وَّسَطًا لِّتَکُوۡنُوۡا شُہَدَآءَ عَلَی النَّاسِ وَیَکُوۡنَ الرَّسُوۡلُ عَلَیۡکُمْ شَہِیۡدًاؕ
 

اور بات یوں ہی ہے کہ ہم نے تمہیں کیا سب امتوں میں افضل تم لوگوں پر گواہ ہو اور یہ رسول تمہارے نگہبان و گواہ

"Aur baat yun hi hai ki, hum ne tumhe kiya sab ummato'n mein Afzal ki tum logo'n per gawah ho aur yeh RASOOL tumhare NIGEHBAN WA GAWAH.

"And thus, We made you exalted among all nations, that you may be witnesses to the people and this Messenger your guard and witness."

( AL-BAQARA - 2:143 )

وَلَوْ اَنَّہُمْ اِذۡ ظَّلَمُوۡۤا اَنۡفُسَہُمْ جَآءُوۡکَ فَاسْتَغْفَرُوا اللہَ وَاسْتَغْفَرَ لَہُمُ الرَّسُوۡلُ لَوَجَدُوا اللہَ تَوَّابًا رَّحِیۡمًا

اور اگر جب وہ اپنی جانوں پر ظلم کریں تو اے محبوب تمہارے حضور حاضر ہوں اور پھر اللّٰہ سے معافی چاہیں ا ور رسول ان کی شِفاعت فرمائے تو ضرور اللّٰہ کو بہت توبہ قبول کرنے والا مہربان پائیں

Aur agar jab woh apni jaano per zulm kare, toh aye Mehboob ( ) tumhare HUZUR haazir ho aur phir ALLAH se maafi chahe aur RASOOL unki SHAFA'AT farmaye, toh zaroor ALLAH ko bohat tauba qabool karne wala meherban payenge."

"And if when they do injustice unto their souls, then O beloved! they should come to you and then beg forgiveness of ALLAH and the messenger should intercede for them, then surely, they would find ALLAH Most Relenting, Merciful."

( AL-NISA - 4:64 )

Is Ayat se AAP ka WASEELA aur AAP ki SIFARISH saabit huwi. Sifarish woh hi kar sakta hai jo Hayat ho aur Haazir ho.
 

Is Ayat se maalum huwa ke, HUZUR hamare darmiyan GAWAH aur NIGEHBAN ban kar maujood hain. Hamare pass woh aankh nahi ki hum unhe dekh saken.

اَلنَّبِیُّ اَوْلٰی بِالْمُؤْمِنِیۡنَ مِنْ اَنۡفُسِہِمْ
 

یہ نبی مسلمانوں کا ان کی جان سے زیادہ مالک ہے

"Yeh NABI momino ki jaan se zyaada Qareeb hai."

"This PROPHET is closer to the Muslims even more than their own-selves"

( AL-AHZAB - 33:6 )

Is Ayat E kareema se saabit huwa ki, jis tarha ALLAH TA'ALA insaano ki SHEH RAG se zayada qareeb hai, isi tarah HUZUR Momino ki jaan se zyaada Qareeb hain. Ab jo MOMEEN hoga, uske RASOOL Qareeb honge. Aur jo MOMEEN na hoga woh chahe inkaar karta rahe aur qareeb woh hi hoga, jo HAYAAT aur HAAZIR Wa NAAZIR hoga aur iska inkaar Quran E Majeed ka inkaar hai.
 

Hum SARKAR E AZAM Ko hargiz is tarha HAAZIR WA NAAZIR nahi mante ki, idhar bhi hai udhar bhi hai, yahan bhi hai wahan bhi hai. Balki APNI QABR ANWAR mein HAYAAT hai aur apne RAB ki ataa se jab chahe, jahan chahe tashrif le ja sakte hain. yeh ASAL Islami aur Imaani aqeeda hai.
__________________________________________________________
TOPIC  NO :-- 27
SARKAR E AZAM per NABUWAT khatam.

مَا کَانَ مُحَمَّدٌ اَبَاۤ اَحَدٍ مِّنۡ رِّجَالِکُمْ وَلٰکِنۡ رَّسُوۡلَ اللہِ وَ خَاتَمَ النَّبِیّٖنَ ؕ وَ کَانَ اللہُ بِکُلِّ شَیۡءٍ عَلِیۡمًا

محمّد تمہارے مَردوں میں کسی کے باپ نہیں ہاں اللّٰہ کے رسول ہیں اور سب نبیوں کے پچھلے اور اللّٰہ سب کچھ جانتا ہے
 

"MOHAMMAD tumhare MARDO mein kisi ke baap nahi. Haan, ALLAH ke RASOOL hai aur sab NABIYO'N ke pichle (خَاتَمَ النَّبِیّٖنَ) aur ALLAH sab kuch janta hai."

"MOHAMMAD is not the father of any of your men; yes, He is the Messenger of ALLAH and the last one among all the Prophets. And ALLAH knows all things."

( AL-AHZAB - 33:40 )

اَلْیَوْمَ اَکْمَلْتُ لَکُمْ دِیۡنَکُمْ وَاَتْمَمْتُ عَلَیۡکُمْ نِعْمَتِیۡ وَرَضِیۡتُ لَکُمُ الۡاِسْلاٰمَ دِیۡنًا ؕ
 

آج میں نے تمہارے لئے تمہارا دین کامل کردیا اور تم پر اپنی نعمت پوری کردی اور تمہارے لئے اسلام کو دین پسند کیا

"Aaj hum ne tumhare liye tumhara deen mukammal kardiya aur tum per apni Ne'mat puri kardi aur tumhare liye Islam ko deen pasand kiya."

"This day I have perfected your religion for you and completed My favour upon you and have chosen Islam as religion for you."
 

( AL-MAIDA - 5:3 )

In dono Ayato'n mein KHATAM E NABUWAT ka zikr hai. Pehli ayat mein wazeh lafz KHATAMAN NABIYEEN istemaal kiya gaya hai. Jis ke ma'ana "AAKHRI NABI" hai. Dusri ayat mein DEEN ka mukammal hona bayan kiya gaya hai. Is mein yeh baat wazeh nazar aati hai ke, jab DEEN E ISLAM per MUKAMMAL hogaya toh ab koi NABI nahi ayegaa. HADRAT ISA عليه السلام qareeb Qayamat aayegne, magar NABI ban kar NAHI balki "UMMATI" ban kar ayenge. Lihaza, inkaar KHATAM E NABUWAT kufr hai, kyunki Qur'an E Majeed Se HUZUR Ka KHATAMAN NABIYEEN hona Saabit hai.
__________________________________________________________
TOPIC  NO :-29
AMBIYA عليه السلام paidayishi NABI hote hain, Baqaul E Quran.

وَ اِذْ اَخَذَ اللہُ مِیۡثٰقَ النَّبِیّٖنَ لَمَاۤ اٰتَیۡتُکُمۡ مِّنۡ کِتٰبٍ وَّحِکْمَۃٍ ثُمَّ جَآءَکُمْ رَسُوۡلٌ مُّصَدِّقٌ لِّمَا مَعَکُمْ لَتُؤْمِنُنَّ بِہٖ وَلَتَنۡصُرُنَّہٗؕ

اور یاد کرو جب اللّٰہ نے پیغمبروں سے ان کا عہد لیا جو میں تم کو کتاب اور حکمت دوں پھر تشریف لائے تمہارے پاس وہ رسول کہ تمہاری کتابوں کی تصدیق فرمائے تو تم ضرور ضرور اس پر ایمان لانا اور ضرور ضرور اس کی مدد کرنا

"Aur yaad karo jab ALLAH ne paighambaro'n se un ka ahad liya, jo main tum ko kitab dun phir tashreef laaye tumhare pass woh RASOOL ki tumhari kitabo'n ki tasdeeq farmaye toh tum zaroor zaroor us per Imaan lana aur madad karna."

"And remember when ALLAH took, from the Prophets their covenant whatever I should give you of the Book and wisdom, then comes to you the Messenger confirming your Books, then assuredly you must believe in him and assuredly you must help him."

( AL-IMRAN - 3:81 )

Is Ayat ke tehet mufassireen farmate hain ki, ALLAH ne AZAL mein tamam AMBIYA عليه السلام jo HADRAT ADAM عليه السلام se lekar HADRAT ISA عليه السلام tak aane wale they, unn tamaam se SARKAR E AZAM Ki nisbat AHAD liya. Isi Ayat se maalum huwa ki, ALLAH AMBIYA عليه السلام ko NABUWAT duniya mein bhejne ke baad nahi deta, balki NABI paidaishi hota hai. Nabuwat ke milne aur AILAN E NABUWAT mein bohat farq hai."

قَالَ اِنِّیۡ عَبْدُ اللہِ ؕ۟ اٰتٰىنِیَ الْکِتٰبَ وَجَعَلَنِیۡ نَبِیًّا

بچّہ نے فرمایا میں ہوں اللّٰہ کا بندہ اس نے مجھے کتاب دی اور مجھے غیب کی خبریں بتانے والا(نبی) کیا
 

"Bache ne farmaya main ALLAH ka banda, us ne mujhe kitab di aur mujhe Ghaib Ki khabre batane wala (Nabi) kiya."

"The baby said, 'I am a bondman of Allah, He gave me the Book and made me the communicator of unseen news (the Prophet)."
 

( AL-MARYAM - 19:30 )

Is Ayat ke tehet mufassireen farmate hain ki, HADRAT ISA عليه السلام se pucha gaya AAP kaun hain ? Toh sab se pehle apne bande hone ka iqraar kiya taaki log ALLAH ka beta na samjhe. Kitab se Injeel muraad hai AAP ne nabuwat aur kitaab milne ki khabar di. Yeh khabar AAP ne paida hote hi di.
 

Maalum huwa ki, NABI ko NABUWAT ALLAH ne AZAL se hi ata farmayi di thi magar kisi ne Ailan paida hote hi kiya, kisi ne 40 saal ki umar mein kiya. Yeh Sab ALLAH Ka Hukum thaa. Lihaza NABUWAT milne mein aur AILAN E NABUWAT mein bohat farq hai.
_________________________________________
TOPIC NO :-- 30
Har NAMAZ Apne Waqto'n main FARZ hai.

اِنَّ الصَّلٰوۃَ کَانَتْ عَلَی الْمُؤْمِنِیۡنَ کِتٰبًا مَّوْقُوۡتًا

بے شک نماز مسلمانوں پر وقت باندھا ہوا فرض ہے.

"Beshaq! NAMAZ musalmano per waqt bandha huwa FARZ hai."

"Undoubtedly, the prayer is a fixed time obligation on Muslims."

( AL-NISA - 4:103 )

Is Ayate Kareema se Maloom huwa ki, har NAMAZ apne apne waqto'n mein FARZ hai.

TOPIC  NO ;-- 31
AULIYA ALLAH Ki Karamat Ka Saboot Qur'an E Majeed Se.

القران :- قَالَ یٰۤاَیُّہَا الۡمَلَؤُا اَیُّکُمْ یَاۡتِیۡنِیۡ بِعَرْشِہَا قَبْلَ اَنۡ یَّاۡتُوۡنِیۡ مُسْلِمِیۡن
َقَالَ عِفْرِیۡتٌ مِّنَ الْجِنِّ اَنَا اٰتِیۡکَ بِہٖ قَبْلَ اَنۡ تَقُوۡمَ مِنۡ مَّقَامِکَ ۚ وَ اِنِّیۡ عَلَیۡہِ لَقَوِیٌّ اَمِیۡنٌ قَالَ الَّذِیۡ عِنۡدَہٗ عِلْمٌ مِّنَ الْکِتٰبِ اَنَا اٰتِیۡکَ بِہٖ قَبْلَ اَنۡ یَّرْتَدَّ اِلَیۡکَ طَرْفُکَ ؕ فَلَمَّا رَاٰہُ مُسْتَقِرًّا عِنۡدَہٗ قَالَ ہٰذَا مِنۡ فَضْلِ رَبِّی

سلیمان نے فرمایا اے درباریو تم میں کون ہے کہ وہ اس کا تخت میرے پاس لے آئے قبل اس کے کہ وہ میرے حضور مطیع ہوکر حاضر ہوں.ایک بڑا خبیث جن بولا میں وہ تخت حضور میں حاضر کردوں گا قبل اس کے کہ حضور اجلاس برخاست کریں اور میں بیشک اس پر قوت والا امانتدار ہوں اس نے عرض کی جس کے پاس کتاب کا علم تھا کہ میں اسے حضور میں حاضر کردوں گا ایک پل مارنے سے پہلے پھر جب سلیمان نے اس تخت کو اپنے پاس رکھا دیکھا کہا یہ میرے رب کے فضل سے ہے

"SULEMAN ne farmaya, Aye darbariyo'n! Tum mein kaun hai ki woh is ka takht mere paas le aaye qabl iske, ki woh mere Huzoor Mateeh ho kar haazir ho. Ek bada khabees Jin bola, "Main takht Huzoor mein haazir kar dunga. Qabl iske Huzoor Ijlas ko barkhwast kare, aur main beshaq is per quwwat aur imanatdaar hun. Us ne arz kiya, jiske paas kitaab ka ilm tha ki main us ko Huzoor mein haazir kar dunga ek palak jhapakne se pehle. Phir jab SULEMAN ne takht ko apne paas rakha dekha, toh kaha, "Yeh mere RAB ke Fazal se hai."

"SULEMAN said, O chiefs, which is of you who may bring her throne to me before they come to me submitting ? One big evil jin said, "I will bring you that throne before you rise from your sitting; and undoubtedly, I am powerful over that, trustworthy. One who had knowledge of the book said, "I shall bring it to you before twinkling of an eye." Then when SULEMAN saw the throne sat before him said, This is of the grace of my Lord that he may try me whether I am grateful or ungrateful. And whosoever is greatful, is grateful for his own good."

(An-Naml, Ayat No: 38,39,40)

Mufassireen is ayat ke tehet farmate hain ke, "MALIKAA SABA" ka bohat waseeh Takht tha. HADRAT SULEMAN عليه السلام is waseeh w areez Takht ko jis ki lambayi "80 gaz" Arz 40 sone chandi ke jawahrat ke saath tha, us ko itna door se mangwana chahte they taki MALIKA BILQIEES ko ALLAH TA'ALA ki Qudrat se apna Muajaza dikha de chunacha Aap ne apne darbariyo'n se kaha, toh jawab mein ek Khabees Jin khada huwa, us ne ijlas khatam hone tak laane ka jawab diya.
 

HADRAT SULEMAN عليه السلام ne farmaya, Mujhe is se bhi jaldi chahiye, chunacha AAP ka wazir jiska naam Asif bin barkhiya thaa usne arz ki, "Main woh takht palak jhapak ne se pehle le aaunga", us ne aisa hi kiya.
 

Is se maalum huwa ke, Asif bin barkhiya jo sirf HADRAT SULEMAN عليه السلام ki ummat ka "WALI ALLAH" thaa aur kitab ka kuch ilm janta thaa, us ne laakhi MAIL ka safat aur itna bada takht palak jhapak ne mein hazir kiya. Yeh karamat hai aur karamat woh hoti hai, jo Adatan samajh se bala tar ho.
 

Jab HADRAT SULEMAN عليه السلام ki ummat ke ek "WALI ALLAH" ki yeh shaan hai, toh phir IMAAM UL AMBIYA ki ummat ke AULIYA E KIRAAM ki kiya shaan hogi. Agar Ghaus E Azam, Hadrat khwaja Ajmeri Alaihir Rehma har "WALI ALLAH" karamat dikhaye, toh uska inkaar kaise kiya ja sakta hai, yeh toh Qur'an se saabit hai.
Topic :- 
Qur'an E Majeed Aur Hadees Ki Ahmiyat.
 

Hadees Shareef SARKAR E AZAM ke aqwal'afaal aur taqreer (yani kisi fail {verb} ko AAP ne mulaahiza farmaya aur is se mana na farmaya) ko kehte hain. Qur'an E Majeed mein kayi mukamat per SARKAR E AZAM ke Qaul (yani Hadees) ko maan'ne aur us per amal karne ka hukum diya gaya hai.
 

قُلْ اَطِیۡعُوا اللہَ وَالرَّسُوۡلَۚ فَاِنۡ تَوَلَّوْا فَاِنَّ اللہَ لَا یُحِبُّ الْکٰفِرِیۡنَ
 

تم فرمادو کہ حکم مانو اللّٰہ اور رسول کا پھر اگر وہ منھ پھیریں تو اللّٰہ کو خوش نہیں آتے کافر
 

"Tum farmado ki hukum maano ALLAH aur us ke RASOOL ka. Phir agar woh munh phere, toh ALLAH ko khush nahi aate kafir."

"Say you, 'Obey Allah and the messenger; then if they turn their faces, then Allah loves not the infidels."
 

( AL-IMRAN - 3:32 )

مَنْ یُّطِعِ الرَّسُوۡلَ فَقَدْ اَطَاعَ اللہَ ۚ
 

جس نے رسول کا حکم مانا بے شک اُس نے اللّٰہ کا حکم مانا.

"Jis ne RASOOL ka hukum mana beshaq us ne ALLAH ka hukum mana."

"Who so obeys the Messenger has indeed obeyed ALLAH."

(AN-NISA - 4:80)
 

وَمَا یَنۡطِقُ عَنِ الْہَوٰی ؕاِنْ ہُوَ اِلَّا وَحْیٌ یُّوۡحٰی

اور وہ کوئی بات اپنی خواہش سے نہیں کرتے وہ تو نہیں مگر وحی جو انہیں کی جاتی ہے

"Aur woh koi baat apni khwahish se nahi karte. Woh nahi magar, Wahi ( وحی ) jo unhe ki jati hai."

"And he speaks not of his own desire. That is not, but the revelation that is revealed to him."

(AN-NAJM - 53 : 3 & 4)

In teeno Ayato'n se maalum huwa ke, SARKAR E AZAM Ke Dahan Mubarak se nikla huwa lafz SHARIYAT hai aur HADEES hai. Is per amal karne ka hukum Qur'an E Majeed se saabit hai. Lihaza baat wazeh hogayi ki, HADEES E RASOOL ki bohat Ahmiyat hai.
 

Isi tarha ( معاذالله ) Qur'an Hadees ka mohtaj nahi, balki Qur'an ko samjhne ke liye hum Hadees ke mohtaj hain. Qur'an E Majeed mein hain; Namaz qayem karo, Roza Rakho, Zakat do, Haj karo wagaira wagaira. Ab yeh samajhna ki, kaise Namaz padhein ? Kitni waqt ki padhein ? Roza kab rakhein ? Zakaat kab dein ? Haj kaise ada karein ? Yeh sab Hadees Shareef mein maujood hai. Qur'an E Majeed mein zaahiri taur per maujood nahi.

__________________________
______________________________________________
Topic :-
 
Qur'an E Majeed Shifa aur Rehmat Hai.

وَنُنَزِّلُ مِنَ الْقُرْاٰنِ مَا ہُوَ شِفَآءٌ وَّ رَحْمَۃٌ لِّلْمُؤْمِنِیۡنَ ۙ وَ لَایَزِیۡدُ الظّٰلِمِیۡنَ اِلَّا خَسَارًا ﴿۸۲

اور ہم قرآن میں اتارتے ہیں وہ چیز جو ایمان والوں کے لئے شفا اور رحمت ہے اور اس سے ظالموں کو نقصان ہی بڑھتا ہے
 

"Aur hum Qur'an mein utaarte hain woh cheezein, jo IMAAN walo'n ke liye Shifa aur Rehmat hai aur us se zalimo ko Nuqsan hi badhta hai."

"And We send down in Qur'an that which is a healing and a mercy to the believers; and it adds only loss to the unjust."

( AL-ISRA - 17:82 )

یٰۤاَیُّہَا النَّاسُ قَدْ جَآءَتْکُمۡ مَّوْعِظَۃٌ مِّنۡ رَّبِّکُمْ وَشِفَآءٌ لِّمَا فِی الصُّدُوۡرِ۬ۙ وَہُدًی وَّرَحْمَۃٌ لِّلْمُؤْمِنِیۡنَ ﴿۵۷

اے لوگو تمہارے پاس تمہارے رب کی طرف سے نصیحت آئی اور دلوں کی صحت اور ہدایت اور رحمت ایمان والوں کے لئے

"Aye logo'n tumhare paas tumhare RAB ki taraf se naseehat aayi aur dilo'n ki Sehet aur Hidayat aur Rehmat imaan walo ke liye."
 

"O people! there has come an admonition to you from your Lord, and healing of hearts, and a guidance and a mercy for the believers."

( YUNUS - 10:57 )

In dono Ayato'n se maalum huwa ke, Qur'an E Majeed Shifa aur Rehmat hai. Lihaza isko padh kar kisi bimaar ya mareez per dam karke bimaar ya mareez ko khilaya ja sakta hai."

Dusri baat yeh bhi maalum huwi ki, Qur'an E Majeed ki Ayate Mubaraka ko gharo per ya makanat per likh kar latkaayen toh us ghar mein ya dukaan mein Rehmat nazil hogi. Isi tarha agar koi shaks mar jaye toh us ke kafan per shahadat ki ungli se kalaam E ILAAHI likh diya jaye ya mayyat ke saath rakh diya jaye toh uski wajah se bhi mayyat per rehmat ILAAHI ki baarish hogi.
 

Lekin is cheezo'n ki ehtiyat kare ki mayyat ke jism ke uper QURANI AYAT ko na rakha jaye, kyunki mayyat ka phulna aur phatna us ke jism ke awarizat se hai, toh aise surat mein in barkat wale alfaz ka wahan hona Be'adbi hogi. Isliye koshish karein ki qabr ke ek taraf mehrab numa jagha bana li jaye. Wahan in tabarrukaat ko rakh diya jaye, taaki Be'adbi na ho aur adab qaayem rahe.


_____________________________________________
Topic :-
 
Taqleed Aaima Ka Saboot Qur'an Se.

یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡۤا اَطِیۡعُوا اللہَ وَاَطِیۡعُوا الرَّسُوۡلَ وَ اُولِی الۡاَمْرِ مِنۡکُمْ ۚ فَاِنۡ تَنٰزَعْتُمْ فِیۡ شَیۡءٍ فَرُدُّوۡہُ اِلَی اللہِ وَالرَّسُوۡلِ اِنۡ کُنۡتُمْ تُؤْمِنُوۡنَ بِاللہِ وَالْیَوْمِ الۡاٰخِرِ ؕ ذٰلِکَ خَیۡرٌ وَّ اَحْسَنُ تَاۡوِیۡلًا ﴿٪۵۹

اے ایمان والو حکم مانو اللّٰہ کا اور حکم مانو رسول کا اور ان کا جو تم میں حکومت والے ہیں.

"Aye IMAAN walo'n! hukum mano ALLAH ka aur HUKUM maano RASOOL ka aur unka jo tum mein Hukumat wale hain."

"O believers! obey ALLAH and obey the Messenger, and those who have power of command amongst you."

( AN-NISA - 4:59 )

وَّاتَّبِعْ سَبِیۡلَ مَنْ اَنَابَ اِلَیَّ ۚ
 

اور اس کی راہ چل جو میری طرف رجوع لایا.

"Aur us ki raah chal, jo MERI taraf Ruju laaye."

"And follow the path of the one, who has inclined towards me."

( LUQMAN - 31:15 )

Is Ayat mein ALLAH TA'ALA apne bando ko hukum de raha hai ki, har us Nek shaks ki pairvi yaani ata'at kar, jo tera Rabta MUJH se kara de. Maalum huwa ki, Taqleed yaani pairvi karna ALLAH ka hukum hai aur mana karne wale Naadaan log hain.

____________________________________
Topic :- 
Rozo Ki Farziyat.
 

یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا کُتِبَ عَلَیۡکُمُ الصِّیَامُ کَمَا کُتِبَ عَلَی الَّذِیۡنَ مِنۡ قَبْلِکُمْ لَعَلَّکُمْ تَتَّقُوۡنَ۔ اَیَّامًا مَّعْدُوۡدٰتٍؕ فَمَنۡ کَانَ مِنۡکُمۡ مَّرِیۡضًا اَوْ عَلٰی سَفَرٍ فَعِدَّۃٌ مِّنْ اَیَّامٍ اُخَرَؕ وَعَلَی الَّذِیۡنَ یُطِیۡقُوۡنَہٗ فِدْیَۃٌ طَعَامُ مِسْکِیۡنٍؕ
 

اے ایمان والو تم پر روزے فرض کئے گئے جیسے اگلوں پر فرض ہوئے تھے کہ کہیں تمہیں پرہیزگاری ملے۔گنتی کے دن ہیں تو تم میں جو کوئی بیمار یا سفر میں ہو تو اتنے روزے اور دنوں میں اور جنہیں اس کی طاقت نہ ہو وہ بدلہ دیں ایک مسکین کا کھانا۔

"Aye IMAAN walo'n! tum per Roze farz kiye gaye, jaise aglo per farz huwe they ki kahin tumhe perhezgari mile. Ginti ke din hai, toh tum mein jo koi bimar ya safar mein ho toh itne roze aur dino mein aur jinhe is ki taaqat na ho woh badla de ek miskeen ka khana."

"O Believers! Fastings have been made obligatory upon you as were made obligatory upon those before you, so that you may become pious.The days are counted. Then who so among you is ill or on a journey, then same number of fastings in other days, and those who have no strength, they should give in ransom meal to a needy"

(AL-BAQARA - 2:183 & 184)

Is Ayat ke tehet Mufassireen farmate hain ki, is Ayat mein ROZO ki farziyat ka bayan hai. ROZA sharah mein uska naam hai ki musalman mard ya Haiz w Nifaas se khali aurat Subh O Saadiq se Gurub E Aftab tak bhi niyat ibadat khane peene aur ( مجامعت ) tark (
छोड़) karde.

Ramzan ul Mubarak ke ROZE 10 Shawwal 2 hijri mein farz huwe. Mariz w Musaafir ko rukhsat di gayi hai ki, safar se muraad woh safar; jis ki musafat 3 din se kam na ho, us ki Qaza kare. Agar koi aisa shaks jo kamzori ki wajah se ROZA rakhne ki taaqat na rakhe aur aayenda bhi taaqat haasil karne ki umeed na ho, toh aise shaks ko chahiye ki, wo har ROZE ke badle (nusf Saa) yani 2 kg 47 garam ( 2.047 ) aata ya is ki qeemat ( yani ek fitre ki raqam ) us ROZE ka fidya hai. Ise adaa karein.

Masla :- Fidya aap raqam ki surat mein bhi de sakte hain aur 30 ROZE ka fidya yeh ek shaks ko diya ja sakta hai.
 

Masla :- Fidya us ko dein jo SUNNI Sahi ul Aqeeda musalman ho. Fidya le sakta hai jo sharayi faqeer ho. Jis per zakat dena farz na ho, yani 7.5 (Saadhe saath) tola sona (Gold) ya 52.5 (Saadhe baawan) tola chandi (Silver) ya is ke baraber ki raqam us ke paas zaruriyat se zayada na ho. Woh Sharayi faqeer hai.

_______________________________________________________________
Topic :- 
ZAKAAT Dena Farz Hai.

الَّذِیۡنَ یُؤْمِنُوۡنَ بِالْغَیۡبِ وَیُقِیۡمُوۡنَ الصَّلٰوۃَ وَمِمَّا رَزَقْنٰہُمۡ یُنۡفِقُوۡنَۙ

وہ جو بے دیکھے ایمان لائیں اور نماز قائم رکھیں اور ہماری دی ہوئی روزی میں سے ہماری راہ میں اٹھائیں.

"Woh jo bhi dekhe Imaan laaye aur Namaz qaayam rakhe aur Hamari di huwi rozi mein se Hamari Raah mein uthaye."

"Who believe without seeing, and establish prayer and spend in Our path, out of Our provided subsistence."

( AL-BAQARA - 2:3 )

Is Ayat ki Tafseer mein mufassireen farmate hain ke, Namaz qaayam rakhne se muraad yeh hai ki, Namaz ko Pancho waqt apne auqat mein adaa karein aur pure adaa karein. Hamari di huwi rozi mein se Hamari raah mein kharch karne se muraad ZAKAAT hai. ZAKAAT ka adaa karna har Musalman per Farz hai. Jis ke paas sadhe saath (7.5) tola sona ya sadhe baawan (52.5) tola chandi ya is ki raqam ho.

وَالَّذِیۡنَ ہُمْ لِلزَّکٰوۃِ فٰعِلُوۡنَ ۙ

اور وہ کہ زکوٰۃ دینے کا کام کرتے ہیں

"Aur woh ke ZAKAAT dene ka kaam karte hain."

"And those who are active in paying poor-due (Zakaat)."

( AL-MOMINOON - 23:4 )

Masail Fiqhiya :- ZAKAAT Shariyat mein ALLAH ke liye maal ka ek Hissa ke jo Sharah ne Muqarrar kiya hai. Musalman faqeer ko maalik kar dena hai.

[Bahar E Shariyat]

ZAKAAT Farz hai. Us ka munkir kaafir aur na dene wala Faasiq aur Qatal ka mustahiq aur adaa karne mein takhir (der) karne wala Gunehgaar.
 

[Fatwa Alamgir, Jild.1, Pg.170]



____________________________________________________________________
Topic :- 
Har Cheez Ka Zikr Qur'an E Majeed Mein Hai.

وَکُلُّ شَیۡءٍ فَعَلُوۡہُ فِی الزُّبُرِ وَکُلُّ صَغِیۡرٍ وَّکَبِیۡرٍ مُّسْتَطَرٌ

اور انہوں نے جو کچھ کیا سب کتابوں میں ہے.اور ہر چھوٹی بڑی چیز لکھی ہوئی ہے

"Aur unhone jo kuch kiya sab kitabo'n mein hai. Aur har chhoti badi cheez likhi huwi hai."

"And whatever they have done, is in the Books. And everything, small or big has been written down."

[AL-QAMAR - 54: 52&53]

اَلَمْ تَعْلَمْ اَنَّ اللہَ یَعْلَمُ مَا فِی السَّمَآءِ وَ الْاَرْضِؕ اِنَّ ذٰلِکَ فِیۡ کِتٰبٍ ؕ
 

کیا تو نے نہ جانا کہ اللّٰہ جانتا ہے جو کچھ آسمانوں اور زمین میں ہے بیشک یہ سب ایک کتاب میں ہے.

"Kya tum ne na jana, ke ALLAH janta hai, jo kuch Asmaan aur Zameen mein hai ? Beshaq, ye sab ek kitab mein hai."

"Did you not know that ALLAH knows whatever is in the heavens and is in the earth ? Undoubtedly, all this is in a Book."

[AL-HAJJ - 22:70]

In dono Ayat E Mubaraka se maalum huwa ki, Qur'an mein Awwal se Aakhir tamaam cheezo'n ka ilm maujood hai. Magar hamari woh aankhe nahi jin se hum dekh sakein. In ko ALLAH TA'ALA ne aise nazrein Ata ki hai, woh yeh kehte hain ki, agar mere Oont (Camel) ki rassi bhi ghum ho jaye toh mein usey Qur'an E Majeed mein dekh kar talaash kar lunga.




_________________________________________________
Topic :-
 
SHAN E HADRAT ALI WA FATIMA TUZ ZAHRA رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰعنها

وَ یُطْعِمُوۡنَ الطَّعَامَ عَلٰی حُبِّہٖ مِسْکِیۡنًا وَّ یَتِیۡمًا وَّ اَسِیۡرًا
 

اور کھانا کھلاتے ہیں اس کی محبّت پر مسکین اور یتیم اور اسیر کو
 

"Aur khana khilate hain uski mohabbat per miskeen aur yateem aur aseer ko."

"And they feed, for love of Him, the poor, the orphan and the prisoner."

( AL-INSAN- 76:8 )

Shan E Nuzul :-
 
Yeh Ayat E Kareema HADRAT E ALI رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه aur SAYYEDA FATIMA TUZ ZAHRA رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰعنها aur unki kaneez fiza ke Haq mein nazil huwi. HADRAT HUSNAIN KAREEMAIN رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه bimaar huwe, in HADRAT ne unki sehet per 3 ROZO ki nazar farmayi Aur ALLAH TA'ALA ne sehet di.

Nazar ki wafa ka waqt aaya toh sab sahibo ne ROZE rakhe HADRAT ALI رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ek yahoodi se 3 sa'a ( sa'a ek paimana unit hai jo maujooda daur mein taqreeban 4 kg 95 gr ke baraber hai) jau (جو) laaye. HADRAT E KHATOON E JANNAT رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰعنها ne ek ek sa'a teeno din pakaya. Lekin jab aftar ka waqt aaya aur roti samne rakhi, toh ek roz miskeen, ek roz yateem aur ek roz aseer aaya. Teeno roz ye sab rotiya'n in logo'n ko de di. Sirf pani se roza aftar kar ke agla roza rakh liya.
______________________________________________________
Topic :-
 
Qur'an E Majeed Mein Koi Kami Beshi (Variation) Nahi Kar Sakta.

اِنَّا نَحْنُ نَزَّلْنَا الذِّکْرَ وَ اِنَّا لَہٗ لَحٰفِظُوۡنَ

بیشک ہم نے اتارا ہے یہ قرآن اور بیشک ہم خود اس کے نگہبان ہیں.

"Beshaq, hum ne utara hai yeh Qur'an aur beshaq, hum khud uske nigheban hai."

"No doubt, We have sent down this Qur'an, and We most surely are its Guardian."
 

( AL-HIJR - 15:9 )

Is Ayate kareema ke tehet mufassireen farmate hain ke, Qur'an E Majeed ki hifazat ka zimma ALLAH TA'ALA ne apne supurd liya hai. Lihaza is mein Tehrif (changes), Tabdeeli ya kami koi nahi kar sakta. Saari Qainaat, tamaam jin wa insaan mil kar bhi is baat per qudrat nahi rakhte ki, Qur'an E Majeed mein koi kami beshi wa tabdeeli kar sake.

Yeh khasoosiyat sirf Qur'an hi ki hai, dusri kitaab ko yeh baat yeh khasoosiyat nahi. Injeel, Tauraat aur Zaboor mein har saal apni marzi se be deen tabdeeli karte rehte hain. Lekin Qur'an E Majeed hurf ba hurf waisa hi hai jaisa ki nazil huwa thaa.

Ab koi yeh kahe ki Qur'an E Majeed mein MA'AZ ALLAH Sahaba E kiraam ne tehrif ki hai, toh aisa kehna Qur'an E Majeed ka inkar hai.
______________________________________________________
Topic :- 
Qur'an E Majeed Ko Ba'Wazu Uthaya Jaaye.

اِنَّہٗ لَقُرْاٰنٌ کَرِیۡمٌ فِیۡ کِتٰبٍ مَّکْنُوۡنٍ لَّا یَمَسُّہٗۤ اِلَّا الْمُطَہَّرُوۡنَ

بیشک یہ عزّت والا قرآن ہے محفوظ نوشتہ میں اسے نہ چھوئیں مگر باوضو

"Beshak, yeh izzat wala Qur'an hai. Mehfooz noshte mein. Use na chhuwein, magar Ba'Wazu."

"Undoubtedly, this is an Honourable Qur'an. In a well preserved Book. None shall touch it, but the purified ones."

[AL-WAQIAH - 56: 77/78/79]

Is Ayat E Kareema se maalum huwa ki, Qur'an E Majeed ko Be'Wazu chhuna jaayez nahi. Isi tarah kisi Ayate Quraniya ko bhi Baghair Wazu chhuna jaayez nahi hai.
_____________________________________________________________
Topic :-
 
Bargaah E Risaalat mein Haazri Karib E Wajib Hai.

وَلَوْ اَنَّہُمْ اِذۡ ظَّلَمُوۡۤا اَنۡفُسَہُمْ جَآءُوۡکَ فَاسْتَغْفَرُوا اللہَ وَاسْتَغْفَرَ لَہُمُ الرَّسُوۡلُ لَوَجَدُوا اللہَ تَوَّابًا رَّحِیۡمًا
 

اور اگر جب وہ اپنی جانوں پر ظلم کریں تو اے محبوب تمہارے حضور حاضر ہوں اور پھر اللّٰہ سے معافی چاہیں ا ور رسول ان کی شِفاعت فرمائے تو ضرور اللّٰہ کو بہت توبہ قبول کرنے والا مہربان پائیں
 

"Aur jab woh apni jaano per zulm kare, toh aye MEHBOOB! tumhare huzur haazir ho aur phir ALLAH se maafi chahe aur RASOOL unki shifa'at farmaye, toh zaroor ALLAH ko bohat tauba karne wala meherbaan paaye."

"And if when they do injustice unto their souls, then O beloved! they should come to you and then beg forgiveness of ALLAH and the Messenger should intercede for them, then surely, they would find ALLAH Most Relenting, Merciful."

( AN-NISA - 4:64 )

Is Ayate kareema mein ALLAH TA'ALA ne apne bando'n ko Bargaah E Risaalat mein jaane ka hukum diya hai. Yun samajh lijiye ki, gunaho'n ke marizo ko, dukh ke maro ko, ek Shifa khana ka pata bataya hai. Yeh hukum qayamat tak aane wale musalmano ke liye hai. Is Ayate kareema mein farmaya gaya hai ke, gunehgar Mere MEHBOOB ki Baargah mein aakar mujh se tauba karein, balki yeh hi nahi, mera MEHBOOB bhi gunehgaro'n ki Shafa'at kare.

Is Ayat mein lateef nuqta yeh hai ki, gunehgaro'n ko maaf kar ke چھوڈ diya jata hai, magar Ayate kareema bata rahi hai ki, chunki ALLAH TA'ALA Ke MEHBOOB ne sifarish ki hai, isliye maafi bhi milegi aur ALLAH TA'ALA Meherbaan bhi hoga.
___________________________________________________________
Topic :- Azaan Ka Saboot Qur'an E Majeed Se

. وَ اِذَا نَادَیۡتُمْ اِلَی الصَّلٰوۃِ اتَّخَذُوۡہَا ہُزُوًا وَّلَعِبًا ؕ ذٰلِکَ بِاَنَّہُمْ قَوْمٌ لَّا یَعْقِلُوۡنَ اور جب تم نماز کے لئے اذان دو تو اسے ہنسی کھیل بناتے ہیں یہ اس لئے کہ وہ نرے بے عقل لوگ ہیں"

Jab tum Namaz ke liye Azaan do toh use hansi khel banate hain, yeh isliye ki nare be'Aqal log hain."
 

"And when you call for prayer, they make it a mockery and a play thing. That is because they are wholly unwise people."

( AL-MAIDA - 5:58 )

یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡۤا اِذَا نُوۡدِیَ لِلصَّلٰوۃِ مِنۡ یَّوْمِ الْجُمُعَۃِ فَاسْعَوْا اِلٰی ذِکْرِ اللہِ وَ ذَرُوا الْبَیۡعَ ؕاے ایمان والو جب نماز کی اذان ہو جمعہ کے دن تو اللّٰہ کے ذکر کی طرف دوڑو اور خرید و فروخت چھوڑ دو."

Aye IMAAN walo'n! jab Namaz ki Azaan ho jumu'ah ke din, toh ALLAH ke zikr ke taraf daudo aur kharid wa farokht ko chhod (چھوڈ) do.""O believers! When the call is made for the prayer on Friday, hasten towards the remembrance of ALLAH and leave business."
 

( AL-JUMU'AH - 62:9 )

In dono Ayat se Azaan ka Saboot mila. Azaan ALLAH TA'ALA ka Zikr hai. Us ke dene se aafat wa bslliyat door hote hain. ALLAMA SHAMI ALAIHI REHMA ne fatawa Shami mein kayi muqamaat likhe hain, jahan Azaan dena jayez hai. Un muqamaat mein se ek muqaam Qabr per Azaan dena bhi hai. Azaan dene se masaeeb (Mushkilein) door hote hain. Lihaza, Qabr per Azaan dene se bhi SAHIB E QABAR per rehmat ka nazool hota hai aur masaaeeb door hote hai.
 

Alfarz ki Hadees e mubaraka mein yeh baat bhi maujood hai ki, agar koi gamgeen ho toh uske kaan mein bhi Azaan kahi jaye. Maalum huwa ki, Azaan ALLAH TA'ALA ka Zikr hai uske bohat fawaeed hain.
_______________________________________________________________________
Topic :-
 
Imaam Ke Piche Surah Fatiha Nahi Padhna Chahiye.

Jab Imaam Qira'at kare (Surah Fatiha ho ya deegar Qira'at), toh Muqtadi per laazim hai ki woh khamosh rahe. Akele Namaz padhte waqt surah Fatiha padhna zaroori hai. Magar jab Imaam ke piche ho toh khamosh rahe. Imaam ki Qira'at muqtadi ki Qira'at hai.

Imaam ke piche Surah Fatiha padhne se jo hadeesen hain, woh is Ayat e Mubaraka ke baad mansookh ho gayi.

وَاِذَا قُرِیَٔ الْقُرْاٰنُ فَاسْتَمِعُوۡا لَہٗ وَاَنۡصِتُوۡا لَعَلَّکُمْ تُرْحَمُوۡنَ
 

اور جب قرآن پڑھا جائے تو اسے کان لگا کر سنو اور خاموش رہو کہ تم پر رحم ہو

"Aur jab Qur'an padha jaye, toh usey kaan laga kar suno aur khamosh raho, ki tum per rehem ho."

"And when the Qur'an is recited, hear it patiently and be silent so that you may have mercy."

[AL-ARAF - 7:204]

Is Ayat E Mubarak ke naazil hone ke baad Imaam ke piche matlaqan Qira'at mana kar di gayi aur farmaya gaya, "khamosh Raho."

_____________________________________________________

Topic :-
 
Peer O Murshid Zaroori hai.

یَوْمَ نَدْعُوۡا کُلَّ اُنَاسٍۭ بِاِمٰامِہِمْ ۚ
 

جس دن ہم ہر جماعت کو اس کے امام کے ساتھ بلائیں گے.

"The day when We shall call every people With their leaders."

[Al-ISRA - 17:71]

Is Ayat E Mubaraka ke Muta'aluq mufassireen farmate hain ki, aadmi jiski pairwi karta tha, jis ka hukm manta tha, unhe usi Nek logo ke naam se pukara jayega, ki falah ke manne wale !

Agar hum kisi Nek perhezgaar shaks ke daaman se wabasta honge, toh inhe Nek logo'n ke saath Baroz E Qayamat uthaya jayega.

وَمَنۡ یُّضْلِلْ فَلَنۡ تَجِدَ لَہٗ وَلِیًّا مُّرْشِدًا
 

اور جسے گمراہ کرے تو ہرگز اس کا کوئی حمایتی راہ دکھانے والا نہ پاؤ گے

"Aur jise gumrah kare, toh hargiz us ka koi himayati raah dikhane wala na paoge."

"And he whom He sends astray, for him you will never find a supporter to guide."

[AL-KAHF - 18:17]

Qur'an Ne bhi Murshid (Peer) se Muraad raah dikhane wala bataya hai. Is se Murshid E Haqeeqi ki haqeeqat Qur'an se Saabit huwi. Lihaza, Namazi Muttaqi parhezgar aur Kaamil shaks ke haath per baith kar ke us ke hukm per chalna chahiye.
_________________________________________________________________
Topic :-
 
SARKAR E AAZAM Ki Kayi AZWAJ E MUTHERAT Aur Kayi Sahebzadiya'n Thi.

یٰۤاَیُّہَا النَّبِیُّ قُلۡ لِّاَزْوٰجِکَ وَ بَنَاتِکَ وَ نِسَآءِ الْمُؤْمِنِیۡنَ

اے نبی اپنی بیبیوں اور صاحبزادیو ں اور مسلمانوں کی عورتوں سے فرمادو.

"Aye NABI ( ) Apni biwiyo'n aur Sahebzadiyo'n aur Musalmano ki aurto'n se farma do."

"O Prophets! Tell your wives, and daughter and Muslim women."

[AL-AHZAB -33:59]

Is Ayat se maalum huwa ki, SARKAR E AZAM ki kayi AZWAZ E MUTHARAT aur kayi Sahebzadiya'n thi. Sirf HADRAT KHATIJA TUL KUBRA رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰعنها ko HUZUR ki zoja aur sirf HADRAT FATIMA رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰعنها ko HUZUR ki Sahebzadi kehne walo ke aqeede ki is Ayat ne Nafi kardi.

Lafz اَزُوَاج jama hai zoj aur zaoja ki, Aur بَنٰت jama hai بِنُت yani beti ki !
______________________________________________________________________-
Topic :-
 
Walidain ke Saath Husn E Salook karo.

وَقَضٰی رَبُّکَ اَلَّا تَعْبُدُوۡۤا اِلَّاۤ اِیَّاہُ وَ بِالْوٰلِدَیۡنِ اِحْسٰنًا ؕ اِمَّا یَبْلُغَنَّ عِنۡدَکَ الْکِبَرَ اَحَدُہُمَاۤ اَوْکِلَاہُمَا فَلَا تَقُلۡ لَّہُمَاۤ اُفٍّ وَّلَا تَنْہَرْہُمَا وَقُلۡ لَّہُمَا قَوْلًاکَرِیۡمًا.

اور تمہارے رب نے حکم فرمایا کہ اس کے سوا کسی کو نہ پُوجو اور ماں باپ کے ساتھ اچھا سلوک کرو اگر تیرے سامنے ان میں ایک یا دونوں بڑھاپے کو پہنچ جائیں تو ان سے ہُوں نہ کہنا اور انہیں نہ جھڑکنا اور ان سے تعظیم کی بات کہنا
 

"Aur tumhare RAB ne hukm farmaya ke, uske siwa kisi ko na poojo aur "Maa Baap" ke saath achha salook karo. Agar tere saamne un mein ek ya dono budhaape ko pohanch jaye, toh un se "uff" tak na kehna aur unhe na jhidakna aur unse TA'AZIM ki baat kehna."

"And your Lord commanded that worship not any else except Him and do good to parents. If either or both of them reach old age before you, utter not even a faint cry to them and chide them not and speak to them the word of respect."

[AL-ISRA - 17:23]

ALLAH TA'ALA ne kitna wazeh aur saaf shafaaf apna hukm farmaya hai. Jin ke naseeb mein "Maa Baap" ki hayati naseeb huwi hai, aaj aam taur per kaun yeh hukm manta hai ? Yeh hum sab ke liye Ghaur O Fikr ka lamha hai.
 

Qur'an ne kitna aasaani se aasaan zaban mein apne RAB ka hukm sunaya hai.

ALLAH PAAK us ke MEHBOOB E AZAM ke Sadqe mein humein hamare WALIDAIN ka farma bardar aulaad bana de. Humein taufeeq ata kare, ke hum unke chehre ki muskurahat ka sabab banein.

Hum mein se jin ke Walidain bimaar hai ALLAH PAAK is Ramzan ul Mubarak ki rehmato'n ke waseele se hamare Walidain ko mukammal aur kamil shifa ataa farma. Unhe lambi Umar khair ke saath ata farma aur hum mein se jin ke Walidain ya un mein se koi ek is duniya se inteqaal farma gaya hai, toh aye ALLAH! unki Magfirat farma. Unke gunaho'n ko nekiyo'n mein badal de. Unki qabr ko Rehmat wa Noor se bhar de aur Jannat mein sab se afzal Jannat ul firdaus main jagha ataa farma.

Aameen Sum Aameen!

Zindagi ka koi bharosa nahi. Zindagi aage aage chalti hai aur Maut us ka picha karti hai. Ek din Maut aakar zindagi ko dabouch deti hai.

Woh Waqt aane se pehle apne Aamal sudhar lo. Gir jao apni MAA ke qadmo mein. Woh Raazi toh Rab bhi Raazi. "Maa Baap" ki Itaa'at o Khidmat jannat mein le jaati hai aur unki be'adbi aur naarazgi dozakh mein.

Aaj Ramzan ke is Mubarak mahine mein yeh wada karo apne aap se ki, apne Walidain ke saath Husn E Salook karoge, unka Adab o Ehteram karoge aur unki chehre ki Muskrahat ka sabab banoge.
_______________________________________________________________________
Topic :-
 
Namaz E Janaza Ka Saboot.
Namaz E Janaaza Sirf Momin Ki Hogi.

وَلَا تُصَلِّ عَلٰۤی اَحَدٍ مِّنْہُمۡ مَّاتَ اَبَدًا وَّلَاتَقُمْ عَلٰی قَبْرِہٖ ؕ اِنَّہُمْ کَفَرُوۡا بِاللہِ وَرَسُوۡلِہٖ وَمَاتُوۡا وَہُمْ فٰسِقُوۡنَ
 

اور ان میں سے کسی کی میّت پر کبھی نماز نہ پڑھنا اور نہ اس کی قبر پر کھڑے ہونا بیشک وہ اللّٰہ و رسول سے منکر ہوئے اور فسق ہی میں مر گئے.

"Aur in mein se kisi mayyat per Namaz na padhna aur na uski Qabr per khade hona. Beshak, woh ALLAH aur RASOOL se munkar huwe aur Fasaq hi mein mar gaye."

"And pray you never over any of their dead, and not stand over his grave. No doubt, they rejected ALLAH and His MESSENGER and died while they were disobedient."

[AL-TAUBA - 9:84]

Is Ayat ke tehet Mufassireen farmate hain ki, is Ayat se saabit ho gaya ki Munafiqeen ki Namaz E Janaaza aur unki tadfeen mein shirkat karne se mana kardiya gaya. Is Ayat se Namaz E Janaaza padhne ka Saboot bhi mila hai ki, Momin ki Namaz E Janaaza padhi jaye, Munafiqeen ki na padhi jaye.
_______________________________________________________________________
Topic :-
 
Fazail E Ahle Bait ( رضوان اللہ تعالی علیہم اجمعین )

اِنَّمَا یُرِیۡدُ اللہُ لِیُـذْہِبَ عَنۡکُمُ الرِّجْسَ اَہۡلَ الْبَیۡتِ وَ یُطَہِّرَکُمْ تَطْہِیۡرًا

اللّٰہ تو یہی چاہتا ہے اے نبی کے گھر والو کہ تم سے ہر ناپاکی دور فرما دے اور تمہیں پاک کرکے خوب ستھرا کردے.

"ALLAH toh yeh hi chahta hai. Aye NABI ke Ghar walo'n! ki tum se har napaki door farmade aur tumhe paak kar ke khoob suthra karde."

"ALLAH only desires, O the members of the family of the prophet! That He may remove from you every uncleanness and purify you well after cleaning you thoroughly."

[AL-AHZAB - 33:33]

Is se maalum huwa ki, SARKAR E AZAM ki tamaam AZWAJ E MUTHERAT, AHLE BAIT tamam paak daman hai aur un ki pakeezgi ki gawaahi ALLAH TA'ALA deta hai.

Ab tamaam Ahle Bait mein se kisi ki bhi mukhalifat Qur'an E Majeed se ikhtalaf hai. (العیاذباللہ )
__________________________________________________________________
Topic :-
 
Sharaab Aur Juwa Haraam Hai.

یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡۤا اِنَّمَا الْخَمْرُ وَالْمَیۡسِرُ وَ الۡاَنۡصَابُ وَ الۡاَزْلٰمُ رِجْسٌ مِّنْ عَمَلِ الشَّیۡطٰنِ فَاجْتَنِبُوۡہُ لَعَلَّکُمْ تُفْلِحُوۡنَ 

اے ایمان والو شراب اور جُوااور بُت اور پانسے ناپاک ہی ہیں شیطانی کام تو ان سے بچتے رہنا کہ تم فلاح پاؤ

"Aye IMAAN Walo! Sharaab aur juwa aur bot paanse napaak hai. Shaitani kaam toh in se bachte rehna, ki tum falah paao."

"
अए ईमान वालो! शराब और जुवां और बूत और पांसे नपाक है शैतानी काम तू इन से बचते रेहना की तुम फ़लाह पाओ"

"O believers! wine and gambling and idols and divining arrows are only unclean things, a work of devil (Satan) then save yourselves from them, so that you may prosper."

[AL-MAIDA - 5:90]
_______________________________________________________________________
Topic :-
 
Neki Ka Hukm Do Aur Buraayi Se Roko.

وَلْتَکُنۡ مِّنۡکُمْ اُمَّۃٌ یَّدْعُوۡنَ اِلَی الْخَیۡرِ وَیَاۡمُرُوۡنَ بِالْمَعْرُوۡفِ وَیَنْہَوْنَ عَنِ الْمُنۡکَرِؕ وَاُولٰٓئِکَ ہُمُ الْمُفْلِحُوۡن

اور تم میں ایک گروہ ایسا ہونا چاہئے کہ بھلائی کی طرف بلائیں اور اچھی بات کا حکم دیں اور بُری سے منع کریں اور یہی لوگ مُراد کو پہنچے
 

"Aur tum main ek Guro (Group) aisa hona chahiye ki, bhalayi ki taraf bulaye aur achhi baat ka hukum dein aur buri baat se mana karein aur yeh hi muraad ko pohanche."

"And let there be such a group among you, that they may call towards goodness and command what is just and forbid evil. And the very same attained to their goals." 

[AL-IMRAN - 3:104]

HADRAT E ALI رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ne farmaya ke, Nekiyo'n ka hukm karna aur buraayi se rokna behtareen jihaad hai.

#Hadees Shareef ka Mafhoom hai:

Jab koi Ghalat kaam hota dekhe; agar qudrat rakhta ho, toh apne haath se rok dein.

Agar is baat per Qadir na ho, toh zabaan se roke.

Aur is baat per bhi istata'at na ho, toh kam az kam dil main bura zaroor jane aur yeh IMAAN ka kamtar darja hai.
____________________________________________________________

Topic :- 
Shaan E khulfa E Rashideen Wa Shahaba E kiraam رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه

مُحَمَّدٌ رَّسُوۡلُ اللہِ ؕ وَ الَّذِیۡنَ مَعَہٗۤ اَشِدَّآءُ عَلَی الْکُفَّارِ رُحَمَآءُ بَیۡنَہُمْ تَرٰىہُمْ رُکَّعًا سُجَّدًا

محمّد اللّٰہ کے رسول ہیں اور ان کے ساتھ والے کافروں پر سخت ہیں اور آپس میں نرم دل تو انہیں دیکھے گا رکوع کرتے سجدے میں گرتے

"MOHAMMAD" ALLAH ke RASOOL hain aur unke saath wale kafiro'n per sakht hain aur aapas mein naram dil toh unhe dekhe ga; Ruku karte, sajde mein girte."

"MOHAMMAD is the MESSENGER of ALLAH and those with him are hard against the infidels and tender among themselves you will see them bowing and prostrating themselves in prayer seeking grace of ALLAH and His pleasure."
 

[AL-FATH - 48:29]

Mufassireen farmate hain ke, is Ayat mein chaar (4) khulfa ke fazayel bayaan kiye gaye hain.

"Unke Saath Wale " se muraad HADRAT ABU BAKAR SIDDIQUE رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ki zaat hai.
 

"Kafiro'n Per Sakht Hai" se muraad HADRAT E UMAR IBN KHATAAB رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ki zaat hai.

"Aapas mein Naram Dil " se muraad HADRAT E USMAN IBN AFFAAN رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ki zaat hai.
 

"Ruku Karte, Sajde Karte" se muraad HADRAT ALI رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ki zaat hai.

رَضِیَ اللہُ عَنْہُمْ وَ رَضُوۡا عَنْہُ ؕ ذٰلِکَ لِمَنْ خَشِیَ رَبَّہٗ
 

اللّٰہ ان سے راضی اور وہ اس سے راضی یہ اس کے لئے ہے جو اپنے رب سے ڈرے

"ALLAH unse Raazi aur woh us se Raazi. Yeh uske liye hai, jo apne RAB se dare."

"ALLAH is well pleased with them and they are pleased with ALLAH, This is for him who fears his Lord."
 

[AL-BAYYINAH - 98:8]

Mufassireen is Ayat ke tehet farmate hain ke, is Ayat mein tamaam Sahaba e kiraam (Alaihimu 'r-ridwan) ki shaan bayaan ki gayi hai. Jinho ne ek nazar bhi Haalat E Imaan mein SARKAR E AZAM ka deedar kiya, ya unki sohbat mein baitha. Un tamaam ke liye basharat hai ki, ALLAH TA'ALA unse Raazi ho gaya aur ALLAH TA'ALA ne un pe itne karam kiye, ki woh bhi ALLAH TA'ALA se Raazi ho gaye.
____________________________________________________________________
Topic :- 
Qur'an E Majeed Se Shan E Siddique E Akbar رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه

وَالَّذِیۡ جَآءَ بِالصِّدْقِ وَ صَدَّقَ بِہٖۤ اُولٰٓئِکَ ہُمُ الْمُتَّقُوۡنَ
 

اور وہ جو یہ سچ لے کر تشریف لائے اور وہ جنہوں نے ان کی تصدیق کی یہی ڈر والے ہیں
 

"Aur woh jo yeh sach lekar tashrif laaye aur woh jinho ne un ki tasdeeq ki, yehi dar wale hain."

"And he who has come with truth and those who confirmed it, they are the God fearing."
 

[AL-ZUMAR - 39:33]

Mufassireen ne is Ayat mein tasdeeq karne wale se muraad HADRAT SIDDIQUE E AKBAR رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ki zaat li hai.

Apne toh apne, ghairo'n ne bhi tasdeeq ki hai. Shia Hadrat ke nazdeeq unki ek muatabar kitaab "Tafseer Majmu' al-bayan", 8 jild, safa no 498 mein ALLAMA TABARSI ne bhi is Ayat ko HADRAT SIDDIQUE E AKBAR رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ki shaan mein naazil hona likha hai.


TOPIC :-
Fazail HADRAT E UMAR رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه

یٰۤاَیُّہَا النَّبِیُّ حَسْبُکَ اللہُ وَمَنِ اتَّبَعَکَ مِنَ الْمُؤْمِنِیۡنَ
 

اے غیب کی خبریں بتانے والے نبی اللّٰہ تمہیں کافی ہے اور یہ جتنے مسلمان تمہارے پیرو ہوئے

"Aye Ghaib ki khabar batane wale (NABI)! ALLAH tumhe kaafi hai aur yeh jitne Musalman tumhare pairo (Manne wale) huwe."

"O PROPHET! the communicator of the hidden news! ALLAH suffices you and all these Muslims who followed you."

[AL-ANFAL - 8:64]

Shaan E Nuzul :-
 
HADRAT SAEED BIN JABEER رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه HADRAT IBN ABBAS رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه se riwayat karte hain ke, yeh Ayat HADRAT E UMAR رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ke Imaan laane ke baare mein naazil huwi. DAULAT E IMAAN se sirf 33 mard aur 6 aurtein Imaan la chuke they, tab HADRAT E UMAR رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Imaan laaye.
_________________________________________________________

Topic :- 
SHAN E HADRAT E USMAN E GANI رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه

اَلَّذِیۡنَ یُنۡفِقُوۡنَ اَمْوٰلَہُمْ فِیۡ سَبِیۡلِ اللہِ
 

وہ جو اپنے مال اللّٰہ کی راہ میں خرچ کرتے ہیں.

"Woh jo apne maal ALLAH ki raah mein kharch karte hain."
 

"Those who spend their wealth in the way of ALLAH."

[AL-BAQARA - 2:262]

Shan E Nuzul :-
Yeh Ayate Kareema HADRAT E USMAN E GANI رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰعنها aur HADRAT ABDUL REHMAN BIN AUF رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰعنها ke haq mein naazil huwi. HADRAT E USMAN E GANI رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰعنها ne Gazwa E Tabuk ke mauqe per lashkar E Islam ke liye ek hazar "Oonth" (Camel) saath saman pesh kiye aur HADRAT ABDUL REHMAN BIN AUF رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰعنها ne 4000 Dirham sadqa ke Bargah E Risalat mein hazir kiye aur arz kiya ke mere pass Total 8000 Dirham they aadhe mein ne apne Ahl o Ayal (family) ke liye rakh liye aur aadhe Raah E Khuda mein hazir hai. SARKAR E AZAM ne farmaya, "Jo tum ne diye aur jo tum ne rakh liye ALLAH TA'ALA dono mein barkat farmaye."
________________________________________________________


Topic :- 
Namaz E Farz Aur Namaz E Janaza Ke Baad Du'a Mangna.

فَاِذَا قَضَیۡتُمُ الصَّلٰوۃَ فَاذْکُرُوا اللہَ قِیٰمًا وَّقُعُوۡدًا وَّعَلٰی جُنُوۡبِکُمْ ۚ

پھر جب تم نماز پڑھ چکو تو اللّٰہ کی یاد کرو کھڑے اور بیٹھے اور کروٹوں پر لیٹے۔

"Phir jab tum Namaz padh chuko, toh ALLAH ki yaad karo; khade aur baithe aur karwato'n per lete."

"Then when you have finished your prayer, remember ALLAH, standing, sitting and lying or your sides."

[AL-NISA - 4:103]

Is Ayat mein Namaz ke baad ZIKR E ILAAHI karne ka hukum diya gaya hai. Lihaza Du'a bhi ALLAH TA'ALA ki yaad aur ibaadat ka MAGAZ hai. Isliye hum Namaz E Farz ke baad Du'a E Saani aur Namaz e Janaza ke baad Du'a karte hain, taaki ALLAH TA'ALA ka hukm pura ho jaaye. Agar Namaz E Farz ke baad aur Namaz E Janaza ke baad Du'a mangna najayez hota, toh Qur'an E Majeed mein ALLAH TA'ALA hargiz Namaz ke baad Du'aa karne ka hukm na deta. Yeh tamam tafaseer se bhi saabit hai. Is ke alawa Namaz ke baad kalma E Tayyab, Tauheed ka wird karna bhi is Ayat se saabit hai.
_____________________________________________________________

Topic :- 
Jihad Ki Fazilat

إِنَّ ٱللَّهَ يُحِبُّ ٱلَّذِينَ يُقَٰتِلُونَ فِى سَبِيلِهِۦ صَفًّا كَأَنَّهُم بُنْيَٰنٌ مَّرْصُوصٌ

بیشک اللہ دوست رکھتا ہے انہیں جو اس کی راہ میں لڑتے ہیں پرا (صف) باندھ کر گویا وہ عمارت ہیں رانگا پلائی (سیسہ پلائی دیوار)

"Beshaq! ALLAH dost rakhta hai unhe jo uski RAAH mein ladte hain. Para (Saf) bandh kar, goya woh imaarat hai RAANGA pilayi (seesaa pilayi deewar)."

"Indeed ALLAH likes those who fight in His cause, positioned in His rows, as if they were an edifice fortified."

[61-As-Saff : 4]

Mufassireen farmatein hain ke, jihad uss waqt farz hota hai jab Sharaait paayi jaye. Agar kafir musalmano ke mulk per chadhayi kare, toh jihad Ain Farz hota hai warna Farz E Kafaya.
___________________________________________________________________________

Topic :- 
Munafiqeen Ki Masjid Mein Namaz Padhna Aur Jana Jayez Nahi.
 

وَالَّذِیۡنَ اتَّخَذُوۡا مَسْجِدًا ضِرَارًا وَّکُفْرًا وَّتَفْرِیۡقًۢا بَیۡنَ الْمُؤْمِنِیۡنَ وَ اِرْصَادًا لِّمَنْ حَارَبَ اللہَ وَرَسُوۡلَہٗ مِنۡ قَبْلُ ؕ وَلَیَحْلِفُنَّ اِنْ اَرَدْنَاۤ اِلَّا الْحُسْنٰی ؕ وَاللہُ یَشْہَدُ اِنَّہُمْ لَکٰذِبُوۡنَ لَاتَقُمْ فِیۡہِ اَبَدًا ؕ لَمَسْجِدٌ اُسِّسَ عَلَی التَّقْوٰی مِنْ اَوَّلِ یَوْمٍ اَحَقُّ اَنۡ تَقُوۡمَ فِیۡہِ ؕ فِیۡہِ رِجَالٌ یُّحِبُّوۡنَ اَنۡ یَّتَطَہَّرُوۡا ؕ وَاللہُ یُحِبُّ الْمُطَّہِّرِیۡنَ

اور وہ جنہوں نے مسجد بنائی نقصان پہنچانے کو اور کفر کے سبب اور مسلمانوں میں تفرقہ ڈالنے کو اور اس کے انتظار میں جو پہلے سے اللّٰہ اور اس کے رسول کا مخالف ہے اور وہ ضرور قسمیں کھائیں گے کہ ہم نے تو بھلائی چاہی اور اللّٰہ گواہ ہے کہ وہ بیشک جھوٹے ہیں اس مسجد میں تم کبھی کھڑے نہ ہونا بیشک وہ مسجد کہ پہلے ہی دن سے جس کی بنیاد پرہیزگاری پر رکھی گئی ہے وہ اس قابل ہے کہ تم اس میں کھڑے ہو اس میں وہ لوگ ہیں کہ خوب ستھرا ہونا چاہتے ہیں اور ستھرے اللّٰہ کو پیارے ہیں

"Aur woh jinho ne MASJID banayi nuqsaan pohchane ko aur kufr ke sabab aur musalmano mein tafarqa dalne ko aur uske intezaar mein jo pehle se ALLAH aur uske RASOOL ka mukhalif hai. Aur woh zaroor kasme khayenge ke hum ne toh bhalayi chaahi aur ALLAH gawah hai ki, woh beshaq jhootein hain is Masjid mein tum kabhi khade na hona. Beshaq, woh Masjid pehle hi din jiski buniyad parhezgaari per rakhi gayi hai woh is qabil hai ki tum us mein khade ho. Is mein woh log hain ki, khoob suthra hona chahte hain aur suthre ALLAH ko pyare hain."
 

"And those who have built a Mosque in order to injure and because of infidelity and to cause dissension among muslims and as an ambush for him who is already against ALLAH and His MESSENGER from before. And they will surely swear that we desired only good. And ALLAH bears witness that they are certainly liars. You, stand never in that mosque. No doubt, the mosque whose foundation has been laid on righteousness from the very first day is worthy that you may stand therein. Therein are those who desire to be well purified and ALLAH loves the pure."

[AL-TAUBA - 9:107 & 108]

Shan E Nuzool :- Yeh Ayat ek Jamat E Munafiq ke Haq mein nazil huwi. Jinho ne MASJID E QUB'A ko nuqsaan pohchane ke liye us ki jama'at ko mutafrraq karne ke liye us ke qareeb ek masjid banayi thi.
 

Jab AAQA E DO JAHAN Jung E Tabuk se wapis hokar MADINA MUNAW'WARA ke qareeb qayam kiya, toh Ek Munafeeq ne AAP عليه السلام se darkhwast ki ke, inki Masjid mein tashrif le kar chale. Is per yeh Ayat nazil huwi aur unke naapak irado'n ko zahir farmadiya gaya. Tab SARKAR E AZAM ne baaz Ashab ko hukm diya ki, is Masjid ko ja kar dhaade aur jala dein.

Ab is Ayat ke mukhtalif gusho per roshni dalte hain:

وَالَّذِیۡنَ اتَّخَذُوۡا مَسْجِدًا ضِرَارًا

Is ke ma'ana yeh hai ki, "jinho ne Masjid banayi nuqsaan pohchane ko" matlab yeh ki baaz Masjidein bhi musalmano ko nuqsaan pohchati hai. Masjid E Zarar munafiqeen ne musalmano ki Masjido'n ki tarah banayi, ALLAH TA'ALA ka naam likhwaya, kalma padhte they, Namazein musalmano ki tarha padhte, Roza, Haj aur Zakat ki adayegi bhi karte they. Magar dil mein SARKAR E AZAM ke liye NAFRAT thi isliye unki Masjid nuqsaan pohanchane wali qarar di gayi.
 

Maalum huwa ki, Islam sirf AMAL ka naam nahi balki MOHABBAT E RASOOL ka naam hai.
 

وَّکُفْرًا وَّتَفْرِیۡقًۢا بَیۡنَ الْمُؤْمِنِیۡنَ
 

Is ayat e kareema ka ma'ana hai "kufr ke sabab aur musalmano mein tafarqa dalne ko" matlab yeh hai ki, musalmano ke Islami Aqayed per keechad uchhala jaye, apne bado ke din manaye jaye, magar SARKAR E AZAM ka Yaum E Wilaadat manane, Isaale sawab karne aur SARKAR E AZAM ki hayaat aur ilm mein taana zani ki jaye is tarha musalmano mein inteshar phailaya jaye.
 

حَارَبَ اللہَ وَرَسُوۡلَہٗ

Is ayat E Kareema ka ma'ana yeh hai ki, "MUNAFIQEEN ALLAH aur us ke RASOOL " ke mukhalif hain.

Mohtram Hadrat aap ne pehle bhi padha hai ki, munafiqeen ALLAH TA'ALA ka inkaar nahi karte they, kalma bhi padhte they phir kyun inhe ALLAH TA'ALA ka mukhalifeen kaha gaya. Woh toh SARKAR E AZAM ki shaan mein gustakhana kalmat kehte hain. ILM E GHAIB E RASOOL ka inkaar karte they. Is Ayat se maalum huwa ki, ALLAH TA'ALA farma raha hai, "Aye mere mehboob jo teri Takhfeef E Shan kare woh haqeeqat mein tere RAB ke mukhalif hai."

لَاتَقُمْ فِیۡہِ اَبَدًا ؕ

Is ke ma'ana yeh hai ki "Is Masjid ( yani masjid e zarar) mein tum kabhi khade na hona" matlab yeh ki ALLAH TA'ALA Apne MEHBOOB ko hukm de raha hai ki, AAP hargiz is Masjid mein khade na hona. Maalum huwa ki, jis Masjid mein Gustakh E RASOOL ho Gustakh E Sahaba ho, Gustakh Aaima arba ho, is Masjid mein ja kar Namaz ada karne se mana kiya gaya hai. Jis Masjid mein jane se mana kardiya ho is Masjid ke imaam ke piche Namaz kaise ho sakti hai. Jab ki NABI عليه السلام ko mana kiya gaya, toh Ummati kyun kar jaye ?
_______________________________________________________________________

Topic :- IMAAN.
 

"IMAAN" AMAN se bana hai. Jis ke lagwi meaning AMAN dena hai. ISTALAH E SHARIYAT mein IMAAN AQAAID ka naam hai. Jin ke ikhtiyar karne se INSAAN Hamesha ke azaab se bach jaye. Jaise Tauheed, Risalat, Hashar wa Nashar, Farishtey, Jannat, Dauzak aur Taqdeer ko maanna waghairah, jin ka kuch zikr is Aayat mein hai.
 

كُلٌّ ءَامَنَ بِٱللَّهِ وَمَلَٰٓئِكَتِهِۦ وَكُتُبِهِۦ وَرُسُلِهِۦ لَا نُفَرِّقُ بَيْنَ أَحَدٍ مِّن رُّسُلِهِِ

"Sab Momeen ALLAH aur uske Farishton aur uske kitaabon aur uske RASOOLON per Imaan laaye aur woh yeh kehte hain ke, hum uske kisi RASOOLON per Imaan laye aur wo kehte hai ki hum KHUDA ke RASOOLON mein farq nahi karte."
 

[Surah Baqarah- 2: 285]

Lekin Istalah E Qur'an mein IMAAN ki asal, jis per tamaam aqeedat mando ka daromadar hai, woh yeh hai ki, banda HUZUR E AKRAM ko dil se apna Hakim mutalaq maane. Apne ko in ka Ghulam tasleem kare ki, MOMEEN ke jaan maal aulad sab se zayada Adab wa Ehteram kare. Agar isko maan liya, toh Tauheed aur kutub farishte wagairah tamam Imaaniyat ko maan liya. Aur agar is ko na maane, toh agarcha Tauheed, Farishtey, Hashar wa Nashar, Jannat wa Dauzak sab ko maane magar Quran ke fatwe se woh Momeen nahi, balki kafir wa mushrik hain. Iblees pakkah Namazi sajid thaa, Farishtey, Qayamat, Jannat wa Dauzak sab ko manta thaa. Magar RAB TA'ALA ne farmaya, Sureh Baqar, Aayat 34, Shaitan kafiron mein se hai kyunki sirf is liye, AZMAT E NABI ka qail na thaa. Garz IMAAN ka madar Qur'an ke nazdeek AZMAT E MUSTAFA per hai. Dekhiye Qur'an e Hakim kiya farmata hai.
 

فَلَا وَرَبِّكَ لَا يُؤْمِنُونَ حَتَّىٰ يُحَكِّمُوكَ فِيمَا شَجَرَ بَيْنَهُمْ ثُمَّ لَا يَجِدُوا۟ فِىٓ أَنفُسِهِمْ حَرَجًا مِّمَّا قَضَيْتَ وَيُسَلِّمُوا۟ تَسْلِيمًا

"Aye Mehboob Tumhare Rab ki Qasam ! Yeh Saare Tauheed wale aur deegar log us waqt tak Momeen na honge, jab tak ki tum ko apna hakim na maane, apne sare iljtalafat wa jhagdon mein phir tumhare faisle mein tangi mehsoos na kare aur Raza wa Tasleem ikhtiyar kare."

[Surah Nisa - 65]

Pata chala ki Sirf Tauheed ka manna IMAAN nahi aur tamaam cheezon ka maan'na IMAAN nahi. NABI KAREEM ko maan'na IMAAN hai. RAB TA'ALA farmata hai.
 

يُخَٰدِعُونَ ٱللَّهَ وَٱلَّذِينَ ءَامَنُوا۟ وَمَا يَخْدَعُونَ إِلَّآ أَنفُسَهُمْ وَمَا يَشْعُرُونَ

"Aur kuch log kehte hain ke, hum ALLAH aur pichle deen per Imaan laaye, aur woh Imaan wale nahi."

[Surah Baqarah - 2:8]

Aksar munafiq yahoodi the, jo KHUDA ki Zaat wa Sifaat aur Qayamat wagairah ko mante the, magar RAB ne kaafir farmaya kyunki HUZUR ko nahi mante the. Is liye unho ne ALLAH ka aur Qayamat ka naam toh liya, magar HUZUR ka naam na liya. RAB ne unhe momeen nahi maana. Rab farmata hai.
 

إِذَا جَآءَكَ ٱلْمُنَٰفِقُونَ قَالُوا۟ نَشْهَدُ إِنَّكَ لَرَسُولُ ٱللَّهِ ۗ وَٱللَّهُ يَعْلَمُ إِنَّكَ لَرَسُولُهُۥ وَٱللَّهُ يَشْهَدُ إِنَّ ٱلْمُنَٰفِقِينَ لَكَٰذِبُونَ

"Jab Munafiq tumhare Huzur haazir hote hain, kehte hain ki hum gawaahi dete hain ke, Beshak! Yaqeenan Huzoor ALLAH ke RASOOL hain aur ALLAH jaanta hai ke tum uske RASOOL ho. Aur ALLAH gawaahi deta hai ke Munafiq zaroor jhute hain."

[Surah Munafiqoon- 1]

Pata chala ki HUZUR ko faqat zabani taur per maamoli tareeqe se maan lene ka dawa kar dena Momeen hone ke liye kafi nahi. Unhe dil se maanne ka naam IMAAN hai.
 
Subhan ALLAH!

وَمَا كَانَ لِمُؤْمِنٍ وَلَا مُؤْمِنَةٍ إِذَا قَضَى ٱللَّهُ وَرَسُولُهُۥٓ أَمْرًا أَن يَكُونَ لَهُمُ ٱلْخِيَرَةُ مِنْ أَمْرِهِمْ ۗ وَمَن يَعْصِ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥ فَقَدْ ضَلَّ ضَلَٰلًا مُّبِينًا

"Na kisi Musalman mard na Musalman aurat ko pohanchta hai ke jab ALLAH aur RASOOL kuch hukm farma dein toh unhein apne ma'amla ka kuch ikhtiyaar rahe. Aur jo hukm na maane ALLAH aur uske RASOOL ka woh beshak sareh gumrahi behka."

[Surah Azhab -33:36]

Is Aayat mein bataya gaya hai ki, NABI KAREEM ke hukm ke samne, Momeen ko apni jaan ke maamlat ka bhi aikhtiyar nahi. Yeh Aayat ZENAB BINT JAHSH ke nikah ke baare mein naazil huwi ki, woh Hadrat zaid ke saath nikah karne ko tayaar na they. Magar HUZUR ke hukm se nikah ho gaya. Har Momeen HUZUR ka ghulam aur har MOMEENA un Sarkaar ki laundi hai, yeh haqeeqat IMAAN.
 

اَلنَّبِیُّ اَوْلٰی بِالْمُؤْمِنِیۡنَ مِنْ اَنۡفُسِہِمْ وَ اَزْوَاجُہٗۤ اُمَّہٰتُہُمْ ؕ 

"Yeh NABI MOMEENO ke un ki jaan se zyada maalik hai aur NABI ki Biwiyan Musalmano ki Maa'eyn hai."
 

Jab HUZUR hamari jaan se bhi zayada hamare maalik huwe, toh hamari Aulad wa Maal ke badarja aulaa malik hai.

[AL-AHZAB - 33:6]

یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا لَا تَرْفَعُوۡۤا اَصْوٰتَکُمْ فَوْقَ صَوْتِ النَّبِیِّ وَلَا تَجْہَرُوۡا لَہٗ بِالْقَوْلِ کَجَہۡرِ بَعْضِکُمْ لِبَعْضٍ اَنۡ تَحْبَطَ اَعْمٰلُکُمْ وَ اَنۡتُمْ لَا تَشْعُرُوۡنَ

"Aye IMAAN walo! Apni awaaze in NABI ki awaz per unchi na karo, na unke bargah mein aise chikh kar bolo jaise baaz ke liye khatra hai ki, tumhare Aamaal barbad ho jaye aur tumhe khabar bhi na ho."

[AL-HUJURAT - 49:2]

Pata chala ki AAP ki adna si Be'adbi karne se nekiyan barbaad ho jati hai. Maalum huwa ki, AAP ki adna si ghustakhi kufr hai.

قُلْ اَبِاللہِ وَاٰیٰتِہٖ وَرَسُوۡلِہٖ کُنۡتُمْ تَسْتَہۡزِءُوۡنَ لَاتَعْتَذِرُوۡا قَدْکَفَرْتُمۡ بَعْدَ اِیۡمٰنِکُمْ ؕ
 

"Farmado, ki kya tum ALLAH aur uski Aayaton aur uske RASOOL se hanste ho, bahane na banao tum kafir ho chuke musalman ho kar."
 

[AL-TAUBA - 9:65/66]

Jin munafeeqin ka is Aayat mein zikr hai, unhone ek dafa NABI KAREEM ke "ilm E ghaib" ka mazaak udaya thaa. Bhala HUZUR kab ROM per gaalib aa sakte hain. Is ghustakhi ko RAB ki Aayaton ki ghustakhi qarar de kar unke kufr ka fatawa sadir farmaya. Kis ne ? kisi maulvi ne ? Nahi, balki khud ALLAH JAL SHANA ne.

یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا لَا تَقُوۡلُوۡا رٰعِنَا وَقُوۡلُوا انۡظُرْنَا وَاسْمَعُوۡا ؕ وَ لِلۡکٰفِرِیۡنَ عَذَابٌ اَلِیۡمٌ

"Aye IMAAN walo! Mere paigamber se Rain'a na kaha karo, Unzarna kaha karo khoob sun lo aur kafiro ke liye dardnaak azab hai."
 

[AL-BAQARA - 2:104]
 

Is se pata chala, jo koi tauheen ke liye HUZUR ki bargha mein aise lafz bole, jis mein gustakhi ka shuba bhi nikalta ho, woh IMAAN se kharij ho jata hai ( Jaise Rain'a )

Khulasa :- Yeh hai ki RAB TAAL'A ne musalmano ko Qur'an mein har jagha یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا keh kar pukara, "ya namazi", "ya molvi", "ya fazil devband" keh kar nahi pukara taake pata lage ki RAB TA'ALA ki tamaam Ne'maten IMAAN se milti hai. Aur IMAAN ki haqeeqat woh hai jo in Aayato'n mein bayan huwi. Yani GULAMI SARKAR E MUSTAFA , Tauheed Note ka kagaz hai aur NABUWAT us ki Mohar. Jaise Note ki qeemat mohar se hai us ke baghair woh qeemti nahi, isi tarah note ki qeemat Bazar e Qayamat mein jab hi hogi, jab us per HUZUR ke naam ki mohar ho. Us se munh mod kar Tauheed ki koi qeemat nahi. Qabr mein bhi Tauheed ka iqraar karane ke baad Huzur ke pehchan hai.
____________________________________________________________________________ 

Topic:
MASLA ILM E GHAIB

Ilm E Ghaib ke Mlmutaliq Aqeeda Ahle E Sunnat aur Ilm E Ghaib ke Martabe.
 

Jin AYATON mein HUZUR ke Ilm ki Nafi hai in mein ya toh zati Ilm murad hai ya tamam malumaat, yani RAB TA'ALA ke maalumat ke baraber Atayi ilm ki.
 

Ab aaiye un Ayat E kareema Ke matlab ko samjhein, jis se Bad Aqeeda bator dalil pesh karte hain.
 

قُل لَّآ أَقُولُ لَكُمْ عِندِى خَزَآئِنُ ٱللَّهِ وَلَآ أَعْلَمُ ٱلْغَيْبَ
تم فرمادو میں تم سے نہیں کہتا میرے پاس اللہ کے خزانے ہیں اور نہ یہ کہوں کہ میں آپ غیب جان لیتا ہوں
 

"Tum farma do ki main tum se nahi kehta ki mere pass ALLAH ke khazane hain aur na yeh kaho ki main AAP Ghaib jaan leta hun."

[6-Al-An'am : 50]

Is Ayat ko mufassireen ne chaar (4) meaning bataye hain:

1) Pehla toh yeh zaati Ilm E Ghaib ki nafi hai.
 

2) Yeh Qul (Total) Ilm E Ghaib ki nafi hai.

3) Yeh kalam Ajazi Wa Anksari ke taur per bayan farmaya gaya hai.
 

4) Is Ayat ka ma'ana hai ki, MAIN dawa nahi karta ki main Ghaib janta hun. Yaani Daawa e Ilm Ghaib ki nafi hai na ki Ilm E Ghaib ki.

وَلَوْ كُنتُ أَعْلَمُ ٱلْغَيْبَ لَٱسْتَكْثَرْتُ مِنَ ٱلْخَيْرِ

تاگر میں غیب جان لیا کرتا تو یوں ہوتا کہ میں نے بہت بھلائی جمع کرلی،
 
"Aur agar mein Ghaib jaan liya karta toh yun hota ki, main bohat bhalayi jama karli."
 

[7-Al-A'raf : 188]

Is Ayat ke bhi mufassireen ne teen (3) Matlab bataye hain. Ek yeh ki Huzur ka yeh kalam batoor inksaar ke hai. Dusre yeh ki is mein bhi tamam MAALOMAT E ILAHIYA ki nafi maqsood hai. Teesra ZAATI ILM E GHAIB ki nafi hai.
 

وَعِندَهُۥ مَفَاتِحُ ٱلْغَيْبِ لَا يَعْلَمُهَآ إِلَّا هُوَ ۚ
 

اور اسی کے پاس ہیں کنجیاں غیب کی انہیں وہی جانتا ہے
 

"Aur usi ke pass hai kunjiya Ghaib ki in ko woh hi janta hai."
 

[6-Al-An'am : 59]

Mufassireen ne farmaya hai ki مَفَاتِحُ ٱلْغَيْبِ (Ghaib ki kunijya) se muraad ya toh Ghaib ke khazane hain yaani saari maalomat e ILAHIYA ka janna, ya is se muraad Ghaib ko haazir karne yani cheezon ke paida karne per qadir hona.
 

Kyunki kunji (key) ka kaam yehi hota hai, ki us se taala khola aur andar ki cheezein bahar aur bahar ki cheezein andar kardi.

Is tarah haazir ko gaayeb aur gaayeb ko haazir karna, yani paida karna aur maut dene ki qudrat parwardigar ko hi hai.
 

قُل لَّا يَعْلَمُ مَن فِى ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلْأَرْضِ ٱلْغَيْبَ إِلَّا ٱللَّهُ ۚ
 

تم فرماؤ غیب نہیں جانتے جو کوئی آسمانوں اور زمین میں ہیں مگر اللہ
 

"Tum farma do Ghaib nahi jante jo koi ASMANO aur ZAMEEN mein hai MAGAR ALLAH."
 

[27-An-Naml : 65]

Is Ayat E Kareema ke bhi mufassireen do (2) matlab bayan farmaye hain.
 

Pehla ZAATI Ilm e Ghaib, ALLAH ke siwa koi nahi janta. Dusra Qul Ghaib (TOTAL) ALLAH ke siwa koi nahi janta.

Ab Aaiye Ataai Ilm E Ghaib ke saboot mein kuch Ayat E Kareema aap ke samne pesh karein.

وَعَلَّمَكَ مَا لَمْ تَكُن تَعْلَمُ ۚ وَكَانَ فَضْلُ ٱللَّهِ عَلَيْكَ عَظِيمًا

اور تمہیں سکھا دیا جو کچھ تم نہ جانتے تھے اور اللہ کا تم پر بڑا فضل ہے

"Aur tum ko seekha diya jo kuch tum na jante the."
 

[4-An-Nisa : 113]

وَعَلَّمَ ءَادَمَ ٱلْأَسْمَآءَ كُلَّهَا ثُمَّ عَرَضَهُمْ عَلَى ٱلْمَلَٰٓئِكَةِ

اور اللہ تعالیٰ نے آدم کو تمام (اشیاء کے) نام سکھائے پھر سب (اشیاء) کو ملائکہ پر پیش کیں
 

"Aur ALLAH TA'ALA ne ADAM ko tamam ashiya ke naam seekhaye, phir sab ashiya Malaika per pesh ki."
 

[2-Al-Baqara : 31]

وَجِئْنَا بِكَ عَلَىٰ هَٰٓؤُلَآءِ شَهِيدًا

اور اے محبوب! تمہیں ان سب پر گواہ اور نگہبان بناکر لائیں

"Aur aye Mehboob tum ko in sab per gawaah aur nigehban bana kar laayenge."
 

[4-An-Nisa : 41]

مَن ذَا ٱلَّذِى يَشْفَعُ عِندَهُۥٓ إِلَّا بِإِذْنِهِۦ ۚ يَعْلَمُ مَا بَيْنَ أَيْدِيهِمْ وَمَا خَلْفَهُمْ ۖ

وہ کون ہے جو اس کے یہاں سفارش کرے بغیر اس کے حکم کے جانتا ہے جو کچھ ان کے آگے ہے اور جو کچھ ان کے پیچھے

"Woh kaun hai jo us ke yaha shafa'at kare baghair us ke hukum ke janta hai jo kuch un ke aage hai aur un ke piche hai."
 

[2-Al-Baqara : 255]

وَمَا كَانَ ٱللَّهُ لِيُطْلِعَكُمْ عَلَى ٱلْغَيْبِ وَلَٰكِنَّ ٱللَّهَ يَجْتَبِى مِن رُّسُلِهِۦ مَن يَشَآءُ

اور اللہ کی شان یہ نہیں کہ اے عام لوگو! تمہیں غیب کا علم دے دے ہاں اللہ چن لیتا ہے اپنے رسولوں سے جسے چاہے

"Aur ALLAH ki ye shaan nahi hai. Aye aam logon tum ko ghaib ka ilm de. Haan ALLAH chun leta hai apne RASOOLON mein jise chahe.

[3-Al Imran : 179]

وَمَا هُوَ عَلَى ٱلْغَيْبِ بِضَنِينٍ

اور یہ نبی غیب بتانے میں بخیل نہیں،
"Aur yeh NABI GHAIB batane mein bakhil nahi."
 

[81-At-Takwir : 24]

Qur'an E Paak ki taqreeban bees (20) Ayat e Kareema ALLAH ke RASOOLON aur Ambiya عليه السلام Ko Atayi Ilm E Ghaib hai saabit karti hai.
 

Qur'an E Paak ki gaaliban 16 Ayate E kareema ke ma'ane se bazahir Ilm e Ghaib Ki NAFI hoti hai. Lekin, dar haqeeqat woh ZATI Ilm E Ghaib ki nafi hai.
 

Hamara Iman kiya sirf un Aayat E kareema per hai ya poore Qur'an per ?
 

Sola (16) Ayat E Kareema ka ma'ana bazahir Ilm E Ghaib ki nafi karte hain aur bees (20) Ayat E Kareema Atayi Ilm E Ghaib sabit karte hain. To aye Musalmano poore Qur'an ko manoge, ya kuch ko manoge, ya kuch se inkar ?
 

Inkar karoge, toh kiya tumhara Imaan bacha?

Ab jin ke dilon mein AZMAT E MUSTAFA se Bugz hai, woh naam nihad musalman puri taqat wa tawanayi se hamare Aqeeda jo Atayi Ilm E Ghaib manne wala hain, us ko badi dhoke bazi se Alam ul Ghaib yani khud ki taraf se jhoot jod kar ke Ahle sunnat Wa Jama'at ke Aqeede ko galat sabit karne ki nakam koshish karte hain. Jab hamara woh Aqeeda hai hi nahi jo dhoke baaz badi dhoke bazi se aam awaam ke samne pesh karte hai.
 

ALLAH TAUFEEQ de hum ko HAMARE IMAAN ki Salamati ki aur is duniya mein aur is duniya se jate waqt AZMAT E MUSTAFA bayan karte rahein aur isi tarha bayan karte karte is duniya se rukhsat ho.

Ab in tamam Ayat e Kareema se pata kya chala ?

Ki ALLAH TA'ALA ALAM UL GHAIB hai. Aur woh us ka zaati ilm hai. Aur QUL Ghaib usi ka hai. Yeh hamara Imaan hai.
 

Lekin woh Apne RASOOLON ko bhi us ki Apni marzi wa ata se ILM E GHAIB ata farmata hai.
 

Pata kya chala ?

"AHLE SUNNAT WAL JAMA'AT ka jo AQEEDA hai woh bilkool Qur'an Wa Hadees se saabit hai."
 

1) ALLAH ALAM BIL ZAAT hai. Is ke bataye baghair koi ek hurf bhi jaan nahi sakta.
 

2) HUZUR aur Deegar Ambiya E Kiraam ko RAB TA'ALA ne apne baaz Gaiyoob ka Ilm ata farmaya.
 

3) HUZUR ka Ilm saari khalqat se zyada hai. HADRAT ADAM عليه السلام WA KHALIL عليه السلام aur Malak ul Maut wa Shaitan bhi khalqat hai. Yeh teen (3) baatein Zarooriyat e Deen mein se hai aur inka inkar KUFR hai.
 

4) Tamam guzista aur ayenda waqiyat jo Loh E Mehfooz mein hai, inka balki in se bhi zyada ka Ilm diya gaya.
 

5) HUZUR ko HAQEEQAT ROH aur QURAN ke saare Mutashabihat ka ilm diya gaya.
 

Ab Jo log Ataai ILM E GHAIB ke Munkar hai, toh woh apne daawe per Dalil kayem karein. Toh in chaar (4) baaton ka khayal rakhna zaroori hai.
 

1) Woh Ayat se qatayi dalalat ho jis ke ma'ana mein koi dusre matlab ka ehtamal na nikal sakte ho aur Hadees ho toh mutwatir ho.
 

2) Usayat ya Hadees se Atayi ilm ki Nafi ho ki HUM ne nahi diya ya HUZUR Farmaye mujh ko yeh ilm nahi diya gaya.
 

3) Sirf HUZUR ka kisi baat ko zahir na farmana kaafi nahi.
 

Mumkin ho ki HUZUR ko Ilm toh ho, magar kisi wajah ya maslihat se zahir na kiya ho, is tarha HUZUR ka yeh farmana ki khuda hi jane ALLAH ke siwa koi nahi janta ya MUJHE kiya maalum kafi nahi. Kyunki yeh kalimat kabhi ILM zati ki nafi aur mukhatib ko khamosh karne ke liye hote hain.

4) Jis ke liye ilm ki nafi ki gayi ho woh waqia ho aur qayamat tak ka ho warna sifat e ILAHIYA aur baad qayamat ke tamam waqiyat ke ilm ka hum bhi dawa nahi karte yeh chaar (4) buniyadi baton ka khoob khayal rakhein.

Ab bhi koi Atai Ilm E Ghaib ka munkir hai. Uper likhi huwi 4 Point se apni baat sabit karein, agar sacha hai.
 

Kitna Ilm ALLAH ne Apne RASOOLON ko diya, yeh toh RAB jane aur lene wale us ke RASOOL jane.
 

Kaisi ajeeb baat hai.
 

Jinho ne FARSH se le kar ARSH tak zarre zarre ka ilm diya, unhe ilm nahi yeh tum be'sharmon sabit karne ke liye dhoka dete ho.
 

Unhe Ilm E Ghaib nahi toh yeh Ghaib ki khabar tumhe kis ne diya, pehle yeh toh sabit kardo ?
 

Hum ne toh hamara IMAAN WA AQEEDA saabit kar diya.
________________________________________________________________________

Topic :- Makdi ka ghar.
 

مَثَلُ الَّذِیۡنَ اتَّخَذُوۡا مِنۡ دُوۡنِ اللہِ اَوْلِیَآءَ کَمَثَلِ الْعَنۡکَبُوۡتِۖۚ اِتَّخَذَتْ بَیۡتًا ؕ وَ اِنَّ اَوْہَنَ الْبُیُوۡتِ لَبَیۡتُ الْعَنۡکَبُوۡتِ ۘ لَوْ کَانُوۡا یَعْلَمُوۡنَ.

ان کی مثال جنہوں نے اللّٰہ کے سوا اور مالک بنالئے ہیں مکڑی کی طرح ہے اس نے جالے کا گھر بنایا اور بیشک سب گھروں میں کمزور گھر مکڑی کا گھر کیا اچھا ہوتا اگر جانتے.

Unki Misal jinho ne ALLAH ke Siwa aur Maalik bana liye hai.makdi ki tarha hai us ne jaale ka ghar banaya aur be shaq sab gharo main kamzor ghar makdi ka ghar kiya Acha hota agar jante.
 

The example of those who have made guardians other than Allah is like the spider. She has made a house of cobweb. And undoubtedly, the frailest of all houses is the house of the spider. What a good thing it would have been if they knew.
 

( AL-ANKABUT - 29:41 )

Dars E Hidayat :- Matlab yeh hai ki makdi jaale ka ghar bana kar apne khyal main magan rehti hai ki makan main baithi huwi hoo. Magar us ke makan ka yeh hal hai ki wo na dhoop se bacha sakta hai na barish se na garmi se mehfooz rakh sakta hai na sardi se hifazat kar sakta hai aur hawa ke ek maamoli jhonke se tehees nehees ho kar barbaad ho jaya karta hai.yehi haal kuffar ka hai ki in logo ne buto ko apne nafa w nuqsaan ka maalik bana liya hai.aur in buto ki imdad w nusrat per aitmad aur bharosa kar rakha hai. Halanki buto se hargiz hargiz koi nafa w nuqsaan nahi pohanch sakta aur kafiro ka buto per aitmaad itna hi kamzor sahara hai jitna MAKDI ka jala kamzor hota hai. Kash KUFAR is baat ko samjh letetu yeh un ke haq main bohat hi Acha hotaa.
 

Dars e Hidayat :- Makdi ek bohat hi ajeeb janwar hai uske 8 paw (legs) aur 6 Ankhe hoti hai. Yeh bohat hi qanaa't pasand janwar hai. Magar KHUDA ki Shan ki sab se hariees janwar yani MAKHI aur Machar is ki giza hai. Makdi kayi dino tak bhooki pyasi baithi rehti hai. Magar apne ujale se nikal kar giza talash nahi karti hai. Jab jaale main koi makhi ya machar phans jata hai tu yeh usko kha leti hai. Warna sabar kar ke padi rehti hai.
 

Makdi ke fazail main yeh baat khas qabil e zikr haiki HIJRAT ke waqt RASOOL ALLAH SALLALLAH ALEHE WASALAM GAARE SOUR main tashrif farma they tu makdi ne gaar ke moh per jaala tan diyaa thaa aur kabootri ne ande de diye they jis ko dekh kar kuffar wapis chale gaye agar gaar main koi Shaks gaya hota tu makdi ka jala aur Anda toot gaya hota
 

Ref ( Tafseer E Sawi jild 4. Page no 1564. Para 20 AL-ANKABUT.
 

HADRAT ALI RADI ALLAH ANHU se marvi hai AAP ne farmaya ki apne gharo se makdiyo ke jaalo ko door karte raho yeh muflisi ka sabab hai.
 

Ref :- Tafseer Kazain ul Irfan ayat no 41 AL-ANKABUT.
 
_________________________________________________________

Topic :- Talaq.

ٱلطَّلَٰقُ مَرَّتَانِ ۖ فَإِمْسَاكٌۢ بِمَعْرُوفٍ أَوْ تَسْرِيحٌۢ بِإِحْسَٰنٍ ۗ وَلَا يَحِلُّ لَكُمْ أَن تَأْخُذُوا۟ مِمَّآ ءَاتَيْتُمُوهُنَّ شَيْـًٔا إِلَّآ أَن يَخَافَآ أَلَّا يُقِيمَا حُدُودَ ٱللَّهِ ۖ فَإِنْ خِفْتُمْ أَلَّا يُقِيمَا حُدُودَ ٱللَّهِ فَلَا جُنَاحَ عَلَيْهِمَا فِيمَا ٱفْتَدَتْ بِهِۦ ۗ تِلْكَ حُدُودُ ٱللَّهِ فَلَا تَعْتَدُوهَا ۚ وَمَن يَتَعَدَّ حُدُودَ ٱللَّهِ فَأُو۟لَٰٓئِكَ هُمُ ٱلظَّٰلِمُونَ

یہ طلاق دو بار تک ہے پھر بھلائی کے ساتھ روک لینا ہے یا نکوئی (اچھے سلوک) کے ساتھ چھوڑ دینا ہے اور تمہیں روا نہیں کہ جو کچھ عورتوں کو دیا اس میں سے کچھ واپس لو مگر جب دونوں کو اندیشہ ہو کہ اللہ کی حدیں قائم نہ کریں گے پھر اگر تمہیں خوف ہو کہ وہ دونوں ٹھیک انہیں حدوں پر نہ رہیں گے تو ان پر کچھ گناہ نہیں اس میں جو بدلہ دے کر عورت چھٹی لے، یہ اللہ کی حدیں ہیں ان سے آگے نہ بڑھو اور جو اللہ کی حدوں سے آگے بڑھے تو وہی لوگ ظالم ہیں،

This divorce is for two times only; then is to retain with good or to release with kindness, and it is not allowed to you to take back something of what you have given to the women, but if both fear that they could not keep the limits of ALLAH. Then, if you fear that the twain shall not remain just on the same limits then there is no sin on them for that with which the woman ransoms herself. These are the limits of ALLAH, do not transgress them, and whoso transgresses the limits of ALLAH, then they are the oppressors.

[Al-Baqara - 2:229]

فَإِن طَلَّقَهَا فَلَا تَحِلُّ لَهُۥ مِنۢ بَعْدُ حَتَّىٰ تَنكِحَ زَوْجًا غَيْرَهُۥ ۗ فَإِن طَلَّقَهَا فَلَا جُنَاحَ عَلَيْهِمَآ أَن يَتَرَاجَعَآ إِن ظَنَّآ أَن يُقِيمَا حُدُودَ ٱللَّهِ ۗ وَتِلْكَ حُدُودُ ٱللَّهِ يُبَيِّنُهَا لِقَوْمٍ يَعْلَمُونَ

پھر اگر تیسری طلاق اسے دی تو اب وہ عورت اسے حلال نہ ہوگی جب تک دوسرے خاوند کے پاس نہ رہے، پھر وہ دوسرا اگر اسے طلاق دے دے تو ان دونوں پر گناہ نہیں کہ پھر آپس میں مل جائیں اگر سمجھتے ہوں کہ اللہ کی حدیں نباہیں گے، اور یہ اللہ کی حدیں ہیں جنہیں بیان کرتا ہے دانش مندوں کے لئے،

Then if she is divorced for the third time, then new that women will not be lawful to him, until she lives with another husband, then if that second one divorces her, then there is no sin on the twain that they come together again, if they think that they will observe the limits of ALLAH, and these are the limits of ALLAH. He explains them for the learned.

[Al-Baqara - 2:230]

Agar khuda na khasta Talaq dena zaroori ho jaye, toh shohar ko chahiye ki Ek waqt mein 3 talaq na dein. Kyunki agar de diya, toh waqai ho jayegi balki behter yeh hi hai ki wo tareeqa akhtiyar kare jo AHADIS E MUBARAKA mein sarhatan maujood ho aur woh yeh hai ki, koi mard agar apni biwi ko talaq dena chahe toh isko Ek talaq (Aiyaam e Haiz ke alawa) de aur kahe ki, main tujhe Ek talaq deta ho. Ek mahina guzar jane de, na is main Ruju ho aur na Sohbat. Ek mahina guzar jaye tu aiyaam E Taharat main Ek Aur Talaq de de. Aur phir isi tarha teesri Month teesri talaq de dein.
 

Ab woh Aurat uske liye baghair Halala shariya ke hamesha ke liye haram ho jayegi. Is ko talaq e sunnat bhi kehte hain. Is surat ka yeh fayda hai ki, teen mah ki muddat mein us se apne faisle per gaur karne ka mauqa milega. Agar teen (3) mah mein bhi mard Talaq dene per amdaa raha, toh phir pachhtawe ka ehtamal kam hai.
 

Is se behter bhi ek surat yeh hai ki, Ek Talaq de kar khamosh chup baith jayen, phir 3 month tak Ruju wa Sohbat na kare toh khud ba khud aurat us ke nikah se baaien ho jayegi. Is surat ka fayda hai ki, us aurat se zindagi bhar mein jab chahe BAGAIR HALALA ke nikah kar sakta hai aur nikah ke baad us ko 2 talaq ka ikhtiyar rahega us ko "Talaq e Ehsan" kehte hain.
 

Teesra tareeqa talaq ka yeh hai ke, ek saath 3 talaq de dein. Is surat mein talaq waqai ho jati hai, magar Nuqsaan yeh hai ki, agar na samjhi ya jald baazi ya gussa wagairah ke wajah se talaq de di thi, to ab zindagi bhar ka pachhtawa reh jayega. Us ko "Talaq e Bidda't" kehte hain.
 

Ghair Muqallideen ka kehna hai ki, Shohar ne apni biwi ko 3 talaqen ek sath dedi, toh ek hi talaq waqe hogi. Gaur talab masl'a hai ki, 3 ke meaning 3 hota hai ya Ek ?

Misaal ke taur per agar X ne Y ko 3 dande maara aur us ne kazi ke pass ya police ke pass Y ne daawa kiya ki X ne ek saath 3 dande mare toh waha kya kahega ? Ek maara ya 3 maara ? Aap khud souch sakte hain.

Jab khuda deen leta hai toh aqal chin leta hai.
 

Ek waqt mein di gayi teeno talaqon ka teen hi hone per SAHABA E KARAM AIMA ARBA IMAM E AZAM ABU HANIFA IMAMA E MAALIK IMAM E SHAFAYI aur IMAM AHMED BIN HUNBLE (alaihim ur rehmatullah ) ka ijmaah hai.
 

(Tafseel ke liye mufti ataullah naeemi saheb ki talaq e salasa ka sharayi hukum ka mutaliya kare)
 

Ab Sawal yeh uthta hai ki, Halala haram hai ya halal ?
 

Ek Hadees sharif mein hai:

لَعَنَ الله المُحَلِلَ وَ المُحَللَِ لَهُ

Is Hadees ko buniyad bana kar hadison ke dawedar Ghair Muqallid matlaqan HALALA ko haram kehte hain aur kisi surat mein bhi halala ki ijazat nahi dete. Un ke aqaed bhi kiya kahiye ?

Ek toh 3 talaq jo de chuka us ko haram kari ki ijazat de dete hain aur kaha MA'AZ ALLAH halala shariya ko harama bakne nahi darte.
 

Halala us amal ko kehte hain ki, jab shohar ne apni biwi ko talaq di phir dusre mard se nikah kiya aur dusre se sohabat bhi ki, phir talaq de de toh ab woh aurat pehle mard ke liye Iddat guzaarne ke baad dubara nikah kar ke halal hogi.
 

Is ki 2 tareeqen hain:
Ya toh yeh pura maamla fix ho, ya iteefaqiya.
 

Sharayi masla yeh hai dono surto mein pehle mard ke liye halal ho jayegi magar yaad rahe jis HALALA per ALLAH TA'ALA ke laanat farmane ka zikr Hadis e Paak mein maujood hai, woh tay shuda halala hai. Tay kar ke halala karna sakht gunah hai, magar halala ho jata hai.

Masla :- Gusse mein talaq dene se talaq waqai ho jayegi. Mazak mein talaq dene se talaq ho jayegi. Nashe mein talaq dene se talaq ho jayegi.
 

Aaj kal talaq ki nahusat be tahasha pheli huwi hai. Lihaza gusse ko tarq kar ke mardon ko sochna chahiye ki apni biwi per zulm na karein aur biwiyon ko bhi chahiye ki woh apne sohar ki farma bardar ban kar rahein.

_________________________________________________
Topic :- Muqaddas Muqamat ka adab zarori hai.

فَلَمَّاۤ اَتٰىہَا نُوۡدِیَ یٰمُوۡسٰی
اِنِّیۡۤ اَنَا رَبُّکَ فَاخْلَعْ نَعْلَیۡکَ ۚ اِنَّکَ بِالْوَادِ الْمُقَدَّسِ طُوًی 

پھر جب آ گ کے پاس آیا ندا فرمائی گئی کہ اے موسٰی
بیشک میں تیرا رب ہوں تو تو اپنے جوتے اتار ڈال بیشک تو پاک جنگل طوٰی میں ہے 

Then when he came to the fire, a call was made, O Musa
Verily, I am your Lord, then take off your shoes, undoubtedly, you are in the sacred valley Tuwa.

( AL-TAHA - 20:11/12 )

Mufassaren farmate hai ki jaha HADRAT MUSA ALEHE SALAM ka Waqiya pesh aaya wo waadi Tuwa'a thi. Jaha HADRAT MUSA ALEHE SALAM se farmaya ki adab w ehtram ke liye apni jooti utardo.Maalom huwa ki muqaddas muqamat ke ehtram ka hukum ALLAH TAAL'A Deta hai chunacha hame bhi in muqamat ka adab karna cahiye.
 

اِنَّ الصَّفَا وَالْمَرْوَۃَ مِنۡ شَعَآئِرِ اللہِۚ 

بیشک صفا اور مروہ اللّٰہ کے نشانوں سے ہیں 

"No doubt, Safa and Marwah are among the symbols of Allah

( AL-BAQARA - 2:158 )

Mufassaren is ayat ke tehet farmate hai ki safa aur marwa macca mukarama ke do muqaddas pahad hai. HADRAT HAJRA RADI ALLAH ANHA aur HADRAT ISMAEIL ALEHE SALAM ne in dono pahado ke qareeb is muqam per jaha chah ZAM ZAM hai bahukum e ILAHI sakunt farmayi.
 

Mufassaren mazeed farmate hai ki jis Muqam ko ALLAH TAAL'A ke naik bando se nisbat ho jaye wo ALLAH TAAL'A ki nishaniya ban jaye woh SAF'A w Marw'a jis per HADRAT HAJIRA RADI ALLAH ANHA ke qadam Aagaye woh Sa'aer ALLAH (شعائر الله ) Ho jaye tu jis Muqaam per ALLAH TAAL'A ke naik bande jism jismaniyat se qayamat tak aram farma ho tu un mazarat ki shan ka Aalam kiya hoga ?

_________________________________________________________

Topic :- Makdi ka ghar. 

مَثَلُ الَّذِیۡنَ اتَّخَذُوۡا مِنۡ دُوۡنِ اللہِ اَوْلِیَآءَ کَمَثَلِ الْعَنۡکَبُوۡتِۖۚ اِتَّخَذَتْ بَیۡتًا ؕ وَ اِنَّ اَوْہَنَ الْبُیُوۡتِ لَبَیۡتُ الْعَنۡکَبُوۡتِ ۘ لَوْ کَانُوۡا یَعْلَمُوۡنَ.

ان کی مثال جنہوں نے اللّٰہ کے سوا اور مالک بنالئے ہیں مکڑی کی طرح ہے اس نے جالے کا گھر بنایا اور بیشک سب گھروں میں کمزور گھر مکڑی کا گھر کیا اچھا ہوتا اگر جانتے.

Unki Misal jinho ne ALLAH ke Siwa aur Maalik bana liye hai.makdi ki tarha hai us ne jaale ka ghar banaya aur be shaq sab gharo main kamzor ghar makdi ka ghar kiya Acha hota agar jante.
 

The example of those who have made guardians other than Allah is like the spider. She has made a house of cobweb. And undoubtedly, the frailest of all houses is the house of the spider. What a good thing it would have been if they knew.
 

( AL-ANKABUT - 29:41 )

Dars E Hidayat :- Matlab yeh hai ki makdi jaale ka ghar bana kar apne khyal main magan rehti hai ki makan main baithi huwi hoo. Magar us ke makan ka yeh hal hai ki wo na dhoop se bacha sakta hai na barish se na garmi se mehfooz rakh sakta hai na sardi se hifazat kar sakta hai aur hawa ke ek maamoli jhonke se tehees nehees ho kar barbaad ho jaya karta hai.yehi haal kuffar ka hai ki in logo ne buto ko apne nafa w nuqsaan ka maalik bana liya hai.aur in buto ki imdad w nusrat per aitmad aur bharosa kar rakha hai. Halanki buto se hargiz hargiz koi nafa w nuqsaan nahi pohanch sakta aur kafiro ka buto per aitmaad itna hi kamzor sahara hai jitna MAKDI ka jala kamzor hota hai. Kash KUFAR is baat ko samjh letetu yeh un ke haq main bohat hi Acha hotaa.
 

Dars e Hidayat :- Makdi ek bohat hi ajeeb janwar hai uske 8 paw (legs) aur 6 Ankhe hoti hai. Yeh bohat hi qanaa't pasand janwar hai. Magar KHUDA ki Shan ki sab se hariees janwar yani MAKHI aur Machar is ki giza hai. Makdi kayi dino tak bhooki pyasi baithi rehti hai. Magar apne ujale se nikal kar giza talash nahi karti hai. Jab jaale main koi makhi ya machar phans jata hai tu yeh usko kha leti hai. Warna sabar kar ke padi rehti hai.
 

Makdi ke fazail main yeh baat khas qabil e zikr haiki HIJRAT ke waqt RASOOL ALLAH SALLALLAH ALEHE WASALAM GAARE SOUR main tashrif farma they tu makdi ne gaar ke moh per jaala tan diyaa thaa aur kabootri ne ande de diye they jis ko dekh kar kuffar wapis chale gaye agar gaar main koi Shaks gaya hota tu makdi ka jala aur Anda toot gaya hota
 

Ref ( Tafseer E Sawi jild 4. Page no 1564. Para 20 AL-ANKABUT.
 

HADRAT ALI RADI ALLAH ANHU se marvi hai AAP ne farmaya ki apne gharo se makdiyo ke jaalo ko door karte raho yeh muflisi ka sabab hai.
 

Ref :- Tafseer Kazain ul Irfan ayat no 41 AL-ANKABUT.
 

طالِبِ دُعا۔
 
محمد ایاز انجاریہ
محفلِ غُلاماٰنِ مُصطٰفی ﷺ

Talib-e-Du'a
Mohammad Ayaz Anjaria
ehfil E Gulam E ustafa
https://www.facebook.com/mehfil.gulam.mustafa


Comments

Popular posts from this blog

F.W Riggs Theory of prismatic society in Indian context

WOMEN AND THEIR STATUS IN ISLAM

200 Ka'ar Aamad Nahsheetain